Daane Daane Par Likha Hai Khane Wale Ka Naam Iman Afroz Waqiat دانے دانے پہ لکھا ہے کھانے والے کا نام Bachon Ke Liye Sabaq Amoz Kahaniyan

Sachay Islami Waqiat True Islamic Stories


sachay waqiat
Chote Bacho K Liye Kahani Bachon Ki Kahaniyan In Hindi


Stories For Kids In Hindi دانے دانے پر لکھا ہے کھانے والے کا نام


Thak! Thak! Thak! Kon? Azeez, Oh Azeez bhai Assalam o Alaikum! Wa Alaikum Assalam!
Kesy hain Aziz bhai? Alhamdulillah main theek hoon aap sunaye kesy hain?
G Allah ka shukar hai main bhi theek hoon. Andar aa jao Azeez bhai!

Nahin Arbaz bhai mujhe jaldi hai idhar he baat sun lain main ne Arbaaz bhai ko unke ghar bulanay k israr par jawab diya aur phir Arbaaz bhai batein karne lage. Arbaz bhai k chote bhai Museeb ghar se sharbat ka jag le kar aye aur 1 glass mujhe diya main is sharbat ko apne mun ki taraf barhane laga k isay pee loon junhi main ne glass ko apne muh k paas kiya abhi peeny he laga tha k achanak ek shkhs ne break lagai jiske sath aik bacha tha wo bola k beta 1 glass sada pani to laalden bohat pyas lagi hai.

Main ne apna glass jo peene he wala tha us admi ki taraf barha diya isne kaha nahin beta ye aap piye mujhe sada pani la dain. Main ne isko kaha nahin ye aap pee plain is aadmi ne wo sharbat piya aur shukriya karke chal diya. Wo aadmi to sharbat pee kar chala gaya lekin iske jane k baad main gehri soch mein gum ho gaya aur sochne laga k pata nahin ye aadmi kahan se safar karta hu aa raha tha iske zehan mein bhi nahin hoga k falan jagah par ja kar main ye sharbat piyon ga.

Main khud heran tha ka Museeb bhai bari mohabbat k sath ye sharbat mere liye laye thy aur main peene he wala tha lekin meri qismat mein nahin tha lehaza aadmi aaya aur pee kar chal diya.
Sakht sardi thi main anda khareedne k liye bahir nikala bahir road par mujhe anday wala kahin bhi dikhai na diya.


Main anda lene ke liye market ki taraf rawana hua thori door ja kar mujhe aik awaz sunai di "Garam Anday" main ne anday walay ko awaaz di wo qareeb aya to is se aik anda khareeda aur isay 100 rupay thama diye. Chunky mere pass khule paise nahin thy aur khud anda chilne lag gaya. Abhi wo paisay baqaya dene ke liye ginti kar raha tha k aik shakhs aya aur anday wale shakhs se mukhatib hua k mujhe jaldi 1 anda de dain meri gaari nikalne lagi hai.

Waqai he isay bohat jaldi thi anday wale ne uski surat e haal ko dekh kar mujhe kaha k bhai aap ye anda inko de dain main aap ko dusra anda de deta hun. Chunky us shakhs ko jaldi thi aur anday wala abhi pese gin raha tha to main ne apna anda jo cheel kar khane he wala tha wo us shakhs ko de diya. Us shakhs ne anda pakra aur gaari mein beth kar rawana ho gaya main ne socha k anda to main ne apne liye cheela tha lekin le koi aur gaya? Lekin phir main Allah Taala k feslon par raazi ho gaya aur mujhe yaqeen ho gaya k waqai he "Danay Daane Par Likha Hai Khanay Walay Ka Naam"
Pyare Bacho! Hum sab ko bhi yakeen hona chahiye k jo cheez jis insan ki kismat mein hai wo cheez usne kha kar he rehni hai chahe hum burger, pizza, shawarma aur ice cream waghera kamre ka darwaza band karke he kyon na khayen iski bohat si misalain aap ko apni roz marah ki zindagi mein dekhne ko milti hongi aur yaqeenan aap k sath bhi aisa kuch zaroor hua hoga.

Jab bhi aap koi achi cheez pakaye to apne dost, behan, bhai ya kisi aur ghareeb insan ko dawat zaroor dain Inn'sha'Allah phir dekhna is cheez mein barkat bhi hogi aur apas mein mohabbat bhi barhegi. Wesy bhi Allah k Nabi S.A.W.W ki hadees hai kay aik shakhs ka khana 2 aadmiyon ke liye aur 2 ka khana 3 aadmiyon k liye kafi ho jata hai. Allah Taala hamain apas mein mil beth kar khane ki taufeeq ata farmaye aur hamare dilon k andar payar aur mohabbat paida farmaye Aaameen.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu