Posts

Showing posts from July, 2014

Achi Batain, Maa Aur Haraf Bolte Hain

Achi Batein Janwar apne Malik ko pehchanta hai lekin insan apne Rab ko nahi pehchanta. Jab qareebi rishtaydar muhtaaj hoon inhain chor kar dosron ko nawazna acha nahi. Apni massail is kay samne paish karo jo isay hal karne par qaadir ho agar gunah karna chahte ho to kar lo lekin Allah se chup kar aur iski kayenat say bahir nikal kar. Charaagh khaw kitna he chota kyun na ho dunya ka pora andhera bhi mil kar isay nahi bhuja sakta isliye koi choti si neki bhi jahan kay bure logon say dar kar mat choro. Maa Maa zindagi hai markaz sabr o qaraar hai Maa ek chaman hai jis mein musalsal bahaar hai Maa lateef hai sakoon hai shafqat hai pyar hai Maa ek azeem naimat parwardigar hai Maa pehli darasgah hai aqal o shaur ki Maa shama frozan hai muhabbat kay noor ki Maa hai nazara qudrat rab e jaleel ka Maa chashma e khaloos hai ulfat ki jheel ka. Haraf Bolte Hain Bure logon kay sath bethne say tanhai behtar hai Kam bolna aqalmandi hai Haqeer sey haq

Aisay Thay Hukamraan Khilafat Ka Daur

Aisay Thay Hukamran Abdul Bin Azeez Marwan Misar kay governer thy jab in kay betay umar nay hosh sanmbhala to apko inki taleem o tarbiat ki fikar laahaq hui to aap ne inko Saleh Bin Keysan R.H kay pass Madina Munawwara taleem o tarbiat kay liye bhej diya. Hazrat Saleh R.H nay bari mehnat kay sath in ki tarbiat farmai khaas taur par Namaaz ki taakeed farmate or Namaz mein kotahi bardasht na karte aik din Umar Namaz mein dair say pohnche namaz sey faraghat kay bad Hazrat Saleh R.H ney shagird ko tanbeeh ki or dair say aanay ki waja puchi. Pucha Beta aaj namaz mein itni dair sey kuyn aaye......? Hazrat main baal sanwar raha tha iss pey zara dair ho gai Umar ne jijhak kar apne ustaad ko jawab dia acha ab baalon ki taraf itni tawaju ho gai hai kay namaz mein takheer hone lagi aisay baal sir per kese rakhe jaa sakte hain jo namaz mein takheer ka sabab banain. Hazrat Saleh R.H ne kaha or phir foran hee governor misar abdul azeez ko khat likh kar bheja aur sara waqya tafseelan likha