Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika
Witr Ki Niyat Kaise Karte Hain Witr Ki Namaz Me Kya Padhna Chahiye in Urdu
Witr Ki Namaz Mein Dua Qunoot Kaise Padhe Witr Namaz Ki Niyat Ka Tarika In Hindi |
Tahajjud, Qiyam Ul Layl, Qayam e Ramzan aur Witr Fazeelat
Syedna Abu Amama R.A riwayat karte hain k Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya:
" Tahajjud zaror parha karo kyon ki wo tumse pehle Saliheen ki rawish hai aur tumhare liye apne rabb k qurb ka waseela, gunahon k mitany ka zariya aur mazeed gunahon se bachne ka sabab hai. "
Syedna Abu Huraira R.A riwayat karte hain k Rasool Allah S.A.W.W. ne farmaya:
Us shakhs par Allah ki rehmat ho jo raat ko utha, phir namaz e tahajjud parhi aur phir apni biwi ko jagaya, phir usne bhi namaz parhi. Phir agar biwi ghalaba e neend k bais na jaagi to uske muh par pani k cheenty mary. Us aurat par bhi rehmat hoti hai jo raat ko uthi, phir Namaz e Tahajjud parhi aur apne khawand ko jagaya. Phir usne bhi namaz parhi phir agar khawand ghalba e neend k bais na jaaga to uske muh par pani k cheenty maray.
Syedna Abu Huraira R.A kehte hain k Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya: " Farz namaz k baad sab namazon se afzal, raat (Tahajjud) ki namaz hai. "
Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya: " Jab insan sota hai to shaitan iske sir ki gaddi par 3 girhain lagata hai aur har girah k sath kehta hai k raat bari lambi hai to soya reh, phir agar wo bedar ho kar Allah ka zikr kare to 1 girah khul jati hai aur agar wuzu kare to dusri girah khul jati hai aur agar namaz parhe to teesri girah bhi khul jati hai. Aur wo shadman aur paak nafs ho kar subah ka karta hai warna iski subah khabees aur sust nafs k sath hoti hai. "
Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya: Allah Taala har raat jab aik tahai raat baqi reh jati hai asmaan e duniya par nazool farma kar farmata hai: " Koi hai jo mujhe pukaray, main uski dua qabool karon? Koi hai jo mujh se mangay, main usay doon? koi hai jo mujhse bakhshish talab kare, main usay bakhsh doon? "
Nabi e Rehmat S.A.W.W Ka Shukar Karne Ka Andaz
Syedna Mughaira R.A farmate hain k Rasool Allah S.A.W.W raat ko tahajjud mein itna lamba qaiyam karte k aap k paon sooj jate aap se sawal hua aap itni mushaqqat kyon karte hain?Halanky aap k agle pichle sab gunah maaf hain? Aap S.A.W.W ne farmaya: " Kya phir jab Allah Taala ne mujhe nabuwat k inamat, maghfirat ki daulat aur beshumar naimaton se nawaza hai to main Allah ka shukar guzar banda na banu. "
Neend Se Bedar Hone Ki Duain Nind Se Uthane Ki Dua with Urdu Tarjuma
Syeda Ayesha R.A farmati hain k Rasool Allah S.A.W.W jab raat ko bistar se tahajjud k liye uthte to ye parhte:
Phir wuzu waghera karke tahajjud shuru karte.
Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya jo shakhs raat ko neend se jaage aur kahe:
Rasool Allah S.A.W.W tahajjud k liye uthe to Aap S.A.W.W ne bethne k baad asman ki taraf nazar karke Surah Aal e Imran ki darj zail akhri 11 ayat 190 se le kar 200 tak parhin.
Urdu Tarjuma
Tahajjud Ke Liye Dua e Istiftah
Syedna Ibn e Abbas R.A riwayat karte hain k jab Rasool Allah S.A.W.W raat ko tahajjud ke liye kharay hote to Takbeer e Tehreema k baad ye dua parhte:
Rasool Allah S.A.W.W Ki Namaz E Tahajjud Ki Kaifiyat
Rasool Allah S.A.W.W ki Namaz e Tahajjud ka husn aur tool bayan nahin ho sakta.Syedna Abuzar R.A kehte hain Rasool Allah S.A.W.W ne tahajjud mein qayam kiya aur iss aik ayat ko Ejzulaah se bar bar parhte subah kar di:
Syedna Huzefa R.A ne Nabi Akram S.A.W.W ko tahajjud parhte dekha wo kehte hain k surah fatiha k baad Aap S.A.W.W ne surah baqarah parhi, phir ruku kiya aur Aap S.A.W.W ka ruku aap k qayaam ki manid tha yani qayaam ki tarah ruku bhi kafi taveel kiya phir aap ne ruku se sir uthaya aur aap ka qauma Aap S.A.W.W k ruku ki manind tha yani ruku ki tarah qauma bhi kafi lamba kiya phir aap ne sajdah kiya aur aap ka sajda qaumy ki manind tha yani qauma ki tarah sajdah bhi kafi lamba kiya phir sajdy se sir uthaya aur aap dono sajdon k darmiyan jalse mein apne sajde ki manind bethy thy yani sajde ki tarah jalse mein bhi dair lagai aur khoob itminan kiya is tarah aap ne 4 rakaton mein Surah Baqarah, Surah Aal e Imran, Surah Al Nisa aur Al Maidah parhin.
SubhanAllah! Ye thi Nabi e Rehmat S.A.W.W ki Namaz e Tahajjud sirf 4 rakat mein sawa 7 paaray parhe phir ruku, qaumy, sajdy aur jalsay ki darazi aur in mein tasbeehat aur duaon ko kasrat se parhna aap par khatam tha.
Syedna Huzefa R.A bayan karte hain k main aik raat Nabi Akram S.A.W.W k sath nafli namaz mein shareek hua aap ne Surah Baqarah shuru ki main ne socha aap 100 ayaat parh kar ruku mein jayenge magar aap parhte chale gaye. Main ne khayal kiya k Surah Baqarah ko 1 rakat mein khatam karenge lekin aap parhte rahe aap ne surah baqarah khatam karke
Surah Nisa shuru kar li phir isay khatam karke Surah Aal-e-Imran ko parhna shuru kar diya isay bhi khatam kar dala. Aap nihayat ahistagi se parhte jate thy. Jab aisi Ayat ki tilawat karte jis mein tasbeeh ka zikar hota to Subhan Allah kehte agar kuch mangne ka zikar hota to sawaal karte agar panah mangne ka zikr hota to Auzubillah parhte Surah Aal-e-Imran khatam karke Aap S.A.W.W ne ruku kiya.
is hadees se maloom hua k Tilawat e Quran mein tarteeb k khayal rakhna zaroori nahin kyon ki Aap S.A.W.W ne Surah Aal e Imran ki tilawat Surah Al Nisa k baad ki halankay Surah Aal-e-Imran tarteeb mein Surah Al Nisa se pehle hai.
Rasool Allah S.A.W.W ne Syedna Abdullah Bin Umro R.A se kaha: " Mujhe batlaya gaya hai k tum sari raat nafl parhte ho aur din ko roza rakhte ho. Agar tum aisa karoge to tumhari aankh kamzor aur tabiyat sust ho jayegi. Tumhari jan aur tumhare baal bachon ka bhi tum par haq hai isliye roza rakho iftar bhi karo raat ko qayam karo aur neend bhi.
Nabi Akram S.A.W.W 3 din se kam mein Quran e Majeed khatam karna pasand nahin farmate thy. Aap S.A.W.W ne Syedna Abdullah Bin Umro R.A se farmaya: " Aik mah mein Quran pak khatam kar liya karo. "
Unhone arz ki kay main is say zyada tilawat karne ki taqat rakhta hun aap ne farmaya: " To 20 din mein khatam kar liya karo. "
Unhone kaha main is se zyada taqat rakhta hun Aap S.A.W.W ne farmaya: " To 10 dino mein khatam kar liya karo." unhone kaha k main is se zyada taqat rakhta hun Aap ne farmaya: " 7 din mein khatam kar liya karo " is say zayda ki ijazat nahin. " Phir Aap S.A.W.W ne inhen Quran 3 din mein khatam karne ki ijazat de di aur farmaya: Quran e Pak se us shakhs ko puri samajh hasil nahi ho sakti jo 3 din se kam muddat mein Quran Pak khatam karta hai. "
Nabi Akram S.A.W.W ne farmaya: Jo shakhs raat k nawafil mein 200 ayaat tilawat karta hai, wo ataat guzar, mukhlis logon mein shumar hota hai. "
Nabi Akram S.A.W.W sari raat nawafil nahin parhte thy.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki 3 Duain
Syedna Khabbab Bin Art R.A jo Badri Sahabi hain, aik raat Nabi Akram S.A.W.W k sath thy. Farmate hain k aap tamam raat bedar rahe. Aur nawafil ada karte rahe yahan tak k subah sadiq ho gayi. Jab aap ne namaz se salaam phera to Syedna Khabbab R.A ne arz kiya kay Aye Allah K Rasool! Mere Maa Baap Aap Par Qurban! Aaj raat jis tarah aap ne nawafil parhe, is se pehle main ne kabhi aap ko is tarah namaz ada karte nahin dekha, Aap S.A.W.W ne farmaya:
Tumne durust kaha ye wo namaz thi jis mein Allah k sath ishtiyaq barhaya gaya aur uske azaab se panah mangi gayi, chanacha main ne Allah Taala se 3 sawal kiye jin mein se 2 qabool hue: aik sawal ye k Allah meri ummat ko sabiqa umaton ki tarah tabah o barbad na kare, isay Allah ne qabool farmaya, dusra sawal ye k meri saari ummat par bayak waqt dushmano ko ghalba hasil na ho, ye bhi qabool kar liya gaya phir main ne sawal kiya k Ummat e Muhammadia mein ikhtilaf runuma na ho lekin isay qabool nahi kiya gaya.
Rasool Allah S.A.W.W raat k nawafil mein kabhi sari yani ahista aur kabhi jahari yani buland awaz se qirat farmate.
Jab aap ghar mein nawafil ada karte to hujre mein aap ki qirat sunai deti thi.
Aap S.A.W.W aik raat bahir nikle to Aap S.A.W.W ne dekha k Syedna Abu Bakar R.A ahista qirat se nawafil parh rahe hain aur Syedna Umar R.A nawafil mein unchi awaz se qirat kar rahe hain.
Jab wo dono Rasool Allah S.A.W.W ki khidmat mein hazir hue to Aap S.A.W.W ne Syedna Abu Bakar R.A se farmaya: " Aye Abu Bakar! Raat mein aap k pass se guzra, aap past awaaz se nawafil parh rahe thy. " Unhone arz ki: Aye Allah k Rasool! Jis Allah se main sargoshi kar raha tha us tak meri awaaz pohanch rahi thi phir Aap S.A.W.W ne Syedna Umar R.A se kaha " Raat mera aap k paas se guzar hua, aap unchi awaaz se nafl parh rahe thy. " To unhone ne arz ki: Aye Allah k Rasool! Main soye huon ko bedar karna chahta tha k wo bhi Tahajjud parhen aur shaitan ko bhagane ka irada rakhta tha is par aap ne Syedna Abu Bakar R.A ko zara unchi awaz se aur Syedna Umar R.A ko zara neechi awaaz se parhne ka hukam diya.
Rasool Allah S.A.W.W Ka Namaz e Shab Ka Mamool
Syeda Ammi Ayesha Siddiqa R.A Nabi Akram S.A.W.W ki namaz e shab ka mamool bayan farmati hain: Ramzan hota ya ghair ramzan, Rasool Allah S.A.W.W raat ki namaz bilamoom 11 rakat se zyada nahin parhte thy. Pehle aap 4 rakat parhte pas inki khoobi aur darazi na pucho, phir aap 4 rakat parhte, pas inki khubi aur darazi bhi kuch na pucho. Phir aakhir mein aap 3 rakat witr parhte.
Namaz Mein Witr Kaise Padhe Jaate Hain Witr Namaz Ka Tarika For Ladies In Hindi
Witr Ki Namaz Ki Niyat
Niyat dil k iraday ka naam hai isliye jab bhi aap koi bhi naik kaam karne lage ya Namaz ada karne lage to uski niyyat sirf apne dil mein karen zuban se alfaz ada karna kisi bhi Sahih Hadees se sabit nahi hai. Irshad e Nabvi S.A.W.W hai:
إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ
Tarjuma: "Amaal ka daromadar niyaton par hai"
Rasool Allah S.A.W.W ka bilamoom witr parhne ka tarika Syeda Ayesha R.A. youn bayan farmati hain k Nabi Akram S.A.W.W Namaz e Isha se Fajar tak 11 rakatain parhte. Har 2 rakaton par salaam pherte aur 1 rakat witr parhte.
Rasool Allah S.A.W.W ne hamen bhi yehi taleem di chanacha Syedna Ibn e Umar R.A se riwayat hai kay Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya: " Raat ki namaz 2, 2 rakatain hain. Jab Subah Sadiq hone ka khatra ho to aik rakat parh lo, ye aik rakat pehli sari namaz ko taaq bana degi.
Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya: " Jab tum raat ko nawafil parhna shuru karo to pehle 2 halki rakatin ada karo".
Aap ne raat ka qayam kiya pehle halki 2 rakatain parhin, phir 2 taweel rakatain parhi, phir inse halki 2 taweel rakatain parhin, phir in se halki 2 taweel rakatain parhin, phir inse halki 2 taveel rakatain, phir in se halki 2 taveel rakatain aur phir 1 rakat witr parha ye 13 rakatain huin. Aap ki har 2 rakatain pehle wali 2 rakaton se halki hoti thin.
Syeda Ayesha R.A riwayat karti hain k Rasool Allah S.A.W.W 1 rakat witr parhte. Akhri 2 rakaton aur 1 rakat k darmiyan salaam phair kar baat cheet bhi karte.
Syedna Ibn e Umar R.A riwayat karte hain kay Rasool Allah S.A.W.W witr ki 2 aur 1 rakat mein salaam se fasal yani judai karte.
Syedna Ibn e Abbas R.A se kaha gaya k Ameer ul Momineen Syedna Muawiya R.A ne 1 he witr parha hai. Syedna Ibn e Abbas R.A. ne farmaya k unhone drust kaam kiya wo Faqih aur Sahabi hain.
Imam Mroozi R.A farmate hain kay fasal witr ki 2 rakat k baad salaam pher kar 1 rakat alag parhne wali ahadees zyada sabit hain.
Syeda Ayesha R.A farmati hain k Rasool Allah S.A.W.W raat ko kabhi 7, kabhi 9, kabhi 11 rakatin parhte thy.
Is tafseel se maloom hua k Rasool Allah S.A.W.W ne Qiyam ul Layl 7 rakat se 13 rakat tak farmaya hai.
5 Rakat, 3 Rakat, Aur 1 Rakaat Witir
Syedna Abu Ayyub R.A riwayat karte hain kay Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya: " Witr har musalman par haq hai, jo shakhs 5 rakat witr parhna chahe to 5 rakat parhe aur jo koi 3 rakat witr parhna chahe to 3 rakat parhe aur jo koi 1 rakat witr parhna chahe to 1 rakat witr parhe.Rasool Allah S.A.W.W raat ko qul 13 rakat parhte aur in mein 5 rakat witr parhte thy aur in 5 witron mein kisi rakat mein tashahhud k liye na bethty magar akhir mein.
Maloom hua k witron ki 5 rakaton k darmiyan Tashahhud k liye kahin nahin bethna chahiye balkay 5 rakatain parh kar qa'ada mein Attahiyat, Darood aur Dua parh kar salaam pher dena chahiye.
3 Witron Ki Qira'at
Syeda Ayesha R.A se riwayat hai k Rasool Allah S.A.W.W pehli rakat mein (Sabihisma Rabbikal Aala) Dusri rakat mein (Qul Ya Ayyuhal Kafiroon) aur teesri rakat mein (Qul Huwa Allahu Ahad)parhte the.
Nabi Akram S.A.W.W ne farmaya: "1 raat mein 2 bar witr parhna jaiz nahin. "
Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya: "3 witr na parho 5 ya 7 witr parho aur maghrib ki mushabihat na karo."
Maloom hua kay witr mein Namaz e Maghrib ki mushabihat nahin honi chahiye.
Nabi Akram S.A.W.W ne farmaya: "Raat ko apni akhri namaz witr ko banao. "
aur farmaya: "Witr akhir raat mein 1 rakat hai."
Nabi Akram S.A.W.W ne farmaya: Jo shakhs akhir raat mein na uth sake to awwal shab witr parh le aur jo akhir rat uth sake, wo akhir rat witr parhe kyon ki akhir rat ki namaz afzal hai. "
Syeda Ayesha R.A se riwayat hai k Rasool Allah S.A.W.W ne awwal raat, raat k wast aur pichli raat yani raat k har hissay mein witr parhe.
Saad Bin Hashaam R.A ne Syeda Ayesha R.A ki khidmat mein hazir ho kar kaha:
Aye Momino ki Maa! Mujhe Rasool Allah S.A.W.W k witr k baray mein batlayen to Syeda Ayesha R.A ne farmaya: Main Aap S.A.W.W ki liye misvak aur wuzu ka pani tayar rakhti. Phir jab Allah chahta aap ko raat k waqt uthata to aap miswak karte aur wuzu karte aur 9 rakat namaz witr parhte saaton rakaton mein Attahiyat na bethty balke aathwen (8th) rakat k baad qaaday mein bethty, pas Allah ko yaad karte, uski tareef karte aur dua mangte. Phir salaam phere baghair kharay ho jate, phir nowen (9th) rakat parhte aur iske baad akhri qaaday mein baith jate aur Allah ko yaad karte aur uski tareef karte aur us se dua mangte, phir salaam pherty aur hum salaam ki awaaz sunate, phir bethe bethy 2 rakatain parhte.
Yun aap 11 rakaat ada farmate. Umm ul Momineen R.A farmati hian: Beta! Jab Rasool Allah S.A.W.W bari umar ko pohanche aur jism bhari ho gaya to aap 7 rakat witr parhte thy aur baad mein 2 rakatain bhi parhte, yun 9 rakat ho jatin. Aap is baat ko na pasand karte thy k apni namaz par hameshgi karen. Jab neend ya bimari ka ghalba hota aur raat ko qayam na kar sakte to din mein 12 rakat nafal parhte aur main nahin janti k Aap S.A.W.W ne 1 raat mein pura Quran parha ho ya raat namaz parhi ho ya Ramzan k ilawa kisi aur mahine mein pure rozay rakhe hoon.
Is hadees se 2 baatein maloom hui: Aik ye k Nabi Akram S.A.W.W ne 1 salaam k sath 9 witr parhe aur 7 bhi dusri baat ye sabit hui k aap har 2 rakaton k baad Attahiyat nahin bethty thy balke sirf aathwen (8th) rakat mein Tashahud parhte aur salaam phery baghair kharay ho jate aur phir taaq rakat k akhir mein hasb e mamool tashahud parh kar salaam pher dete.
Witron Kay Salaam Kay Baad Ki Dua
Syedna Abi Bin Ka'b R.A se riwayat hai kay Rasool Allah S.A.W.W witron se salaam 3 bar ye parhte aur akhri dafa awaz ko bhi buland farmate:SubhanAllah Malikil Quddus Rabbul Malaikati Waroh Tarjuma:-
" Paak hai badshah, Nehayat paak. "
Nabi e Mukarram S.A.W.W ne farmaya hai: "Agar koi shakhs witr parhne se soya rahe pichli raat uth na sake ya witr parhna bhool jaye to usay jab yaad aye woh witr parh le. "
Nabi Akram S.A.W.W ne farmaya: Jo shakhs raat ka wazifa ya is say kuch hissa parhne se soya raha aur uth na saka, phir isay namaz e fajar se zohar k darmiyan ada kar liya to usay raat he k waqt ada karne ka sawab mil gaya."
Humein apni wazeefa pura karna chahiye kyon ki Nabi Akram S.A.W.W ne farmaya: " Allah Taala k haan mehboob tareen amal wo hai jo hamesha kiya jaye, khaw thora he ho."
Huzoor Muhammad S.A.W.W ne Syedna Abdullah Bin Umro Bin Al Aas R.A se farmaya:
" Aye Abdullah! Tu falaan shakhs ki tarah na ho jana jo raat ka qayaam karta tha, phir isne raat ka qayam chor diya."
Dua e Qunoot
Syedna Abi Bin Ka'b R.A farmate hain:Rasool Allah S.A.W.W 3 witr parhte aur Dua e Qunoot ruku se pehle parhte the. "
Witr mein ruku k baad Dua e Qunoot ki tamam riwayaat zaeef hain aur jo riwayaat sahih hain in mein sarahat nahin k Aap S.A.W.W ka ruku k baad wala qunoot, qunoot witr tha ya qunoot naazla, lehaza sahih tarika ye hai k witr mein qunoot, ruku se qabal kiya jaye.
Rasool Allah S.A.W.W ne masjid k andar 2 satoonon k darmiyan latki hui rassi dekhi to pucha: "Ye kya hai? " Logon ne kaha: Ye Sayeda Zainab R.A ki rassi hai wo raat ko nafil namaz parhti rehti hain, phir jab sust ho jati hain ya thak jati hain to iss rassi ko pakar leti hain. Aap S.A.W.W ne farmaya: Isay khol do, har shakhs apni nishat aur chusti k muwafiq namaz parhe, phir sust ho jaye ya thak jaye to aaram kare."
Nabi Akram S.A.W.W ne farmaya: Itna amal ikhtiyar karo jis qadar tumhe taqat ho. Allah ki qasam! Allah sawab dene se nahin thakta lekin tum amal karne se thak jaoge."
Syedna Hassan Bin Ali R.A riwayat karte hain k Rasool Allah S.A.W.W ne mujhe kuch kalimat sikhaye takay main inhen Qunoot witr mein kahon:
Tanbihat
Dua e Qunoot witr mein haath uthane k baray mein marfou riwayat nahi hai albata Musannaf Ibn e Abi Shayba mein baaz asaar milte hain isliye haath utha kar ya haath uthaye baghair dono tarikon se qunoot witr ki dua parhna sahi hai.Rabbana Wa Taa Aliaeet k baad Nastaghfiruka Wa Natubu Elaek k alfaz Rasool Allah S.A.W.W ki ahadees mein maujood nahi hain balke baaz Ulama ki taraf se izafa hai.
Syedna Ibn e Umar R.A k samnay aik aadmi ko cheenk ayi to usne Alhamdulillahi Wassalatu Wassalamu Ala Rasoolallah kaha, ye sun kar Syedna Ibn e Umar R.A farmane lage:
Main bhi Alhamdulillahi Wassalatu Wassalamu Alaa Rasool Allah keh sakta hun magar Rasool Allah S.A.W.W ne is mauka par humein ye taleem nahi di balke ye farmaya hai:
"Cheenk aane par Alhamdulilllahi Alaa Kulli Haal parha jaye.
Syeda Ayesha R.A se riwayat hai k Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya:
"Jis ne hamare is deen mein koi aisi baat shamil ki jo is mein se nahi hai to wo mardood hai."
Maloom hua k masnoon azkaar aur duaon mein apni taraf se kisi qisam ki ziadti nahin karni chahiye.
Sahih Ibn e Khuzaima Hadees No.1100 mein Syedna Abi Bin Ka'b R.A se sabit hai k wo Syedna Umar R.A k daur mein ramzan mein Qiyam Ul Layl karaate aur qunoot mein Nabi Akram S.A.W.W par durood bhejty thy. Lehaza Qunoot e Witr k akhir mein Sallallahu Ala Al Nabi parhna durust hai.
Qunoot e Naazilah Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika
Kuffar k sath jang, musalmano par aamda musibat aur ghalba e kuffar k waqt dua e qunoot parhni chahiye. Isay qunoot e naazilah kehte hain. Ameer Ul Momineen Syedna Umar Bin Khattab R.A fajar ki namaz mein ruku k baad qunoot karte aur ye dua parhte thy.
Rasool Allah S.A.W.W jab kafiron par bad dua ya musalmano k liye naik dua ka irada farmate to akhri rakat k ruku k baad " Samiallahu liman Hamidah Rabbana wala Kal Hamd " kehne k baad unchi awaz se dua farmate.
2. (Qunoot e Naazilah) mein aap S.A.W.W ne apne dono hath uthaye.
Rasool Allah S.A.W.W ne 1 maah tak paanchon namazon mein ruku k baad qunoot e naazilah parhi aur Sahaba R.A aap k peeche Aameen kehte thy. Post ko apne doston ghar walon aur janne walon mein share karen takay aap ki wajah se kisi ki Witr Ki Namaz theek ho sake aur ye aap ke liye Sadqa e Jariya ban jaye JazakAllah Khairan Kaseera Fi Duniya Wa Akhira
Comments
Post a Comment