Posts

Showing posts from March, 2020

Kalonji Kay Nanhay Danay Sehat Kay Khazanay Fennel Flower Health Benefits Kalonji Ke Fawaid In Urdu

Image
Kalonji Benefits in Hindi Kalonji kay Nanhay Danay Sehat Kay Khazanay Fennel Flower Seeds Benefits in Hindi/Urdu Kalonji Kay Gharelu ilaj Kalonji Dana Khane Ke Fayde Kalonji aik kisam ki ghaas hai iska poda khud ru aur taqreeban 40 centimeter buland hota hai jo k sonf se mushaba hai. Iska rang siyah aur surat pyaz k beejon se milti julti hai. Baaz log isay pyaz k beej he samjhte hain jabkay ye pyaz ka beej nahin iss poday mein phalliyan lagti hain jin mein kalay til k barabar mote danay hote hain jin ko kalonji kehte hain. Kalonji ka mizaaj khushk aur kalonji ki taseer garam hai. Kalonji mein wo tamam anaasar majood hain jo insani sehat k liye zaroori hote hain yani sodium, iron, zinc, fiber, calcium magnesium waghera. Kalonji Ki Hadees In Urdu/Hindi Hazrat Abu Huraira R.A se riwayat hai kay main ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ko ye farmate hue suna " Kalay danay kalonji mein har bimari maa siwaye maut k shiffa hai" To Aaj hum ko aap

Khatoon Ki Zahanat Momino Ki Zahanat Kay Qissay Islamic Sachay Waqiyat

Image
Khatoon Ki Zahanat Momino Ki Zahanat Kay Qissay Muslim Wisdom Stories خاتون کی ذہانت Hazrat Abdullah Bin Masood R.A bayan karte hain k aik dafa safar k doran main apne qafily se bichar gaya aur jungle mein kahin door nikal gaya. Wahan main ne aik borhi khatoon ko dekha jo aik darakht k tanay k pass bethi thi. Iski pareshan hali se main jan gaya kahin ye bhi meri tarah rasta bhool gayi hai main iske qareeb gaya aur kaha: "Assalam o Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh" Khatoon ne aam tarike se jawab dene ki bajaye Quran Majeed ki ye ayat parhi: "Unko parwardigar meharban ki taraf se salaam farmaya jaye." (Surah Yaseen Ayat No.58) Main ne pucha: "Aap yahan kya kar rahi hain?" Khatoon ne jawab mein Quran e Pak ki ye ayat parhi: "Jisay Allah Taala rehnumai se mehroom kar de, iske liye phir koi rehnuma nahin hai." (Surah Al Araf 186) Main samajh gaya k ye rasta bhool gayi hai isliye main ne pucha: "Aap kahan ja rahi hain?&q

Kya Khoob Hain....! کیا خوب ہیں وہ لمحے، اعمال، آنکھیں، زبان، قلوب، ہونٹ Wo Lamhe, Amaal, Aankhen, Zuban, Quloob Aur Hont

Image
Kya Khoob Hain...! Khoob Baatein Achi Baatein Sunehri Baatein Kya khoob hain wo lamhat...jo ibadat e ilahi mein guzren Kya khoob hain wo amaal...jo jannat kay zamin hoon Kya khoob hain wo ankhen...jo khauf e ilahi say ansu bahayen Kya khoob hai wo zuban...jo khush ikhlaqi k kalimat kahe Kya khoob hain wo quloob...jo khauf e khuda rakhen Kya khoob hain wo hont...jo zikr e ilahi se harkat karte hoon Kya khoob hain wo aankhen...jo sharam o haya wali hoon