Duniya Ki Khatarnaak Jheelain World's Scariest Lakes Duniya Ki Khofnak Jheelain Khatarnak Jheel

Duniya Ki Khatarnaak Jheelain


Pani insan ki bunyadi zaroorat hai qudrat ne pani ke zakhair nadi, naalon, dariyaon, jheelon aur samundar ki shakal mein mehfooz kar diye hain. Agar hum sirf jheelon ki baat karen to puri duniya mein 3 million se zayed jheelain payi jati hain jo ke apni khoobsurti ki wajah sey qabil e deed hain lekin is dafa hum un jheelon ka zikar kar rahe hain jo ki duniya mein ajeeb o ghareeb aur khatarnak bhi hain.

1.Golden Jellyfish Wali Jheel


Golden Jellyfish Lake, Palau Country in Oceania

Ye jheel Palau mein waqia hai. raqbe ke lehaz se ye aik bari jheel hai lekin is jheel ki munfarid aur khaas baat ye hai kay is ke andar golden jelly fish bari miqdar mein rehti hain. Is jheel mein ghauta khori karne wale insay khoob lutf andoz hote hain aur inhen munfarid tajurba hasil hota hai. In jellyfish ki jisamat aik sikay se le kar aik feet ke baal k barabar hai.

2. Qarmazi Rang Kay Pani Ki Jheel


Laguna Colorada Lake, Bolivia


Ye jheel Bolivia ke ilaqay Laguna Colorada mein waqia hai aur 23 square mile ke raqbay par pheli hui hai. Is jheel ke munfarid rang ki wajah jheel mein laal "surkh" rang ki kayi aur deegar jarsomon ka hona hai.

3. Garam Jheel:


Dominica Boiling Lake Tour

Ye jheel Dominica mein waqia hai. Har waqt is ke pani se bhaap aur aabi bukharat uthty rehte hain. Darasal iska pani har waqt ubalta aur kholta rehta hai. Yehi wajah hai ke is mein ghauta khori ka koi soch bhi nahi sakta aur aaj tak koi bhi shakhs iske darja hararat ki pemaish nahi kar saka.

4. Medicine Jheel


Medicine Lake, Canada

Ye medicine jheel Canada mein waqia hai dekhne mein to ye aam jheelon ki tarah nazar aati hai magar mosam me sarma mein ye dhoondne se bhi nahi milti kyon ki is jheel ke andar baray baray sorakhon ka aik silsila hai.
Sardiyon mein pani inke andar chala jata hai. In zyr e aab gharon tak rasai na mumkin hai aur yahan ki muqami abadi isay jadoi jheel bhi kehti hai.

5. Natron Jheel


Lake Natron Tanzania, East Africa

Ye Tanzania ki wadi rift mein waqiya hai. Is jheel ka darja hararat 60 degree centigrade sey zyada hota hai. Is jheel par aa kar baithne wala koi bhi parinda pathar mein tabdeel ho jata hai. Parinde is jheel ki khoobsurati dekh kar pani mein dubki lagate hain aur apni jaan se hath dho bethty hain.

6. Mckenzie Jheel


Mckenzie Lake, Australia

Ye jheel Australia mein waqia hai aur Freezer nami jazeere par payi jati hai. Ye 370 acre raqbay par pheli hui hai. Ye mukamal taur par badalon ke meethe pani se bharti hai aur duniya ke aalmi saqafti wirsay mein bhi shamil hai.

7. La Brea Pitch Jheel


La Brea Pitch Lake, Trinidad Tobago

Ye jheel Trinidad mein waqia hai. Ye jheel taqreeban 10 million ton maadni tarcoal par mushtamil hai jo ke 10 acre raqbay par phela hua hai aur ye zameen par duniya ka sabse bara tarcoal ka zakheera hai. Dosto agar aap ko meri post achi lagi hai to please Roza Tul Atfal ko apne Google+ Circle mein zaror add karen Google+ Page ko follow karne ke liye Follow par Click karen shukriya.



Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu