Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Namaz Parhne Ka Tarika In Hindi and Urdu Sahih Hadees Ke Mutabiq Step by Step


Namaz Me Kya Kya Padhna Chahiye Namaz Parhne Ka Sahi Tarika In Urdu 


 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ


Note: Namaz Padhne Ke Liye Aap Ke Jism aur Kapdon Ka Paak Saaf Hona Lazmi Hai aur Namaz Shuru Karne Se Pehle Wazu Karna Farz Hai Kyun Ki Wazu Ke Baghair Namaz Nahi Hoti.


Quran E Pak Ki Surah Al-Maidah Ayat No.6 Mein Allah Ta'ala Ka Irshad Hai.


مومنو! جب تم نماز پڑھنے کا قصد کیا کرو تو منہ اور کہنیوں تک ہاتھ دھو لیا کرو۔ اور سر کا مسح کرلیا کرو۔ اور ٹخنوں تک پاؤں (دھولیا کرو) اور اگر نہانے کی حاجت ہو تو (نہاکر) پاک ہو جایا کرو اور اگر بیمار ہو یا سفر میں ہو یا کوئی تم میں سے بیت الخلا سے آیا ہو یا تم عورتوں سے ہمبستر ہوئے ہو ، اور تمہیں پانی نہ مل سکے تو پاک مِٹّی لو اور اس منہ اور ہاتھو کا مسح (یعنی تیمم) کرلو۔ خدا تم پر کسی طرح کی تنگی نہیں کرنی چاہتا بلکہ یہ چاہتا ہے کہ تمہیں پاک کرے اور اپنی نعمتیں تم پر پوری کرے۔ تاکہ تم شکر کرو۔   

(Surah Al-Maidah Ayat No.6)


1st Step:

NIYYAT (نیت)





Namaz ke liye Niyat lazmi hai aur niyat dil ke irade ka naam hai.Zubaan se niyat Sunnat se sabit nahi.Aap jo namaz parh rahe ho uski niyat kar lein. Aur Phir Takbeer Allah-O-Akbar keh kar apne seedhe hath ko niche rakhe aur bayen haath ko opar rakhen phr apne dono haath seene par rakh kar bandh lein.

TAKBEER (تکبیر)


اَللہُ اَکبَر

:ترجمہ

 Allah Bohat Bara Hai.
Namaz Me Kya Padha Jata Hai In Hindi


SANAA (ثنآ)


سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعالَى جَدُّكَ وَلا إِلَهَ غَيْرُكَ

 :ترجمہ

Ae Allah teri zaat khatao'on se paak hai khoobiyan wali hai,aur tera naam barkat wala hai,aur teri shaan oonchi hai aur tere siwa koi ibadat ke qabil nahi.

TA'AWWUZ (تعوذ)



أَعُوْذُ بِا للّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ



:ترجمہ

Panaah maangta hoon main Allah ki shaitan mardood se.

TASMIYAH (تسمیہ)


بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ 

Shuru Allah ka naam le kar jo bara meherbaan aur nihayat reham karne wala hai.

Al-Fatihah (سورۃ الفاتحہ)


بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ 




اَلۡحَمۡدُ لِلّٰهِ رَبِّ الۡعٰلَمِيۡنَۙ * الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِۙ‏ مٰلِكِ يَوۡمِ الدِّيۡنِؕ * اِيَّاكَ نَعۡبُدُ وَاِيَّاكَ

نَسۡتَعِيۡنُؕ * اِهۡدِنَا الصِّرَاطَ الۡمُسۡتَقِيۡمَۙ‏ * صِرَاطَ الَّذِيۡنَ اَنۡعَمۡتَ عَلَيۡهِمۡ ۙ * غَيۡرِ

*الۡمَغۡضُوۡبِ عَلَيۡهِمۡ وَلَا الضَّآلِّيۡنَ


:ترجمہ

Sab tarah ki tareef Allah ke liye jo tamaam makhluqat ka paalne wala hai. Bara Meherban nihayat reham karne wala hai. Qayamat ke din ka maalik hai. Aye hamarey Rabb hum teri hi ibadat karte hain aur tujh hi se madad mangtay hain. Hum ko seedha raasta dikhaa. Un logoon ka raasta jin par tum ne inaam farmaya, na un ka jin par tera ghazab naazil hua aur na gumrahon ke. (AAMEEN)

Surat Al-Fateha parhne ke baad Quran ki koi bhi surat jo aapko yaad ho parhein.ya kam az kam teen Ayaat laazmi parhein.for example:Surah Al-Kausar.

Surah Ikhlas

سورة الإخلاص

قُلْ هُوَ اللهُ أَحَدٌ {1} 

اللهُ الصَّمَدُ {2} 

لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ {3} 

وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ {4}

2nd Step:

Ab Rafa Yadain Karne Ke Liye Apne Dono Hath Samne Ki Taraf Uthayen Jistarah Tasveer mein bataya Gaya Hai.
Namaz Ka Sahi Tarika Sunni In Hindi

3rd Step:

Ab Allah o Akbar keh kar Ruku mein chale jaayein.


Namaz Me Kya Kya Padhna Chahiye 

RUKU KI DUA (رکوع کی دعا)

سُبْحَانَ رَبِّیَ الْعَظِیْمْ (3) بارکہیں

:ترجمہ

Paak hai mera Rabb jo bari Azmat wala hai. (3 times)


4th Step:


Phir Ruku se seedha khare hote hue Rafidain karen aur yeh alfaaz kahein.


Sahih Namaz E Nabvi

RUKU SE UTHNE KI DUA (رکوع سےاٹھنےکی دعا)


Namaz Padhne Ki Dua Aur Tariqa

سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ ، حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ

:ترجمہ

Aye Allah! Aye Hamare Rab! Teri he Tareef hai, bohat sari hamad, Pakeeza aur babarkat.

5th Step:

Ab Sajde mein chale jayen aur dono Sajdon mein yeh dua parhein.

Sajda Karne Ka Sahi Tarika


SAJDA KI DUA (سجدہ کی دعا)

سُبْحَانَ رَبِّیَ الْاَعْلیٰ (3) بارکہیں

:ترجمہ

Paak hai mera Rabb jo bohat boland shaan wala hai. (3 times)

6th Step:

Iss tariqay se baqi Namaz ki Rakaat ko poora kare, aur aakhri rakaat mein do zanoo ho kar beth jaein iss haalat ko AL-TAHIYYAAT kehtay hain.


Namaz Kaise Padhna Chahiye

AL-TAHIYYAAT KI DUAEIN (التحیات کی دعاعیں)




التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، السَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ


وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ،


أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ*‏‏



:ترجمہ


Hamari zindagi aur Namaaz aur Pakeezgi sirf Allah ke liye hai. Ae Nabi (S.A.W.W) Aap par Allah ki Salaamti aur Rehmat naazil ho. Aur salaam ho hum par aur Allah ke Naik bandon par. Main gawahi deta hoon k Allah ke siwa koi ibadat ke kaabil nahi aur main gawahi deta hoon k Muhammad (S.A.W.W) Allah ke banday aur Rasool hain.

iske baad Durood Sharif parhein.

DUROOD E IBRAHEEMI (درودِابراھیمی)


اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ

وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ



اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ،وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ،
*إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ

 :ترجمہ

Ae Allah Rehmat naazil farmaa Muhammad (S.A.W.W) par aur Aap ki AAL (aulaad) par jaisa k Rehmat naazil farmaee tu ne Ibrahim (A.S) aur Ibraheem (A.S) ki AAL par beshak tu bohat tareef ke qaabil aur bari buzurgi wala hai.
Ae Allah Barkat naazil farmaa Muhammad (S.A.W.W) par aur Aap ki AAL par jaisa k Barkat naazil farmaee tu ne Ibraheem (A.S) par aur Ibraheem (A.S) ki AAL par beshak tu bohat tareef  ke qaabil aur bari buzurgi wala hai.

Durood Sharif Ke Baad Yeh Dua Parhein:


 ‏اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ ‏‏الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ ‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَفِتْنَةِ الْمَمَاتِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ ‏الْمَأْثَمِ ‏ ‏وَالْمَغْرَمِ

:ترجمہ

Ae Allah main teri panaah maangta hoon Qabar ke azaab se, aur main teri panaah maangta hoon Dozakh ke azab se, aur tujh se panah mangta Maseeh DAJJAL ke fitnay se,aur teri panaah maangta hoon zindagi aur maut ke fitnay se.Ae Allah main teri panaah maangta hoon Gunah aur Qarz se.

EXTRA DUAIN (دیگردعاعیں)



رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلاَةِ وَمِن ذُرِّيَّتِي رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاء * رَبَّنَا 

اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ إبراهيم/35-41

 :ترجمہ

Ae mere Rabb mujhe Namaz ko qaim karne wala bana de aur meri aulad ko bhi, aur ae hamare Rab meri dua qabool farma. Ae hamaray Rabb mujh ko aur mere maa baap ko aur tamam momineen ko Baksh de uss din jab amaloon ka hisaab hone lage.

رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ


:ترجمہ

Aye hamare Rab hamein duniya mein bhi bhalai ata farma aur aakhirat mein bhi bhalai ata farma, aur hamein Dozakh ke azab se bacha le.

Last Step:

iss ke baad pehle apne dayen janib aur phir bayen janib chehra pherte hue yeh dua parhein.

 Ahle Sunnat Wal Jamaat Namaz Ka Tarika

السَّلامُ عَلَيْكُم ورَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكاتُهُ

:ترجمہ

Salaam ho aap par aur Allah ki Rehmat aur Barkat ho.

Namaz parhna aap ne seekh liya aur Namaz parhne k liye paak jagah ka hona bhi zaroori hai Namaz parhne k liye Musalla istemal kiya jata hai aur kabhi kabhi ghar par Namaz ada karna bhi Sunnat e Rasool S.A.W.W hai hum aap k liye laye hain Turkey mein bana hua sabz rang ka khoobsurat sa Muslim Islamic Prayer Mat jisey Urdu zuban mein Musallah kehte hain agar aap ko hamari post achi lagi hai to hamari hosla afzai k liye neeche diye gaye link se Turkish Islamic Prayer Mat Musallah ya kuch b khareede lekin hamain is sale se thora sa commission sirf us waqt he mil sake ga jab aap is blog par majood link se he purchase karte hain zaroori nahi k aap miswak he khareede aap link visit karke kuch bhi online shopping kar sakte hain.



Roza Tul Atfal Facebook Page ko bhi zaror like karen.


Note: Namaz Padhne Ke Liye Aap Ke Jism aur Kapdon Ka Paak Saaf Hona Lazmi Hai aur Namaz Shuru Karne Se Pehle Wazu Karna Farz Hai Kyun Ki Wazu Ke Baghair Namaz Nahi Hoti.

Namaz Parhne Ka Tarika apni family friends ke sath share karen aur iss sadaqa jariya mein shamil ho jayen.

Comments

  1. ye bahut badia post hai kuch log to esi post se kuch seekhenge bah subhaan allah

    ReplyDelete
    Replies
    1. InshaAllah thank you Shahid Hussain aap ki hosla afzai kay liye shukriya :)

      Delete
    2. I am hindu... Bt i want to learn namaz... Thnx for the post it's reay help me alot... Bt how to do wazu....!!!! Wazu karne ka tarika bataye..!!

      Delete
    3. Wazu karne ka tareeqah yeh hai keh paak bartan mein paak pani le kar paak jagah par baitho unchi jagah hoto behtar hai takeh chitein na aayain qiblah ki taraf munh kar lo to aur acha hai aur aastenein kehniyon se oper tak chara lo phir bismillah parho aur teen bar gatton tak donon hath dho.

      Phir teen martabah kulli karo aur maswak karo, maswak na ho to ungli se daant mal lo. Phir teen bar naak mein pani daal kar bayain hath se naak saaf karo. Naak mein pani dalne ka matlab yeh hai keh sans ke sath narm jagah tak pani le jayain. Phir teen martaba dho.

      Munh par pani zor se na maro balkeh aahistah se peshani par pani daal kar dhoyo. Peshani ke baalon se thori ke niche tak aur idhar udhar donon kanon ki lo tak munh dho phir kehniyon samet donon hath dho. Pehle dahina hath teen bar dho. Phir bayan hath teen bar dho phir dono hath pani se tar kar ke yani bhigo kar sar ka masah karo.

      Phir kanon ka masah karo phir garden ka masah karo. Masah sirf aik martabah karna chahiye. Phir teen teen martabah dono payon takhnon sameit dho pehle dahina payon, phir bayan payon dho.

      Delete
  2. mashaalllah bahut kuch seekhne ko milega logo es post se

    ReplyDelete
  3. Replies
    1. JazakAllah Khair for liking my post Md Arman Raja :)

      Delete
  4. Replies
    1. jazakAllah Khair Najrul Hussain for your comment here :)

      Delete
  5. Assalamualicum Bhot bhot shukriya

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa'alaikum Salaam Daud Khan khushamdeed bhai aap mazeed achi achi posts aur Islamic general knowledge ke liye humare blog ko visit karte rahen. JazakAllah Khair :)

      Delete
  6. Replies
    1. Thank you Mohd. Arif aap mazeed achi achi posts aur Islamic general knowledge ke liye humare blog ko visit karte rahen. JazakAllah Khair :)

      Delete
  7. Replies
    1. thank you Tauhid Shaikh brother JazakAllah Khair :)

      Delete
  8. Salaamualaikum

    Aap se jaanna tha ki namaj mein kya koi sa bhi ayat padh sakte hai ?aur kitna surah ek sath milaa kar padh sakte hai .? Jarrur bataiye ga

    ReplyDelete
  9. 4 sunnat mai har rakat mai sureh fatiha ke baad sureh padna chahiye ya sirf 2 rakat mai hi

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sirf pehli 2 rakat mein Surah Fatiha ke baad dusri Surah mila kar parhi jati hai agli 2 rakat mein sirf Surah Fatiha parhi jati hai

      Delete
    2. 4 farz ki namaz me only pehli do rakat me surah padhi jati hai.
      Aur 2 rakat me sirf surah fatiha.
      Aur 4 sunnat me charo rakat me alhamdo ke baad surat mila kar padhna chahiye.

      Delete
  10. Alamdoiillah. Sabko shikna chainye

    ReplyDelete
  11. Aalamdoiilah allah sabko shikne ki taufique atta farmye

    ReplyDelete
    Replies
    1. bilkul Aameen Summ Aameen JazakAllah Khair brother :)

      Delete
  12. Masah allah bhut badhiya bhai...

    ReplyDelete
  13. Masah allah bhut badhiya bhai...

    ReplyDelete
    Replies
    1. JazakAllah Khair Md Osama Thanks for your kind words aap is blog par aur bhi bohat sari chezen parh sakte hain.

      Delete
  14. Masah Allah....
    Please mere swal ka jabab de....
    Jishe koi dwa yaad na ho woh kaish namaz padahe

    ReplyDelete
    Replies
    1. JazakAllah Khair H Rinku bhai pehli bat to ye hai kay mujhe apke sawal ki samjh nahi ayi ke aap kis dua ki bat kar rahe hain agar aap Darood shareef ke baad parhi jane wali dua ki bat kar rahe hain to phir aap sirf Darood shareef bhi parh sakte hain lekin koshish karen ke dua ko yaad karen aur usay Namaz mein parhen agar aap ko samjh nahi ayi to aap dobara sahi tarike se sawal poch sakte hain :)

      Delete
    2. NABI-E-PAAK SALLAHU ALAY WASALLAM ALLH KE RASOOL HAI.
      BANDEY KA WORD HUM INSANO KE LIYE HAI HUMARE PYARE NABI KE LIYE NAHI.
      ASTAGFIRULLAH

      Delete
    3. BUT ITS MY HUMBLE REQUEST AAP MERE BAAT KO VISIBLE KAREN OR JAWAB BHI DEN AISA KYU LIKHA AAP NE KI HUM APNE BADE SE KEH SAKE, JO AAP NE MEANING ME LIKHA AL-TAHIYYAAT KI DUAEIN ME

      Delete
    4. Abdul Aziz pehla kalma to aap ne parha hoga uska kya matlab hai? ALLAH SWT k ilawa koi mabood nahi aur Hazrat Muhammad S.A.W.W ALLAH k banday aur uske Rasool hain umeed hai aap ko apne sawal ka jawab mil gaya hoga agar nahi mila to muje batayega aap ko Quran o Hadees se sabit karke dikha dunga. INN'SHA'ALLAH

      Delete
  15. Shukriya For the Post.
    Great Work
    i had a doubt , which got cleared after reading this post

    ReplyDelete
    Replies
    1. Abdul Kadir you are welcome anytime if you ever have any doubt thank you for your appreciation :)

      Delete
  16. Jhazakallahu khaira , bahut badiya post, lekin aap in sabhi duao ko english me bhi likh de jinko urdu writing ko pdhne me preshani ho vo hindi ya english me pdhkar dua yaad kr sake.
    Matlab zuban vhi rhe bs urdu writing ki jagah hindi ya english.
    Jese atahyyat ki dua,- ATATHAYYTU LILLAHI WASSALAWATU WA TAYYABAT.
    ese likh de..����

    ReplyDelete
    Replies
    1. ok InnshaAllah Koshish karunga is tarah bhi Namaz ka tarika likh kar post karon

      Delete
  17. After darood e ibrahim can we read this dua "allah humma rabbana aatayina fiduniya hasanatau wafil aakhirati hasamatau waqina azaban naar"

    ReplyDelete
  18. waao bht bht sukhriya bahut kuch sikhne ko mila .great work aisa hi acha kam karye allah aplogo ko jannat farmayga

    ReplyDelete
  19. Mashallah bhoot acche Ye bhi deen ka kaam h

    ReplyDelete
  20. Assalam Alaikum bhai,
    Bahut hi umdah post. MashaAllah ek do chij me mujhe bhi misconception tha. Jo aaj clear hogaya. Keep up the good work.

    ReplyDelete
  21. Masaa allah badhiya hai. Jo musalman arbi nahi padh sakte wo is site ke dwara hindi padh rahe hai

    ReplyDelete
  22. Masha allah hum mislim bhaiyoo ko is post ke zariye namaz ka tarika or namaz kese padte hai ye sikh sakhye hai
    Subhn allah

    ReplyDelete
  23. Arabi alafaaz Wali dua misprint, plz check

    ReplyDelete
  24. App jo dua likhay hai woh missing hai

    ReplyDelete
  25. Assalam waalekum
    Subhanallah yeh post dekh kr bahoot accha laga , mera ek sawal he ki magrib me 3 rakaat farz Aur Isha ki 3 rakaat vitr ka kya tarika he Aur inme koonsi duae aayegi
    Inn shaa Allah muje mere sawal ka jawaab jald mile
    Jazakallah Kher

    ReplyDelete
  26. namaj padhne k bad jo dua mangi jati h plz koi usko coment kr de....

    ReplyDelete
  27. Allah ham sabko 5 Baqt ki namaz padne ki tofiq ata farmaaye

    ReplyDelete
  28. In 4 rekaat namaz, Kya dusre rekaat ke Baad khade hote waqt rafa yadain karna hai. 4 rekat namaz me total kitne rafa yadain hain

    ReplyDelete
    Replies
    1. g bilkul 4 rakat namaz mein jab 2 rakat parh kar teesri rakat k liye uthna hai aap ne to us waqt bhi rafa yadain karna hoga 4 rakaton mein total 9 bar rafa yadain karna hota hai

      Delete
  29. Masha allah
    Lekin ek bath samjh me nahi aai
    Ke har ruku me hath kaano tak lake jaaye waise me sunni hu is liye puch raha hu please mujhe zaroor bataye konsi hadees me he yeh bath

    ReplyDelete
  30. Masha-allah great job keep it up.

    ReplyDelete
  31. Mashallah very gud ji...����.keep it up������

    ReplyDelete
  32. insha'Allah sure kobhi Hindi me dalne chahiye takee sab ko seekh ne Ka mouqa mile

    ReplyDelete
    Replies
    1. ok innshaAllah Roman Hindi mein dalenge next time

      Delete
  33. Pura batate to or achhi hoti Bhai magar app achia post chodi h

    ReplyDelete
  34. Assalamoalaikum
    Husain bhai
    Mai namaz me last sura allahhumma inni pdhta hoo kya ye sahi nhi hai mere ko batayega jarror

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam Namaz allahumma inni kon si surat ki baat kar rahe hain aap? Surah Fatiha parhne k baad aap Quran e Pak mein se kahin se b koi b Surah parh sakte hain

      Delete
  35. Apka bahot bahot shukriya aapne Namaz padhna bataya

    ReplyDelete
  36. Assalamwalakum mashaallha pher se zahan taza hoa shukriya janab

    ReplyDelete
  37. Tahhajjud ki namaz kaise padhte hai

    ReplyDelete
  38. Gusal Kearny ka tariqa samja den

    ReplyDelete
  39. Gusal karny ka tariqa samja den

    ReplyDelete
  40. Namaz hamaray dilon ka sukoon hai alhamdulillah

    ReplyDelete
  41. aap is website se kitna kama rahe hain plz rply sir
    mujhe websits mein intrest he

    ReplyDelete
    Replies
    1. agar aap websites bana kar paisay kamana chahte hain to phir hamari online training website lazmi visit karen website link Smart Online Business & Computer School

      Delete
  42. Kya Rafadain karna zururi h.. main sunni muslim hoon.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalam o Alaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu, g bilkul zarori hai jo sunni hoga wo sunnat par amal kare ga rafa ul yadain Nabi S.A.W.W ki bohat piyari sunnat hai is par amal lazmi karen JazakAllah Khair

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu