Rivers of Pakistan Pakistan Kay Darya Punjab Kay Darya Rivers of Sindh Province Lakes of Pakistan With Location Popular Streams and Canals of Pakistan
پاکستان کی مشہور نہریں، دریا ندیاں اور جھیلیں، پاکستان کے مشہور پہاڑ پاکستان کے مشہور مقامات
Major Rivers of Pakistan Map Popular and Beautiful Canals of Pakistan
Nanhay Munnay Mujahido! Hamara watan e aziz Pakistan Ramzan ul Mubarak k babarkat mahine mein marz e wajood mein aaya isko islami qilla hone k sath sath qudrat ki taraf se har naimat ata ki gai hai. Hamara watan 5 subun par mushtamil hai. Aaiye hum aap ko apne watan k daryaon, nehron aur jheelon ki sair karwate karwate asmani Jannat ki nehron tak le jayen. Janna chahte hain? Yaqeenan sab ka jawab Haan G mein he hoga.
Suba Punjab K Aham Darya (Important Rivers of Punjab, Pakistan)
Darya e Raavi:Ravi River of Punjab Province of Pakistan Darya e Ravi Lahore |
Darya e Chenab:
Chenab River of Punjab, Pakistan Darya e Chenab Gujranwala |
Darya e Satluj aur Beas:
Satluj and Beas River of Pakistan Darya e Satluj aur Bias |
Darya e Jhelum:
Jhelum River of Pakistan Punjab, Pakistan Darya e Jhelum |
Ye Kashmir mein Jal Om k muqam se nikalta hai aur Teremon Head par darya e chenab mein mil jata hai.
Darya e Sindh:
Sindh River of Sindh, Pakistan Darya e Sindh |
Paanchon darya Darya e Sindh mein girte hain.
Suba Sindh K Aham Darya (Important Rivers of Sindh Province, Pakistan)
Darya e Baran:River Baran Sindh, Pakistan |
Ye Kirthar k pahari silsile se nikalta hai.
Malir Nadi:
Malir River of Sindh, Pakistan Malir Nadi |
Ye aik mosami nadi hai jo Karachi k nazdeek Gesri crake mein behti hai.
Aral Nadi:
Aral Nadi Sindh, Pakistan |
Ye nadi Manchar Jheel se nikalti hai. Ye teeno nadiyan darya e Sindh mein ja girti hain.
Hub Nadi:
Hub Nadi Sindh, Pakistan |
Ye aik aham nadi hai jo sara saal behti hai. Ye Pub k pahari silsile nikalti hai aur Bahira e Arab mein ja girti hai.
Lyari Nadi:
Lyari, Karachi, Sindhi, Pakistan |
Ye zila Karachi mein behti hai aur Kemari k muqam par Bahir e Arab mein gir jati hai.
Suba Balochistan mein selabi aur tofani dariya hai jo k barishon k dino mein he pani late hain aur sara saal nahi behte.
Darya e Bolan:
River Bolan, Pakistan |
Ye darya Kolhapur se nikalta hai aur aab e gum k muqam par zyr e zameen chala jata hai aur phir Babi Naali k muqam par namudar ho kar Sarawan Nadi mein mil jata hai.
Darya e Nari:
Nari River Pakistan |
Ye zila Bolan aur Sibi k ilaqon se guzarta hai aur darya e Bostan mein shamil ho jata hai.
Darya e Pishin Lora:
River Pishin Lora |
Ye darya Toba Kahar k Kohsar se nikalta hai aur Sarawan nadi mein mil kar Quetta k izla mein behta hai.
Darya e Mula:
River Mula Balochistan, Pakistan |
Ye Jhalawaran aur Zila Bolan mein behta hai.
Darya e Hingol:
Hingol River Makran Region, District Gwadar, Balochistan, Pakistan |
Darya e Hangool Bahira e Arab mein ja girta hai.
Darya e Rakhstan aur Darya e Dasht:
River Dasht Makran Region, District Gwadar, Balochistan, Pakistan |
Darya e Rakhstan aur Darya e Dasht Makran k silsila Koh se nikalte hain aur Bahira e Arab mein ja girte hain.
Suba Sarhad yani Khyber Pakhtunkhwa k Aham Darya (Important Rivers of N.W.F.P Khyber Pakhtunkhwa KPK)
Darya e Sindh:Indus River Sindh KPK, Pakistan |
Ye Koh Himalaya k silsile Kailash ki choti se nikalta hai aur Chelas k qareeb aa kar Pakistan mein dakhil hota hai aur Dera Ghazi Khan k qareeb Mithan Kot k muqam par Punjab k tamam darya is mein girte hain.
Darya e Kabul:
Kabul River Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan |
Darya e Kabul Afghanistan k paharon se nikalta hai aur Attock k muqam par darya e Sindh mein aa girta hai.
Darya e Swat:
River Swat, KPK, Pakistan |
Darya e Swat Kohistan Swat ki pahariyon se nikalta hai aur Peshawar k qareeb darya e Kabul mein ja girta hai.
Darya e Chitral:
Kunar River Chitral, KPK, Pakistan |
Darya e Chitral Hindukush ki pahariyon se nikalta hai aur Peshawar k qareeb darya e Kabul mein ja girta hai.
Darya e Panjkora:
Pankora River, KPK, Pakistan |
Darya e Panjkora darya e Swat ka sathi hai iske sath sath behta hai.
Darya e Baara:
Khyber Agency and Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan |
Darya e Baara Teera ki paharion se nikalta hai aur darya e Kabul se ja milta hai. S
Suba Balochistan K Aham Darya (Important Rivers of Baluchistan Province of Pakistan)
Darya e Zhob:Darya e Zhob Balochistan k ilaqay se nikalta hai aur darya e Sindh mein ja girta hai. Muzaffarabad shehar k ain wast mein darya e Jhelum aur darya e Neelam ka sangam hai.
Yahan aik chora paat hai jiske andar behte hue darya e Neelam Athmuqam se aur darya e Jhelum Srinagar se puri tughyani k sath behte hue aik dusre se milte hain. Jari pani ko darya aur nehar kehte hain aur kisi aik jagah par pani ka ikatha ho jana jheel kehlata hai.
Pakistan Mein Payi Jane Wali aham Jheelain (Important Lakes of Pakistan)
Saiful Muluk Jheel, Lulusar Jheel, Satpara Jheel, Kachura Jheel, Balji Jheel, Hina Jheel, Rawal Jheel, Mangla Jheel, Manchar Jheel, Masnui Jheel Saidu Sharif, Kalari Jheel, Tarbela Jheel, Dart Jheel, Masnui Jheel Changa Manga.
Duniya k paniyon k baray mein ALLAH TAALA ne irshad farmaya hai:-
" Aur 2 samundar barabar nahi hote, ye meetha pyas bujhane wala hai, jiska pani asani se galay se utarne wala hai aur ye namkeen hai karwa aur har aik mein se tum taza gosht khate ho aur zeenat ka saman nikalte ho jo tum pehnte ho aur tu is mein kashtiyon ko dekhta hai paani ko cheerti hui chalne wali hain takay tum iske fazal mein se hissa talash karo aur takay tum shukar karo".
(Surah Al Fatir Ayat No. 12)
Yani duniya k pani namkeen, meethay, kharay aur karway hote hain aur ye zyada dair pare rahen ya in mein gandagi par jaye to ye kharab bhi ho jate hain aur hamari sehat k liye muzar bhi hain. Lekin jo Momino, Muttaqiyon, Mujahidon, Shaheedon ka hameshgi wala ghar hai jise Jannat kaha jata hai iski Nehron ka khoobsurat tazkirah ALLAH Rabb Rehman ne Surah Muhammad Ayat No. 15 mein kuch yun kiya hai:
" Wo Jannat jis ka wada muttaqi logon se kiya gaya hai iski sifat ye hai k isme kai Nehrain aisy pani ki hain jo bigarne wala nahi, aur kayi Nehrain Doodh ki hain jiska zaiqa nahi badla aur kai Nehrain Sharab ki hain jo peene walon k liye lazeez hai aur kai Nehrain khoob saaf kiye hue Shehad ki hain aur inke liye is mein har kisam k Phal aur inke Rabb ki taraf se bohat bari bakhshish hai."
Pyare Bacho! Aap mein se jo jo bacha saaf pani, doodh, shehad aur sharab ki nehron ko pana, aur har kisam ka mazedar phal khana chahta hai usay chahiye k 5 waqt ki Namaz ada kare. Quran e Pak ki Tilawat kare. Baron ka ehtram kare aur choton se shafqat kare. ALLAH TAALA ki raah mein Sadqa o Khairat kare. Haqooq Allah aur Haqooq Ul Ibad ka khas khayal rakhe. Apni zindagi ALLAH SWT aur uske Rasool Janab e Muhammad S.A.W.W ki itat o farmabardari mein guzre. Wo ALLAH k deen ka Daee aur muhafiz ho. Maut aye to Muttaqiyon, Siddiqon, Shaheedon, Saliheen mein iska shumar ho aur aisa Naik ho k ALLAH TAALA farmayen. " search the ayah
Aur jab aap Jannat mein dakhil ho jayenge to aap in sab nehron ko paa lain gay. Mazay mazzay ki cheezain khayenge. Naram naram bistar honge. Resham k libas honge InnShaALLAH TAALA. Hamari post pasand aany par isay WhatsApp Facebook aur twitter par apne friends k sath share zaror karen.
Comments
Post a Comment