Posts

Showing posts from April, 2017

Hamd E Bari Tala Written In Urdu 2017 Allah Tala Ki Tareef

Image
Hamd e Bari Taala Allah Ki Shan In Urdu ALLAH ALMIGHTY POEM (HAMD O SANA) Allah Ki Shaan Mein Shayari Allah Ki Hamd O Sana Kahin Tu Hai Baatein Kahin Tu Ayan Bhi Hai Kahin Tu Hai Mushkil Kahin Tu Aasaan Bhi Hai Sarapa Maghfirat Bhi Zaat Sirf Teri Hai Shajar Khata Ka Mali Ye Insaan Bhi Hai Khaliq Hai Tu Har Shay Ka Is Kainat Ki Teri Hujat Mein Kafi Ye Asman Bhi Hai Khilaye Hain Tu Ne He Ye Phool Sehra Mein Teri Qudrat Mein Chupa Ye Gulistan Bhi Hai Shams O Qamar Banai Lail O Sehar Bhi Tu Ne Teri Barai Mein Mashghool Har Zaban Bhi Hai Tashna E Lab Nahi Koi Tere Lutf Aam Sey Teri Rehmat Ka Talab Gar Sultan Bhi Hai.

Allah Sey Mulaqat Apne Malik Sey Mulaqat

Image
Meeting with Allah Allah Se Mulakat Meet Allah in Heaven Payare Bacho! Agar aap kisi sey mulaqat ke liye jayen to kesy jayenge? Achy achy kapray pehnay gay, tayar honge achi tarah apni safai karenge kay main acha lagon? hain na yehi bat? Ye to duniya ki batein hain hamein akhirat mein kesy tayar hona hai jab Allah Taala sey mulaqat hogi isky liye to sab tayariyan karni hain ache ache amal karne hain Allah Taala ko razi karne ke liye ache libaas mein duniya mein rahenge to akhirat mein Allah Taala khush honge ache libas sey murad hai jesa Rasool Allah (S.A.W.W) hamare liye pasand farmaya hai phir jab hamari wapsi ka waqt ayega to ham bata sakenge ke hum ne kesi zindagi guzari thi. Kyun ki ye duniya ki zindagi kuch arsa ke liye imtehan gah hai hum yahan reh kar apni akhirat behtar kar saken. Iske baad humein apne rab kay huzoor hazir ho kar apni zindagi bhar ki kar guzari pesh karni hai. Apne malik sey mulaqat karni hai Rasool Allah (S.A.W.W) ney farmaya: Jo shakhs

Baaten Karne Wala Parinda Bird Who Talks Like Humans

Image
Dilchasp Information In Urdu Baatein Karne Wala Parinda Parrot Information in Urdu/Hindi (Photo Credit National Geographic) Allah Taala ney parindon ki beshumar iqsam peda ki hai duniya bhar mein inki 350 iqsam pai jati hian. Tota bohat khoobsurat parinda hai. Log totay ko bewafa parinda samjhte hain lekin phir bhi log isay baray shauq sey palte hain. Puranay qissay kahaniyon mein bhi iska zikr milta hai in kahaniyon sey pata chalta hai kay tota in parindo mein sey hai jise zamana qadeem sey insan palta aa raha hai. Totay ghonsalon mein nahi rehte balky darakhton ki khuddon mein rehte hain. Totay ki zuban choti magar moti hoti hai isliye wo insan ki tarah batein kar sakta hai. Totay phal aur beej khate hain amrood, aam, aloo, akhrot, bair, roti, ghee, makai aur soraj mukhi kay beej inki pasandeda khurak hain.