Madad Ki Ghari Kashmir, Burma, Palestine, Syria, Yemen, Afghanistan, Balochistan, Tharparkar Help Needy Muslims around the World during Ramadan
Help Needy Muslims around the World in this Ramadan
Helping Time for Helpless Muslims لاچار بے سہارا اور بے بس مسلمانوں کی مدد کریں |
Mazloom Musalman Ki Madad Karen
Raat k pichle pehar shor sunayi diya hum fori alert ho gaye aur pareshan bhi kyon ki kuch din se hamen khatrat se agah kar diya gaya tha. Main meri 3 betiyan, meri biwi aur 4 bete jin mein 2 baray they aur 2 chote thy. Sab pareshan ho gaye shor kareeb hota gaya, bara beta bola Abu Jan! main chat par ja kar dekhta hun shayad koi jatha hamla k liye aa raha ho aur hum apni hifazat k liye fori kuch karen. Meri biwi ne fori bety ko rok diya aur kaha k main isay kisi surat upar nahi jane dungi. Beta israr karke kisi na kisi tarah chat par chala gaya. Chat se thori der bad wo bhaga hua neche aya. Wo hawas bakhta tha aur theek tarah se baat bhi nahin kar pa raha tha fori bola Abu Jan! samne wali basti se aag k sholay buland ho rahe hain jis mein hamare rishtedar rehte hain. Log idhar udhar bhag rahe hain. Peelay kapron wale budh log hathon mein baray baray naizon se logon ko mar rahe hain. Mujhe lagta hai k wo hamari basti ki taraf na aa jayen.
Ye sunna tha k meri teeno betiyan khof se rone lagi khof pehle bohat phail chuka tha main inhen dilasa diya aur kaha Allah hamari madad karega pareshan na hoon is asna mein 1 ghanta guzar gaya thori der bad sath wale ghar se aik nojawan hamare ghar aur bataya halat kharab hain. Budhon ne iske bad hamari basti ki taraf ane ki mansooba bandi ki hai. Hum jitni jaldi nikal sakte hain utna behtar hai. Is se pehle k wo hamari basti ki taraf rukh karen sab tayar ho jayen aur Allah ka naam le kar niklen. Hum sab ne fori apna zarori saaz o saman pakra aur ghar chor kar chal diye. Fajar ka waqt ho chuka tha hum apne ilaqay se abhi kuch he door thy k hamen samne 5 buddhist log ate hue nazar aye aik intehai dardnak manzar dekha jab hum ne inke galay mein rassi se latkay hue auraton, bachon k hath paon aur kaan waghera dekhe in hath paon se khoon ris raha raha tha. Ye aik aisa dehshat naak manzar tha jise dekh kar meri betiyan aur biwi seham gaye.
Wo tadad mein 5 thy aur hamari tadad taqreeban 30 se 40 thi inke haathon mein bary bary barchay aur khanjar thy hum inki is achanak amad se bilkul bekhabar thy. Magar inhen shayad ilm ho gaya tha k is rasty se musalmano ka koi group guzar raha hai. Meri betiyan zar o qitar rone lagi Abu Jan! hamen bachayen........Abu Jan hamen bachayen ye hamen kaat denge maar denge itni dair mein wo hamare pass pohnch chuke thy aur shadeed khoonkhar nazron se hamen dekh rahe thy unhone ate thy sab se pehle meri beti ko pakra aur khench kar samne le gaye mera beta mazahmat k liye agay barha to aik he war mein uski gardan utar di wo tarap tarap kar hamare samne jaan ki bazi haar gaya iske baad unhone beti ko neeche lita diya jesy kisi bakre ko zabah karne se pehle litaya jata hai. Meri beti meri taraf iltijai nigahon se dekh rahi thi hum usay bachany k liye kuch bhi nahin kar sakte thy phir in badtareen safak zalimon ne mere samne meri beti ki gardan utar di aur isay aik garhy mein phenk diya.
Chand lamhaat mein he mere samne mere 2 bache jan ki baazi haar chuke thy itny mein hamare qafily mein maujood nojawano ne shor machate hue in pe dhava bol diya unhone bhi muqabla shuru kar diya kuch nojawan is mein shaheed ho gaye jin mein mera chota beta bhi tha aur budh apni jan bachane k liye bhag gaye hum fori taur is jagah se nikle takay hamare peeche wo dobara na aa jayen aur sahil par khari kashti jis par pehle he senkron log sawar thy hum bhi us kashti mein sawar ho gaye. Sawar ho kar bamushkil hamen khare hone ki jagah mili ghum ki shiddat se hamara bura haal tha 3 bachon ki maut ne hamen andar se tor diya tha aur hamare sath kashti mein baqi bhi wahi log sawar thy jin mein se baaz k poray khandan aur baaz adhy khandan is zulm mein shaheed ho chuke thy. Hum samundar mein bohat dino se idhar udhar sahilon ki taraf ja rahe thy magar koi mulk hamen panah dene k liye tayar na tha aaj Indonesia ne hamen panah di aur hamen yahan rehne ko jagah mili hai.
G haan pyare bacho! Ye alfaz koi aur nahin Burma k ek mazloom burhy k hain jo Indonesia k media ko interview dete hue apni ghamnak dastan suna raha tha aur sunaty sunaty zaar o qitar ro raha tha. Iske sath iska dard se mara hua khandan bhi betha hua tha. Is waqt Ummat e Muslimah zakhmon se chur chur hai har roz kisi na kisi jagah Muslim mumalik par hamlay hote hain. Burma par 2016 se 2017 tak itna shadeed zulm hua tha k sari insaniyat kamp uthi thi aisa khofnaak aur dardnak zulm shayad he kahin tareekh mein kisi k sath hua ho. Yehi surat e haal shaam (Syria) ki bhi hai jahan phool jesy pyare bachon ko sarkon par maar diya jata hai. Falasteen (Palestine) Kashmir, Rohingya, Afghanistan ki surat e haal bhi is se mukhtalif nahi hai. Jahan bachon aur khawateen ko aisay mara jata hai jesy video game mein 1 gun se senkron logon ko maar kar mission complete kiya jata hai aur hath jhar kar khushi se uth jate hain k shukar hai hamara mission mukamal ho gaya hai.
Pyare Bacho! Burma mein is waqt bhi bilkul yehi kefiyat hai Musalmano ki bastiyan khatam karke har aik k zima laga di jati hain aur bastiyon ko aag lagana, bachon aur auraton ko zabah karna inka pasandida mashghala hai. Jab puri ummat aik taraf Burma, Kashmir, Falasteen aur Afghanistan mein zakhmon se chur chur hoti hai to dusri taraf Tharparkar, Balochistan k mazafaat mein hazaron log qehat ka shikar ho jate hain aisay ilaqay jahan pani bhi nahi hai. Log pani ki boond boond ko taraste hain aisay areas jahan bachon ne toffees aur biscuits pehli dafa dekhe hain. Paon mein joote ki jagah Plastic ki botal rassi bandh kar pehni gayi hai bachon ne sirf qameez pehni hui hai. Wo bache pani wahan se peete hain jahan se unki bhainsain ya janwar pani peete hain.
Azeez Bacho! Ye Ramzan ka mahina hai is mein Burma k mazloom Musalmano ne roze rakhne hain Kashmir ki maa ne bhi roza rakhna hai Shaam ki behan ne bhi roza rakhna hai Yemen k burhe baap ne bhi roza rakhna hoga Afghanistan k lachar bhai ne bhi roza rakhna hoga Tharparkar k bachon ne pani nahi piya hoga lekin roza rakhne ki khwahish hogi Balochistan k mazloom bhai behno k andar bhi is babarkat mahine mein roza roza rakhne ki tarap hogi wo maflukulhaal musalman sehri o iftari kis tarah karenge? jab k inke pass khane peene k liye kuch bhi nahi hai jo apna sab kuch chor kar aur apne pyaron ko qurban karke is waqt muhajireen ban kar bethe hue hain to jis tarah Makkah se hijrat karke aane wale Musalmano ko Ansar e Madina ne bohat zyada mohabbat di inke liye apna sab kuch qurban kar diya aaj hamen bhi chahiye hum in Musalmano k liye ramzan mein apni astatat k mutabiq madad karen.
Pyare Bacho! Rasool Allah Sallallahu Alaihi Walehi Wasalam sab se zyada sakhi thy aur ramzan mein jab Jibreel Alaihi Salaam Aap Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ko aa kar milte to Aap Sallallahu Alaihi Walehi Wasalam bohat zyada sakhawat karte aur Aap Sallallahu Alaihi Walehi Wasalam taiz hawa se bhi zyada sakhawat farmate thy. (Sahih Muslim)
Aik or jagah Rasool Allah Sallallahu Alaihi Walehi Wasalam ne farmaya sirf 2 admiyon par rashk karna jaiz hai jin mein aik wo aadmi hai jise Allah ne maal o daulat ata farmai ho aur usay din aur raat ki ghariyon mein kharch karta hai. (Sahih Muslim)
Rasool Allah S.A.W.W ne irshad farmaya:
Jo shakhs apne bhai ki madad karne mein laga rahe Allah Taala us ki hajat puri karne mein rahe ga.
Musnad Ahmed Shareef Hadees No.6009
Musalman bhai ki madad karna khaw zaalim ho ya Mazloom Sahih Muslim Hadees No. 6458-6460
Ramzan ka mahina bohat muqaddas mahina hai is mein neki ka bohat ajar milta hai. Lehaza tamam bache Burma, Kashmir, Falasteen, Tharparkar, Balochistan k mazloom, ghareeb aur qehat zada musalman bhaion aur behno k liye is ramzan mein madad karen aur eid ki khushiyon mein inhen bhi shamil karen kyon ki jahan hum aam dino mein ek rupya kharch karte hain to 1 neki milti hai jabky ramzan mein 1 rupya kharach karne se 700 nekiyan milti hain. Agar aap hamare platform k through in bebas lachar aur mazloom musalmano ki madad karna chahte hain to aap hamen is bank account par paise bhej sakte hain.
for your Donations, Zakat, Sadqa, Atiya and Khairat
Account Name: Suleman Muazzam
HBL Konnect +923436002946 EasyPaisa +923436002946 JazzCash +923016172470 hum aap ki bheji hui raqoom ko mutasir zada mumalik k besahara aur lachar mazloom musalmano mein mukhtalif tarikon se taqseem karenge jin mein rashan pani ka kunwa, jootay kapray khane peene ka saman, aur sab se barh kar iftar packages in musalmano tak pohanchayenge karenge innshalAllah Taala.
Allah Rabbul Izzat hamare in tamam musalmano ko zulm se nijat dilaye aur in par apni rehmat barsaye aur hamare in Musalman bhai behno par zulm karne wale zalimo ko tabah o barbad kare. Aameen Summ Aaameen Ya Rabbul Alameen
Comments
Post a Comment