Namaz E Janaza Parhne Ka Tarika Namaz E Janaza Ka Tarika In Urdu Namaz E Janaza Ki Niyat In Arabic

NAMAZ E JANAZA KA TARIQA IN URDU HINDI

Namaz e Janaza Ada Karne Ka Sahi Tareeqa 

How to Perform Namaz E Janaza 


DEFINITION (تعارف)


Namaz e Janazah FARZ E KIFAYA hai, yaani agar basti ke kuch log adaa kar dein to baaqi sab ki taraf se Farz adaa ho jata hai.Musalmaan par apnay doosray musalman bhai ke 6 huqooq hain.Jin mein se aik haq yeh k uske marnay ke baad uska namaz Janaza ada kare, aur uske liye Allah se bakhshish ki dua maange.Namaz E Janaza ka dorania kam se kam 15 minute zaroor hona chahiye taa k aap tasalli se mayyat ke haq mein dua e maghfirat kar sakein. Kyun k iss waqt usko aapki duaon ki sab se ziyada zaroorat hoti hai.

NAMAZ E JANAZA KA TARIQA (نمازجنازہ کا طریقہ)



Namaz E Janaza mein Ruku aur Sajda nahi hota. Namaz e Janaza mein 4 takberain hoti hai.Agar aap ne joota Sab se pehle mayyat ko apne saamne rakhein agar aurat hai to usko apne right side par rakhein. Aur dil mein namaz e janaza ki niyat kar lein.Ab Takbeer keh kar apnay haath seene par baandh lein.

(1st)TAKBEER ( پہلی تکبیر)

اللہ اکبر
Allah bahut bara hai.

SANAA (ثنآ)

سبحانک اللھم وبحمدک وتبارک اسمک وتعلی جدک ولا اِلہ غیرکَِ
Ae Allah teri zaat khata'aon se paak hai khoobion wali hai,aur tera naam barkat wala hai,aur teri shaan oonchi hai aur tere siwa koi ibadat ke qaabil nahi.

(2nd)Takbeer (دوسری تکبیر)

اللہ اکبر
Allah bahut bara hai.

TAAWWUZ (تعوذ)

اعوذبااللہ من الشیطن الرجیمَِ
Main panaah maangta hoon Allah ki shetaan mardood se.

TASMIYYA (تسمیہ)


Shuru karta hoon Allah ke naam se jo bara meherban nihayat reham karne wala hai.

AL-FATIHA (سورتہ الفاتحہ)
الحمدللہ رب العلمینَِالرحمٰن الرحیمَِملکِ یوم الدینَِایک نعبدووایک نستعینَِاھدنالصراط المستقیمَِصراط الذین انعمت علیہمِ، غیرالمغضوب علیہم ولاالضالینَِ(اٰمین)

:ترجمہ Sab tarah ki tareef Allah ke liye jo tamaam makhloqaat ka paalne wala hai.Bara Meharbaan nihayat rehum karne wala hai.Qayamat ke din ka maalik hai.Ae hamaray Rabb hum teri hi ibaadat karte hain aur tujh hi se madad maangtay hain.Hum ko seedha raasta dikhaa.Un logoon ka raasta jin par tum ne inaam farmayaa,naa un ka jin par tera ghazab naazil hua aur naa gumraahon ke. (AAMEEN)
Surat AL-FATIHA Ke baad koi bhi surat jo aapko yaad ho woh parhein. Phir mayyat ke liye ziyada se ziyada Masnoon duaein maange kyun k iss waqt mayyat  ko aapki duaon ki sab se ziyada zaroorat hai.

NAMAAZ E JANAZAH KI DUAEIN (نمازجنازہ کی دعا ئیں)

اللھم اغفرلحیناومیتناوشاھدناوغائبناوصغیرناوکبیرناوزکرناوانثانااللھم من احییتہ مناواحیہ علی الاسلام ومن توفیتہ منا فتوفہ علی الایمان،اللھم لاتحرمنا اجرہ ولاتفتنابعدہَِ

:ترجمہ Ae Allah! Bakhsh de hamaray zindon ko aur murdon ko,haazir rehne walon ko aur ghayab rehne walon ko,hamare choton aur baron ko aur hamare mardon ko aur aurton ko.Ae Allah! aap jise zinda rakhein hum mein se to usko islam par zinda rakhiye,aur jisko wafaat de hum mein se to Emaan par wafaat de.Ae Allah hum ko iss ke ajar se mehroom na kar aur na humein iske baad fitnay mein daal.

NABALIGH BACHE KE LIYE DUA (نابالغ بچے ک لیےدعا )

اللھم اجعلہ لنا سلفا وفرطا واجراَِ
:ترجمہ Ae Allah is bache ko hamare liye pesh roh, peshkhama aur ajar ka bais bana de.

(3rd)Takbeer (تیسری تکبیر)

AL-TAHIYYAAT KI DUAEIN (التحیات کی دعاعیں)
التحیات للہ والصلاوت والطیبات السلام علیک ایھاالنبی ورحمتہ اللہ وبارکتہ السلام علینا وعلی عباداللہ الصلحینَِاشھدان لاالہ اللہ واشھدان محمدآّعبدہ ورسولہ۔۔۔

Hamari zindagi aur Namaaz aur Pakeezgi sirf Allah ke liye hai.Ae Nabi (S.A.W.) Aap par Allah ki Salaamti aur Rehmat naazil ho.Aur salaam ho hum par aur Allah ke Naike bandon par.Main gawahi deta hoon k Allah ke siwa koi ibaadat ke qaabil nahi aur main gawahi deta hoon k Muhammad (S.A.W.) Allah ke bunday aur Rasool hain.
iss ke baad Durood Sharif parhein.

DUROOD E IBRAHEEMI (درودِابراھیمی)

اللھم صل علی محمد وعلی آلِ محمد کما صلیت علی ابراھیم وعلی آلِ  ابراھیم اِنکَ حمید مجید اللھم بارک علی محمد وعلی آلِ محمد کما بارکت علی ابراھیم وعلی آلِ ابراھیم اِنکَ حمید مجید

Ae Allah Rehmat naazil farmaa Muhammad (S.A.W.) par aur Aap ki AAL (aulaad) par jaisa k Rehmat naazil farmaee tu ne Ibraheem (A.S) aur Ibraheem (A.S) ki AAL par beshak tu bohat tareef ke qaabil aur bari buzurgi wala hai.

Ae Allah Barkat naazil farmaa Muhammad (S.A.W.) par aur Aap ki AAL par jaisa k Barkat naazil farmaee tu ne Ibraheem (A.S) par aur Ibraheem (A.S) ki AAL par beshak tu bohat tareef  ke qaabil aur bari buzurgi wala hai.

Durood sharif ke baad yeh Dua parhein.

اللھم انی اعوذبک من عذابک القبرواعوذبک من عذاب جہنم واعوذبک من فتنتہ المسیح الدجال واعوذبک من فتنتہ محیا والممات اللھم انی اعوذبک من الماثم والمغرمَِ

:ترجمہ Ae Allah main teri panaah maangta hoon Qabar ke azaab se, aur main teri panaah maangta hoon Dozakh ke azaab se,aur tujh se pannah maangta Maseeh DAJJAL ke fitnay se,aur teri panaah maangta hoon zindagi aur maut ke fitnay se.Ae Allah main teri panaah maangta hoon Gunaah aur Qarz se.

EXTRA DUAIN (دیگردعاعیں)


رب جعلنی مقیم الصلوت ومن ذریتہ ربناوتقبل دعاربنا غفرلی ولولدیی وللمومنین یوم یقوم الحسابِِ

 :ترجمہ Ae mere Rabb mujhe Namaaz ko qaim karne wala bana de aur meri aulaad ko bhi, aur ae hamaray Rabb meri dua qabool farmaa.Ae hamaray Rabb mujh ko  aur mere maa baap ko aur tamaam mominoon ko Bakhsh de uss din jab amaloon ka hisaab honay lage.
ربنا اٰتنا فی الدنیا حسنتہُّ وفی الاٰخرتہ حسنتہ وقناعذاب النارَِ

:ترجمہ Aye hamarey Rabb hamein duniya mein bhi bhalai ataa farmaa aur aakhirat mein bhi bhalai ata farmaa, aur hamein Dozakh ke azaab se bacha le.
iss ke baad dono taraf apna chehra pherte huwe yeh dua  parhein.
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکتہ'''’’’’
Salaam ho aap par aur Allah ki Rehmat aur Barkat ho.

MAIYYAT KO QABAR MEIN UTARNE KI DUA (میت کو قبرمیں اتارنے کی دعا)

بسم اللہ وبااللہ وعلی ملتہ رسول اللہَِ
Allah ka naam le kar, Allah ke naam ke saath aur Rasool (S.A.W.)ke tariqe par utarta hoon.

HADEES E NABVI (S.A.W.W.)


Allah ke Rasool (S.A.W.) jab mayyat ko dafan karne k baad uski qabar par khade ho kar dua farmaye aur farmaya ke apne musalman bhai ke liye istaqamat aur sabit qadmi ki dua karo kyun k iss waqt farishtay uss se sawal o jawab kar rahe hain.

Dosto Agar aap ko meri post achi lagi hai to please Roza Tul Atfal ko apne Google+ Circle mein zaror add karen Google+ Page ko follow karne ke liye neche Follow Button par click karen shukriya.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu