Iftar Karwayen Ajar Payen افطاری کروائیں اجر پائیں Ramzan Ke Mahine Mein Kya Karna Chahiye Ramzan Me Karne Wale Aamal

Ramzan Me Garibo Ki Madad Iftar Karwana Ramzan Bache Ka Waqia


ramzan me kya karna chahiye
Aik Shakhs Ramzan Mein Sarak Par Aate Jate Logon Ko Iftar Packets De Raha Hai Courtesy: Twitter

Ghareebon Ki Madad Karna Ramzan Mein Kitne Din Baki Hai


Ramzan mein taqreeban 4 din baqi hain Pakistan mein pehla roza 24 April 2020 jumme wale din ya phir 25 April 2020 ko Hafte wale din hoga.innshaAllah

Ramzan Ke Mahine Ka Waqia

Pyaas ki shiddat se mun khushk hua ja raha tha, pait bhook ki wajah se pichak kar kamar k sath lag gaya tha, halaq se thook nigalna bhi mushkil ho raha tha. Bhook aur pyas ki wajah se taangon mein jan bhi nahin thi aur khara hona bhi mushkil ho raha tha aur upar se nehayat garam din guzarne k baad shaam k is waqt bhi tapti hui garam hawa k jhonke aa rahe thy is sakht tareen surat e haal mein bhi kuch bache aik chowk mein kharay aam logon k liye iftari ka saman tayar kar rahe thy. Jesy he maghrib ki azan ki awaz in k kaanon mein pari sab bachon ne apni apni position samhbal li aik hath mein khajoron ka shopper aur dusre hath mein pani ka jug thamy sarak se guzarne wale har shakhs ko iftari karwane mein magan ho gaye.
Inko bilkul is baat ki parwah nahi thi k hamare pait to abhi tak khali hain. Wo sab logon ki bhalai ka jazba dil mein le kar iftari karwate ja rahe thy. Har guzarne wala in nanhy munnay bachon ko rashk bhari nigahon se dekh raha tha. Dilon mein armaan thy k Allah Taala hamare is amal ko qabool karke hamain jannat mein jagah de de. Isi umeed k sath wo sab apni parwah kiye baghair logon ko iftari karwate thy.
Ye manzar Faisalabad k aik maroof chowk ka tha yehi manzar paanche roz Toba Gojra mein dekhne ko mila sirf 1 ya 2 jagah nahi balke pure mulk mein aisy he chote chote bachon ki khabrain aa rahin thi k aaj Lahore mein nanhy munny bachon ne iftari karai, aaj Nankana Sahib k bache logon k rozay khulwane mein pesh pesh nazar aye, aaj Gujranwala k bachon ne ghareeb aur miskeen logon ki madad ki, aaj Sargodha mein nanhe munne bache iftari ka saman taqseem karte nazar aye yahan tak k tol o arz mein har jagah he bache apne rab ki raza ki khatir is naik kaam mein aik dusre se aagy nikalte nazar aye.

Ye sab bache kisi na kisi tarah Al Hamdiya Roza Society k sath taluq rakhne samane khareedne jate hain to kai bache aisy nazar aty hain jo sarak par giry hue phal utha kar apne shopper mein daal kar le ja rahe hote hain. Jab aap kisi dukan se ye thailay se ache ache kelay aur aam khareed rahe hote hain to kuch ghareeb log aap k shopper ki taraf hasrat bhari nigah se dekh rahe hote hain aur dil he dil mein ro rahe hote hain aur sochte hain k kaash wo phal inko bhi khana naseeb ho lekin hum inko nazar andaz karke apne baba k sath wapis ghar aa kar mazeed iftari karte hain aur wo ghareeb log khali hath ghar ja kar khali dastarkhwan pe beth kar apne rab k samne aansu bahate hain.

Pyare Bacho! Ehsaas bohat bari cheez hai jis k andar ehsaas hai wahi dusro k dukh aur dard ko samjhta hai, jis k andar ehsaas hai wahi dusron ki madad karta hai. Islam hamain akhuwat aur bhai chare aur ehasaas ka dars deta hai aik dusre ka khayal rakhne ki talqeen karta hai, dusron ki madad karne par zor deta hai. Agar aap zindagi mein khushiyan, kamyabian aur sakoon aur itemnan chahte hain to ghareebon miskeeno ki madad karen Allah Ta'ala aap ko har jagah kamyab karega.

Ramzan ka mahina hai rehmatain aur barkatain Allah Taala ki taraf se nazil hoti hain, har taraf neki ka rujhan hai, bohat se log nekiyon mein barh charh kar hissa le rahe hain, nekiyon ka mosam e bahar hai, Allah Taala 1 neki karne par 700 guna tak ajar ata farma rahe hain kyon na hum bhi in khushnaseeb logon mein shamil ho jayen jo ramzan ki in saadat bhari ghariyon mein neki k mawaqa talash karke apne rabb ko mana rahe hain aur apni sari zindagiyan Deen e Islam k mutabiq guzarne ka ehd kar rahe hain.


Pyare Bacho! Hamare pyare Nabi S.A.W.W Ramzan ul Mubarak mein bohat zyada kharch kiya karte thy Hazrat Ayesha R.A farmati hain: Nabi S.A.W.W Ramzan ul Mubarak mein taiz aandhi se bhi zyada sadqa o khairat kiya karte thy. To phir aaiye! Nekiyon k is mausam mein khoob khoob nekiyan kamayen apni masajid mein, apne mohalle mein, apne ilaqay, town, school aur academy mein aisy bachon ko dekhen jo ghareeb hain aur kisi se mangte bhi nahi hain to chupke se inki madad karen. Apne muhallay aur ammi ko batayen aur inse kuch na kuch le kar in ghareebon tak pohanchayen aur khoob ajar kamayen.

Dusra kaam ye karen k aaj se he wo bache jo roza nahin rakhte unko roza rakhne ki dawat dain, sirf dawat he nahin balke muqabla lagayen k dekhte hain kon pure roze rakhta hai, muqabla laga kar khud bhi roze rakhen aur apne doston ko bhi dawat dain. Aap ki dawat se jis ne bhi roza rakh liya to uska sawab bhi apko hoga. To phir dair kis baat ki? Tayyar ho jayen aur in dono kaamon mein barh charh kar hissa lain aur Allah ki pyari Jannat k ticket hasil karne k mustahiq ban jayen.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu