Khatoon Ki Zahanat Momino Ki Zahanat Kay Qissay Islamic Sachay Waqiyat

Khatoon Ki Zahanat


Momino Ki Zahanat Kay Qissay Muslim Wisdom Stories

خاتون کی ذہانت


Hazrat Abdullah Bin Masood R.A bayan karte hain k aik dafa safar k doran main apne qafily se bichar gaya aur jungle mein kahin door nikal gaya. Wahan main ne aik borhi khatoon ko dekha jo aik darakht k tanay k pass bethi thi. Iski pareshan hali se main jan gaya kahin ye bhi meri tarah rasta bhool gayi hai main iske qareeb gaya aur kaha:
"Assalam o Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh"
Khatoon ne aam tarike se jawab dene ki bajaye Quran Majeed ki ye ayat parhi:
"Unko parwardigar meharban ki taraf se salaam farmaya jaye." (Surah Yaseen Ayat No.58)
Main ne pucha:
"Aap yahan kya kar rahi hain?"
Khatoon ne jawab mein Quran e Pak ki ye ayat parhi:
"Jisay Allah Taala rehnumai se mehroom kar de, iske liye phir koi rehnuma nahin hai."
(Surah Al Araf 186)
Main samajh gaya k ye rasta bhool gayi hai isliye main ne pucha:
"Aap kahan ja rahi hain?"
Khatoon boli:
"Paak hai wo jo le gaya, aik raat apne bande ko Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa ki taraf."
(Surah Bani Israel Ayat No.1)
Yani Makkah Muazzama se Bait ul Maqdas ki taraf ja rahi hoon. Main us andaz e guftagu se bohat hairan hua wo har baat ka jawab Quran e Kareem ki kisi ayat se deti thi. Ab main ne is say pucha:
"Aap kab se yahan pari hain.?"
Wo boli:
"Musalsal 3 raat" (Surah Maryam Ayat No.10)
"Main ne kaha: Aap k pass koi khane peene ki cheez to hai nahin phir aap ne ye arsa kesy guzara?"
Aurat ne iske jawab mein Quran e Hakeem ki ye ayat parhi:
"Wo (Allah) mujhe khilata aur pilata hai" (Surah Al Shauraa Ayat No.79)
Main ne pucha:
"Aap wuzu kesy karti hain?"
Jawab diya:
"Pani na mile to paak matti se tayamum kar lo" (Surah Al Nisa Ayat No.43)
Main ne apne thaily se khana nikala aur iski khidmat mein pesh kiya aur kaha:
"Ye kha lijiye"

Is ne jawab mein Quran e Hameed ki ye ayat parhi:
"Phir raat tak apna roza pura" (Surah Al Baqarah Ayat no.187)
Main samajh gaya k khatoon ne roza rakha hua hai.
main ne kaha:
"Ye ramzan ka mahina to nahin hai"
Khatoon ne jawab mein ye ayat parhi:
" Aur jo apni khushi se koi bhalai ka kaam karega to Allah Taala uski qadar aur usy janne wala hai
(Surah Al-Baqarah Ayat no.158)
Main samajh gaya k khatoon ne nafli roza rakha hua hai.
Main ne kaha:
"Safar mein to roza iftar kar lene ki ijazat hai"
Khatoon boli:
"Lekin tum samjho to tumhare haq mein yehi behtar hai k tum roza rakho"
(Surah Al Baqarah Ayat no.184)
Main ne kaha
"Jis tarah main aap se baatein karta hun aap is tarah mujhse baatein kyon nahin karti?
Yani har baat ka jawab Ayat e Qurani se he kyon deti hain?
Iske jawab mein usne Quran e Majeed ki ye ayat parhi:
"Koi lafz uski zuban se nahin nikalta jisay mehfooz karne k liye aik hazir bash majod na ho"
(Surat Qaf Ayat No.18)
Murad ye thi k insan jo baat bhi zuban se nikalta hai uske liye usay Allah k haan jawab dena hoga isliye main aam zuban istemal he nahin karti, sirf quran ki zuban mein baat karti hoon taky mere mun se koi qabil e garift baat nahin nikle.
Khatoon ki guftagu se meri hairat brabar barhti ja rahi thi main ne imdad ki peshkash karte hue kaha:
"Meri ontni hazir hai aap is par beth jayen aap jahan kahengi main pohancha dunga"
Aurat boli:
"Aur jo naik kaam tum karoge wo Allah k ilm mein hoga"
(Surah Al Baqarah Ayat no.197)
Ye sun kar main ne ontni is khatoon k qareeb bitha di aur arz kiya:
"Aap is par sawar ho jayie"
Khatoon ne sawar hote hue Quran e Pak ki ye ayat parhi:
" Paak hai wo zaat jisne in cheezon ko hamare bas mein kar diya, aur hum to aisy na thy k inko qabu mein kar lete"
(Surah Al Zukhruf Ayat no.13-14)
Ab main ne ontni ki nukel pakri aur isay taiz chalane k liye buland awaz se ontni taiz bhagane laga ontni taiz tez chalne lagi khatoon ne ontni par baithe hue ye ayat parhi:
" Aur apni raftar mein aitadal ikhtiyar karo aur apni awaz ko past kar."
(Surah Luqman Ayat no.19)
Ye sun kar main ahista ahista chalne laga aur apni awaz bhi past kar li ab khatoon ne ek ayat parhi:
"So tumse jitna Quran asani se parha ja sake parh liya karo"
(Surah Muzzammil Ayat no.20)
Matlab ye tha k asha'ar parhne ki bajaye Quran parho to behtar hai.
Main Quran e Majeed ki tilawat karne laga abhi kuch door he gaye thy k hamain qafila nazar aa gaya main ne khatoon se daryafat kiya ye sun kar khatoon ne Surah Al Kahf ki ayat no.46 parhi"
"Maal aur bete duniyavi zindagi ki zeenat hain"
Main samajh gaya k qafilay mein khatoon k bete majood hain main ne kaha:
"Mujhe inka ata pata batayen takay mein inhen talash karon"
Khatoon ne jawab diya:
"Usne zameen mein rasta banane wali alamatain rakh di aur is se bhi log hidayat paate hain"
(Surah Al Nahl Ayat no.16)
Is ayat se main samajh gaya k khatoon k bete is qafily k rehnuma hain main inke naam puche to khatoon ne ye 3 ayaat parhi:
" Aur Allah ne Ibrahim A.S ko wali (dost) bana liya.
(Surah Al Nisa Ayat no.125)
Allah Taala ne Musa A.S se is tarah guftgu ki jis tarah guftgu ki jati hai.
(Surah Al Nisa Ayat no.164)
" Aye Yahya A.S! Kitab ko mazbuti se pakar lo."
(Surah Maryam Ayat no.12)

Main samajh gaya k aurat k beton k naam Ibrahim, Musa aur Yahya hain.
Main ne buland awaz se teeno ko pukarna shuru kiya foran he qafily se nikal kar 3 jawan hamare pass aa gaye. Unhone apni maa ko ontni se utara aur mil kar mera shukriya ada kiya phir beton ko mukhatib karke Surah Al Kahf ki Ayat no.19 parhi:
"Ab apne mein se kisi ko chandi ka sikka de kar bhejo aur wo dekhe sab se acha khana kahan milta hai wahan se kuch khane k liye aye."
Ye sun kar aik nojawan dora hua shehar ki taraf gaya aur khana laya mere samne rakha ye dekh kar khatoon ne ye ayat parhi:
" Mazzay k sath khao aur piyo un amaal k silay mein jo tumne guzre hue waqt mein kiye"
(Surah Al Haqqah Ayat no.24)

Main ne khatoon k beton se kaha:
"Aap ki walida ko Quran e Majeed par kis qadar aboor hai jo kuch unhone kehna ho uske mutabiq unhe koi na koi ayat yaad aa jati hai. Khatoon k beton ne mujhe bataya kay 40 bars ho gaye hain hamari maa ne Qurani Ayaat k siwa koi baat nahin ki isliye k mun se koi aisi baat na nikal jaye jis ki qayamat k roz baaz purs ho main inke baray mein mazeed malumat chahi to unhone bataya k inka naam Fiza hai. Sayeeda Tul Nisa Hazrat Fatima Tuz Zahra R.A ki azad kardah Kaneez hain hadsa Karbala mein Ahl e Bait ki mastuarat mein sath thin.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu