Achay Aur Buray Logon Ki Pehchan
Achay Aur Buray Logon Ki Pehchan
Ache Logon Ki Pehchan |
Syedna Abu Huraira Razi Allahu Ta'ala Anho Se Riwayat Hai Kay Rasool Allah (S.A.W.W) Bethe hue kuch logon kay pass say guzray to thori dair thehre aur in se Farmaya:
" Kya main aap logon ko yeh na bata dun k tum mein se achey log kaun hain aur kon say log buray hain? Sahaba Karam Rizwan Allahi Alaihim Ajmaeen ne arz kiya: Beshak humain batain kay hum sab mein se acha kaun hai aur bura kaun hai Aap S.A.W.W ne irshad farmaya:
" Tum mein se ache wo log hain jin se bhalai ki umeed ki jaye aur inki burai se bay khauf raha jaye aur tum mein se bure wo log hain jin se na bhalai ki umeed ki jaye aur na inki burai se bay khauf raha jaye " (Tirmizi Shareef)
Nabi Kareem S.A.W.W Ki 3 Wasiyatain
Syedna Abu Zar Ghaffari Razi Allahu Taala Unho kehte hain k Nabi Akram (S.A.W.W) ne mujhe chand baton ki wasiyat farmai:
- Mujhe wasiyat farmaya kay wo jo log mujh se maal o izzat mein fauqiyat rakhte hoon inki taraf hasrat se na dekhun balkay in logon ko dekhon jo mujh se kam tar hai (Ta k mere dil mein shukar ka jazba bhare)
- Mujhe wasiyat farmaya kay main maskino se muhabbat karo aur in kay pass jaon.
- Mujhe is bat ki wasiyat ki k mere qareebi aur rishtedar chahe mujh se khafa hoon mere haqooq ada na karen lekin main in se apna taluq joray rakhun, in kay haqooq ada karta rahun. (Tibrani)
Comments
Post a Comment