Momin Ka Hathyar Dua (دعا﴿
Wo To Dene Pay Hai Mayel Koi Mangey To Sahi
Hum Ne Mangi Ho Kabhi Dil Se Dua Yaad Nahi
Quran-E-Majeed Allah Taala Ka Irshad Hai. " Tumhare Parwardigar Ne Kaha Hai Tum Mujse Mango Main He Tumko Dunga"
Humare Pyare Nabi Kareem (S.A.W.W) Ka Farman Hai. "Dua Karne Sey Ajaz Mat Hoon Aur Is Say Ghaflat Mat Karo Kuyn Kay Dua Karne Wala Barbad Aur Halaak Nahi Hota"
Aik Hadees Mein Hai Kay: " Dua nijaat dilati hai is bala say jo aane wali hai aur jo abhi nahi ayi hai. Balaa wa musibat asmaan se utarti hai kay dua is say ja milti hai to dono larti hain yani balaa asmaan se utarna chahti hai tu dua is ko rokti hai aur dua bala dono ka ye muqabla qayamat tak jari rahe ga. Khaalis dua duaon mein ye asar hai kay dua taqdeer ko bhi phair sakti hai.
Humare Pyare Nabi Kareem (S.A.W.W) Ka Farman Hai: "Taqdeer Ko Dua Hee Phair Sakti Hai" (Tirmizi)
Sach Hai.
"Ghulami Mein Kaam Aati Hain Shamsheerien Na Tadbeerien
Ho Zauq Yaqeen Paida To Kat Jati Hain Zanjeerain
Koi Andaza Kar Sakta Hai Is Kay Zor-E-Baazo Ka
Nigah-E-Mard-E-Momin Se Badal Jati Hain Taqdeeren" (Allama Iqbal)
Rasoolullah (S.A.W.W) Farmate Hain "Dua He Ibadat Hai" (Mashkat, Tirmizi)
Dua Ebadat Ka Maghaz hai aur farmaya : Dua momin ka hathyar hai (Hissan Haseen)
Pyare Dosto! Jese dhaal teer aur talwar kay zakham say bachane ka sabab hai ya jese pani sabzi uganay ka sabab hai isi tarah "DUA" bhi musibaton say bachane ka sabab hai. Allah Tabarak Wa Taala Ko sab se pyari cheez dua lagti hai. Jis kisi ki tabiat dua ki taraf mayel ho gai to is par Allah taala ki Rehmat ho gai kuyn kay duaien aakhir qabool ho he jayen gi aur is ki dua kabool karne kay liye hee toh is ko (banday ko) dua ki taufeeq mil rahi hai. Kaha jata hai kay aish kay dino mein Allah Taala Ko yaad rakho, Sakhti kay dino mein Allah Taala tumhe yad rakhen gay. Agar tum beparwah ho kar dua karo gay to Allah Taala bhi tum se benayaz ho jayen ge aur agar tum pori tawaju se dua karo gay to Allah Taala bhi pori tawaju se sunain gay.
Taqdeer Allah Taala He ki Likhi hui hai aur dua Allah Taala se darkhuwast hai Agar Allah chahe to apne faisle mein tabdeeli kare aur is ko har tarah ka ikhtyar hai.
"Dua" ki qaboliyat ki chand shrayet hain agar wo shraayet pori hoon toh dua zaroor qabool hoti hai lekin apne muqararah waqt par yun samjhiye kay jab tak khana achi tarah pakk na jaye maa apne bachay ko khana nahi deti kuyn kay maa jaanti hai kay konsa waqt bache ko khana dene ka munasib hai hai aur kon sa nahi, lekin bacha apni nadani ki waja se rota aur zidd karta hai kuyn kay wo dair ki maslehat nahi janta aur baaz oqaat aadmi khuda taala sey koi aisi cheez mangta hai jo is kay haq mein nuqsan wali hoti hai wo dua Allah Taala qabool nahi karte bal kay is kay badle mein is say behtar cheez dete hain phir wo dua akhirat kay khazany mein jama ho jati hai. Is ki misal yun samjhiye kay aag kay surakh surakh koylay bachay ko baray khush numma mehsoos hote hain lekin maa baap bachay ko is say door rakhte hain kay aag is ko jala degi lekin bacha isko nahi samjhta yehi haal insan ka hai wo baz oqaat Allah Taala sey aisi cheez mangta hai jo is kay haq mein mazhar hoti hai wo Allah Taala nahi dete.
Pyare Dosto! Allah Paak ki Rehmat se bilkul bhi naa umeed nahi hona chahiye "Dua her haal mein khushi o ghumi, dukh, takleef, ya phr khushi kay lamhaat mein nahi chorni chahiye kyn kay Nabi Pak (S.A.W.W) ne Farmaya "Dua Momin Ka Hathyar Hai".

Comments
Post a Comment