Duniya Kaise Wajood Mein Aayi Kainat Ki Takhleeq In Urdu Zameen Aur Aasman Kisne Banaya Duniya Kaise Wajood Mein Aayi
Duniya Wajood Mein Kaise Aayi Zameen Aur Aasman Kisne Banaya کائنات کی ابتدا
kainat kaise bani dunya ka wajood information about world in urdu |
Zameen Aur Aasman Ki Paidaish Duniya Kaise Bani In Hindi
Sab se pehle Allah Taala ki zaat aur un se pehle koi cheez na thi aur Allah ka arsh pani par tha phir usne asmano aur aur zameen ko paida farmaya aur usne kainat ki har cheez supard looh o qalam ki. (Sahih Bukhari)
Hadees e baala se kainat ki ibtada k kuch amoor sabit hote hain jin ki wazahat se baat zyada samjh aa sakti hai.
Arsh, Arsh Ka Matlab Kya Hota Hai Arsh
Meaning In Quran In Urdu
Arsh k lafzi maani "Takhat" k hain irshad e rabbani hai:
" Rehman arsh par jalwa afroz hua " (Surah Taha Ayat No.5)
Loh E Mehfooz Loh E Mahfooz Kya Hai Loh
Meaning In Islam
Loh e Mehfooz k lafzi maani mehfooz takhti k hain. Quran e Majeed mein is ko Al Kitab, Umm ul Kitab, Kitab e Hafeez aur Kitab waghera k naamon se yaad kiya gaya hai. Quran e Pak mein hai:
" Har choti bari cheez aik wazeh kitab mein majood hai "
(Surah Yunus Ayat No.61)
Qalam Kalam Ka Matlab Kya Hota Hai? Loh E Qalam Meaning In Urdu
Qalam se murad wahi qalam hai jo qaza e qadar ka qalam hai. Quran e Hakeem mein Al-Qalam k naam se bhi aik surat hai. Hazrat Ibn e Umar se riwayat hai k " Rasool Allah S.A.W.W ne irshad farmaya: Ye andazy aur takhmeeny asmano zameen ki pedaish se 50 hazar saal pehle he likh diye gaye thy. " Jadeed science mein is khud kar qalam ki behtareen misal "Teleprinter" aur "Tele Top Writer" hai isay khudkar typewriter bhi kehte hain.
Zameen, Zameen Aasman Ka Kissa
Arsh o Kursi k baad sab se muqaddas kurrah "Zameen" hai. Zameen ko Arabic zuban mein arz kehte hain. Jadeed science ki ru se iski shakal gol beza numa hai. Quran e Pak mein ata hai k "Kya kafiron ne nahi dekha k asman aur zameen pehle mile july thy phir hum ne inko alag alag kiya. (Surah Al Anbiya Ayat No.30)
Rasool Allah S.A.W.W ka irshad hai: "Zameen o asmaan ki paidaish k waqt sab se pehle pani par aik safed jhag namudar hui phir is par zameen bichti chali gayi". (Tafseer Jalalain)
Quran se pata chalta hai k zameen ki takhleeq ka kaam sirf 2 din ki mukhtasir muddat mein paya takmeel ko pohanch gaya. Isky ilawa zameen sirf aik nahin balke iski tadad aasmano jitni hai. Jesy farmaya: "Allah ki zaat wo hai jis ne peda kiye 7 asmaan aur zameen bhi utni he." (Surah Al Talaq Ayat No.12)
Pahaar Pahad Kisne Banaya?
" Aur usi Allah ne zameen mein iske upar pahaar banaye aur usi ne is mein faida ki cheezain rakh dain aur isi ne is mein sab saman e muishat muqarar kiya sirf 4 din mein. " (Surah Haa Meem' Al Sajdah Ayat No.10)
Is se maloom hua k pehle 2 din mein zameen ki pedaish phir 2 din mein pahaar garay, zameen par pahaar kyon banaye is baaray mein Quran e Kareem mein hai. " Aur humne pahaaron ko mekhain banaya. (Surah Al Anbiya Ayat No.7)
Aik hadees mein aata hai sab se pehla pahar jo zameen par nasab kiya gaya wo Jabl e Abu Qais hai ye Makkah mein Bait ul Allah k bilkul qareeb hai.
Asmaan Dharti Aasman Kisne Banaya
Aasmaan Arbi lafz " Samaa" ki badli hui shakal hai iske mani bulandi aur chhat k hain Quran e Pak mein hai: " Pass usne 2 din mein 7 asmaan bana diye "(Surah Haa Meem' Sajdah Ayat No.12)
Aik riwayat mein hai k har 2 aasmaan aur 2 zameen k darmiyan 500 bars ka fasla hai aur pehle aasman ko Allah Taala ne taaron se saja diya jesy farmaya: "Aur beshak humne asmaan burooj yani taray banaye aur unhe dekhne walon ke liye araasta kiya." (Surah Al Hijr Ayat No.6)
6 Din Earth Formed In 6 Days
" Yaqeenan tumhara rabb Allah he hai jisne aasmano aur zameeno ko 6 din mein paida farmaya phir wo apne arsh saltanat opar jalwa afroz hua " (Surah Araf Ayat No.54)
Magar yahan 6 din se murad wo 6 din nahin jin ka taluq majooda suraj k talu o ghuroob se hai balke yahan 6 zamane murad ho sakte hain aur mumkin hai aik zamana 1000 saal par mushtamil ho jesy Quran mein hai: " Beshak hamara aik din tumhare rabb k haan aik hazar saal barabar hota hai. " (Surah Al Hajj Ayat No.47)
Aik aham baat par tawaja kijiye zameen o asman ko 6 din mein banane ki aik khaas hikmat hai k Allah Taala har kaam mein itminan aur sakoon ko pasand farmate hain aur isi baat ka hukam apne bandon ko dete hain. Aik riwayat mein hai k itminan se kaam karna Allah ki taraf se hai jab k jald bazi se kaam karna shaitan ki taraf se hai. Jahan tak qudrat e khudawandi ka taluq hai to wo jo chahe aur jab chahe aik dam se sab kuch peda kar sakta hai. Jesy " Jab wo kisi kaam karne ka irada farmata hai to bas us k liye ye keh dena kafi hai "Kunn" yani " Ho Jaa" to wo ho jati hai. (Surah Yaseen Ayat No.82)
Aik aham baat par tawaja kijiye zameen o asman ko 6 din mein banane ki aik khaas hikmat hai k Allah Taala har kaam mein itminan aur sakoon ko pasand farmate hain aur isi baat ka hukam apne bandon ko dete hain. Aik riwayat mein hai k itminan se kaam karna Allah ki taraf se hai jab k jald bazi se kaam karna shaitan ki taraf se hai. Jahan tak qudrat e khudawandi ka taluq hai to wo jo chahe aur jab chahe aik dam se sab kuch peda kar sakta hai. Jesy " Jab wo kisi kaam karne ka irada farmata hai to bas us k liye ye keh dena kafi hai "Kunn" yani " Ho Jaa" to wo ho jati hai. (Surah Yaseen Ayat No.82)
Qaireen agar aap ko hamari ye post pasand ayi hai to isay facebook aur WhatsApp aur Twitter par lazmi share karen. JazakAllah Khairan Kaseera
Comments
Post a Comment