Posts

Showing posts from 2014

MAA Aik Adhuri Tehreer MAA Di Shaan MAA Ki Tareef MAA Ka Muqam

Image
Lafz MAA ke jis ko ada karte hue honth bhi khoobsurati say apas mein mil jaate hain jis qadar mohabbat sey ada karo gay utni hee chashni har dafa mehsoos karo gaye jitne bhi pyar say isay socho ge itni halawat tumhari muntazir hogi aaj qalam utha kar mujhe mehsus howa keh baaz alfaaz ki tashreeh karna khasa mushkil hua karta hai. Mere alfaz goya shaam ke surmai chadar mein ulajhte he chalay ja rahay hain dil sargoshiyan kar raha hai toh dimag ko sochna mushkil nazar aa raha hai qalam inkar kar raha hai ke itni mohabbat bayan karne se qasir hun to waraq bhi itni chashni samotay hue halkaan hue jaa raha hai "MAA" ek mohabbat bhara ehsaas! kisi kay liye maa saiban hai to kisi kay liye dharti. Koi kehta hai MAA ek shajar hai toh kisi ko MAA or phool mein faraq nazar nahi aata kabhi sunta hun MAA gulistan hai kisi ki gardan hai kay MAA aab-e-rawaan hai shayaron ke liye MAA ulfaton ki pakeezah ghazal hai kisi ki zuban par hai ki MAA ek saya hai to kisi ko MAA ke liye faqat la

Achi Batain, Maa Aur Haraf Bolte Hain

Achi Batein Janwar apne Malik ko pehchanta hai lekin insan apne Rab ko nahi pehchanta. Jab qareebi rishtaydar muhtaaj hoon inhain chor kar dosron ko nawazna acha nahi. Apni massail is kay samne paish karo jo isay hal karne par qaadir ho agar gunah karna chahte ho to kar lo lekin Allah se chup kar aur iski kayenat say bahir nikal kar. Charaagh khaw kitna he chota kyun na ho dunya ka pora andhera bhi mil kar isay nahi bhuja sakta isliye koi choti si neki bhi jahan kay bure logon say dar kar mat choro. Maa Maa zindagi hai markaz sabr o qaraar hai Maa ek chaman hai jis mein musalsal bahaar hai Maa lateef hai sakoon hai shafqat hai pyar hai Maa ek azeem naimat parwardigar hai Maa pehli darasgah hai aqal o shaur ki Maa shama frozan hai muhabbat kay noor ki Maa hai nazara qudrat rab e jaleel ka Maa chashma e khaloos hai ulfat ki jheel ka. Haraf Bolte Hain Bure logon kay sath bethne say tanhai behtar hai Kam bolna aqalmandi hai Haqeer sey haq

Aisay Thay Hukamraan Khilafat Ka Daur

Aisay Thay Hukamran Abdul Bin Azeez Marwan Misar kay governer thy jab in kay betay umar nay hosh sanmbhala to apko inki taleem o tarbiat ki fikar laahaq hui to aap ne inko Saleh Bin Keysan R.H kay pass Madina Munawwara taleem o tarbiat kay liye bhej diya. Hazrat Saleh R.H nay bari mehnat kay sath in ki tarbiat farmai khaas taur par Namaaz ki taakeed farmate or Namaz mein kotahi bardasht na karte aik din Umar Namaz mein dair say pohnche namaz sey faraghat kay bad Hazrat Saleh R.H ney shagird ko tanbeeh ki or dair say aanay ki waja puchi. Pucha Beta aaj namaz mein itni dair sey kuyn aaye......? Hazrat main baal sanwar raha tha iss pey zara dair ho gai Umar ne jijhak kar apne ustaad ko jawab dia acha ab baalon ki taraf itni tawaju ho gai hai kay namaz mein takheer hone lagi aisay baal sir per kese rakhe jaa sakte hain jo namaz mein takheer ka sabab banain. Hazrat Saleh R.H ne kaha or phir foran hee governor misar abdul azeez ko khat likh kar bheja aur sara waqya tafseelan likha

Farman E Elahi Aur Hadees E Nabwi (S.A.W.W)

Farman E Elahi " Aur wo log jinhen wo Allah kay siwa pukarte hain, wo kuch bhi peda nahi karte aur wo khud peda kiye jate hain. Murday hain, zinda nahin hain aur wo nahi jante kab uthaye jayein gay " (Reference Surah Al Nahal 21,20) Hadees E Nabwi (S.A.W.W) Rasool Allah (S.A.W.W) Ne Hazrat Ayesha (R.A) Se Farmaya Kay " Allah kay naik aur khuda taras banday wo hain jo roza rakhte hain, namazain parhte hain aur sadqa o khairat karte hain iss kay bawajood is bat say darte hain keh kahin in ki ibadatain radd na ho jayein, yehi log tezi say neki ki taraf barhne wale hain ".

Masoom Bachay Ki Dua

Image
Bache Ki Dua Mere Achay Allah Mere Pyare Allah Mujh Ko Bhi Apni Rehmat Say Acha Bana Main Chamakta Rahoon Jagmagata Rahon Chand Ban Kar Andheron Par Chaata Rahon Naik Afkar Se Ilm Pata Rahon Naik Kirdar Se Jagmagata Rahoon Mere Ache Allah Mere Pyare Allah Apni Rehmat Se Mujh Ko Bhi Acha Bana Ya Elahi! Jism Mein Jab Tak Humari Jan Rahe Tujh Pe Sadqe Tere Mehboob Pe Qurban Rahe Main Rahon Ya Na Rahon Magar Dua Hai Dil Ki Deen E Muhammad (S.A.W.W.) Rahe Aur Izzat E Quran Rahe.

Mukhtasir Magar Sach

" Mukhtasir Magar Sach " Imaani Juraat : Tehreek Khatam e Nabuwat 1974 mein Wah cantt mein ek jaloos nikala police ne kai shuraka ko giraftar kar liya in mein aik saat saala bacha bhi tha muqami dsp ne is ko murga bana kar pucha, Batao tumhari peeth par kitne joote marun....? bachay ne bari masoomiyat aur emaani jura'at se jawab diya! itne jote maro jitne tum qayamat kay din kha sakte ho, itna sunte he dsp khauf aur nidamat se paseena paseena ho gya bachay se maafi mangi aur isay ghar chor aya.

Munfarid Khasusiyat

" Munfrid Khasusiyat " Hazrat Afra Razi Allah Hu Ta'ala Anha ki aik khasosiyat aisi hai jo kisi aur sahabiya mein nahi payi jati wo yeh kay in kay saat betay, pehle shohar haaris se teen, aouf, ma'auz, mua'az aur dosray shohar bakeer sey chaar betay ghazwa e badar mein shareek hue aisi sahabiya aurat jin kay  chaar betay ghazwa e badar mein shaheed hue hoon wo sirf Hazrat Afra Razi Allah Hu Ta'ala Anha hain.

Shifa Kin Cheezon Mein Hai....?

Shifa Kin Cheezon Mein Hai? Pyare Saathiyo! Allah Ta'ala Ne insan kay liye in cheezon mein shifa rakhi hai. Quran-E-Kareem parhne mein shifa hai. Sadqa karne mein shifa hai. Aab-E-Zamzam mein shifa hai. Sila Rehmi karne mein shifa hai. Shehad kay istemal mein shifa hai. Kalunji kay istemal mein shifa hai. Surah Fatiha mein shifa hai.

Farman e Elaahi Allah Ki Ebadat Karo

Farman e Elaahi  Allah Ki Ebadat Karo Aey Logo Tum apne parwardigar ki ebadat karo jis ne tumhain aur tumse pehle logon ko peda kiya taa kay tum (is kay azab se bacho). isi (Allah) ne tumhare liye zameen ko bichona aur asmaan ko chat banaya aur asmaan say meen barsa kar tumhare khane kay liye tarha tarha kay meway peda kiye. Pss kisi ko Allah ka barbar na banao, jab kay tum jante ho. (Ref. Surah Albaqarah 21-20) Maa Baap Ki Khidmat Sayyedena Abu Huraira R.A Se Riwaeyat hai kay Hazoor e Aqdas S.A.W.W ne irshad farmaya kay " Wo Zaleel ho, Wo Zaleel ho, Wo Zaleel ho " Araz kiya gaya kaun aey Allah kay Rasool S.A.W.W Farmaya " Jis ney apne maa baap ya dono mein say kisi ko burhapay mein paya aur phir (inki khidmat kar kay) Jannat mein daakhil na howa "

Achay Aur Buray Logon Ki Pehchan

Image
Achay Aur Buray Logon Ki Pehchan Ache Logon Ki Pehchan Syedna Abu Huraira Razi Allahu Ta'ala Anho Se Riwayat Hai Kay Rasool Allah (S.A.W.W) Bethe hue kuch logon kay pass say guzray to thori dair thehre aur in se Farmaya: " Kya main aap logon ko yeh na bata dun k tum mein se achey log kaun hain aur kon say log buray hain? Sahaba Karam Rizwan Allahi Alaihim Ajmaeen ne arz kiya: Beshak humain batain kay hum sab mein se acha kaun hai aur bura kaun hai Aap S.A.W.W ne irshad farmaya: " Tum mein se ache wo log hain jin se bhalai ki umeed ki jaye aur inki burai se bay khauf raha jaye aur tum mein se bure wo log hain jin se na bhalai ki umeed ki jaye aur na inki burai se bay khauf raha jaye " (Tirmizi Shareef) Nabi Kareem S.A.W.W Ki 3 Wasiyatain  Syedna Abu Zar Ghaffari Razi Allahu Taala Unho kehte hain k Nabi Akram (S.A.W.W) ne mujhe chand baton ki wasiyat farmai: Mujhe wasiyat farmaya kay wo jo log mujh se maal o izzat mein fauqiyat rakhte hoon ink

Garmiyon Ki Chuttiyan Kese Guzarain Farigh Waqt Ka Behtreen Istemal Karen Bacho Ki Chutian Guzarne Ka Sahi Tarika

Image
Time Pass Kaise Kare Waqt Ka Sahi Istemal Time pass Karne Ke Liye Kya Kare Pyare Bacho! Haqeeqat to yeh hai kay sabhi pyare hote hain har dil azeez hote hain maa baap kay liye dil ki thandak aur behan bhaiyon ki ankhon kay taray hote hain bachon se to har koi pyar karta hai kay bachay mann kay sachay aur masoom hote hai sachay pyar kay taalib hote hain ye nau nihaal bharpoor tawaja aur tarbiyat kay mustahiq hote hain jaise ek nanhi si konpal lekin yeh bhi khayal rahe pyar o mohabbat baja ho be jaa na ho kay be jaa laad pyar bachon kay liye zehar e qaatil say kisi bhi tarah bhi kam mohlik nahin kisi ney kya khoob kaha hai "Bachon say kabhi pyaar mein koi kasar na rakh kirdaar par zara in kay sakhti say nazar rakh" mazeed arz kiya hai "Hai pyar ke izhaar ka yeh bhi ek tariqa maa baap ki tanbeeh ka dil pay asar na rakh" Toh hum apni baat ka aghaaz wahin se karte hain pyare bacho May ka mahina shuru hote hee ghar ghar mein har school har class mein mausam e

Momin Ka Hathyar Dua (دعا﴿

Image
Wo To Dene Pay Hai Mayel Koi Mangey To Sahi Hum Ne Mangi Ho Kabhi Dil Se Dua Yaad Nahi Quran-E-Majeed Allah Taala Ka Irshad Hai. " Tumhare Parwardigar Ne Kaha Hai Tum Mujse Mango Main He Tumko Dunga" Humare Pyare Nabi Kareem (S.A.W.W) Ka Farman Hai. "Dua Karne Sey Ajaz Mat Hoon Aur Is Say Ghaflat Mat Karo Kuyn Kay Dua Karne Wala Barbad Aur Halaak Nahi Hota" Aik Hadees Mein Hai Kay: " Dua nijaat dilati hai is bala say jo aane wali hai aur jo abhi nahi ayi hai. Balaa wa musibat asmaan se utarti hai kay dua is say ja milti hai to dono larti hain yani balaa asmaan se utarna chahti hai tu dua is ko rokti hai aur dua bala dono ka ye muqabla qayamat tak jari rahe ga. Khaalis dua duaon mein ye asar hai kay dua taqdeer ko bhi phair sakti hai. Humare Pyare Nabi Kareem (S.A.W.W) Ka Farman Hai: "Taqdeer Ko Dua Hee Phair Sakti Hai" (Tirmizi) Sach Hai. "Ghulami Mein Kaam Aati Hain Shamsheerien Na Tadbeerien Ho Zauq Yaqeen Paida To Kat Jati