Aisay Thay Hukamraan Khilafat Ka Daur
Aisay Thay Hukamran
Abdul Bin Azeez Marwan Misar kay governer thy jab in kay betay umar nay hosh sanmbhala to apko inki taleem o tarbiat ki fikar laahaq hui to aap ne inko Saleh Bin Keysan R.H kay pass Madina Munawwara taleem o tarbiat kay liye bhej diya. Hazrat Saleh R.H nay bari mehnat kay sath in ki tarbiat farmai khaas taur par Namaaz ki taakeed farmate or Namaz mein kotahi bardasht na karte aik din Umar Namaz mein dair say pohnche namaz sey faraghat kay bad Hazrat Saleh R.H ney shagird ko tanbeeh ki or dair say aanay ki waja puchi.
Pucha Beta aaj namaz mein itni dair sey kuyn aaye......?
Hazrat main baal sanwar raha tha iss pey zara dair ho gai Umar ne jijhak kar apne ustaad ko jawab dia acha ab baalon ki taraf itni tawaju ho gai hai kay namaz mein takheer hone lagi aisay baal sir per kese rakhe jaa sakte hain jo namaz mein takheer ka sabab banain.
Hazrat Saleh R.H ne kaha or phir foran hee governor misar abdul azeez ko khat likh kar bheja aur sara waqya tafseelan likha aqalmand baap ne aik admi bhej aur takeed ki kay Madina pohnch kar sab say pehle Umar Bin Abdul Azeez kay baal mundwao aur is kay bad kisi say baat karna issi husn e tarbiat aur namaz ki pabandi ki barkat thi kay Umar e Saani kehlaye aur tareekh ki aik zinda o javed hasti bane aur unhon ne khilafat sanmbhali to logon ne aik bar phir apni aankhon se khilafat e rashida ka mubarak daur dekh liya. Hazrat Umar Bin Abdul Azeez Ullah R.H mein hadd darja inkasari thi aap khidmat e khalaq apne hath sey sar anjaam dene say kisi kisam ka aar mehsoos nahi karte thy aik dafa raat kay waqt aap kay haan kisi mehmaan ka aana hua is waqt aap so rahe thy tail khatam hone ki waja say charagh gul hone laga to mehmaan ne kaha ameer ul momineen agar aap ijazat dain to main iss mein tail daal loon aap ne farmaya mehmaan say khidmat lena achi bat nahi hai mehmaan ne kaha khadim ko jaga dun aap ne farmaya nahi bhai wo kachi neend mein hai yeh keh kar khud uth gaye or tail lene chale gaye jab aap wapas aaye to Mehmaan ne kaha aey ameer ul momineen aap ne takleef kuyn ki.....?
Aap ne farmaya jab main tail lene gaya tab bhi Umar tha main aya hun to bhi umar hun mujh mein kuch ghata nahi logon mein behtar wo hai jo Allah kay nazdeek matwaza ho Aap ka mamool tha kay namaz e isha kay bad masjid mein beth kar duaien karte or rote rehte aik din aap ki biwi Fatima Bint Abdul Malik nay rone ki waja puchi to aap ne farmaya mene ghaur kiya to mujhe maloom hua kay main is ummat kay chotay baray aur siyah safaid ki halat ka zimadar hun Allah Ta'ala in kay baray mein mujhse sawal kare ga aur Muhammad S.A.W.W. in kay mutaliq mujh par dawa karen gay is liye iss taswur sey mujhe jaan ka khauf peda ho gaya aur meri aankh se aansu jaari ho gaye aur mera khauf barhta jata hai.
In ki biwi Fatima Bin Abdul Malik ka bayan hai kay wo logon sey zyada namaz nahi parhte thy aur na he logon se zyada rozay rakhte thy albata in say ziada koi khuda say darta nahi tha aik din Hazrat Umar Bin Umar Abdul Azeez R.H safar mein thy aap ka saaz o saman pichy reh gaya tha aap kay saathi aagay nikal chuke thy aap aik jaga thehar gaye phir aap ne dekha kay safar karne walon mein say jo log apna saman pehle rawan kar chuky thy inhain ab inka saman mil chuka tha yeh dekh kar ro pare aap kay chacha kay bhai ney aap say rone ki waja puchi to aap ne farmaya isi tarha qayamat kay din jo shakhs zaad e raah pehle bejh chuka hoga wo isko mil jaye ga or jis nay na bejha hoga isay nahi milega.
Aik martaba khaleefa munawar abbasi ne kisi buzurg sey kaha mujhe aap kuch naseehat farmayen to unhon ney farmaya Umar Bin Abdul Aziz ney bowaqt wafat gayarah (11) larkay choray aur tarkay mein sattar (70) dinar in mein paanch (5) dinar ka kapra inkay kafan kay liye kharida gaya aur do (2) dinar say qabar kay liye zameen khareedi gayi aur jo dinaar baqi bachay wo larkon mein taqseem kar diye gaye har larkay kay hissay mein unees (19) dinar aye. Jab Hashaam Bin Abdul Malik ka intiqal huwa to inhon ne bhi gayarah (11) he larkay choray aur har larkay ko baap kay tarkay mein dus dus laakh dirham aye. Main ne iskay baad Hazrat Umar Bin Abdul Aziz ki olaad mein say aik ko dekha kay is nay Jihaad e Fee Sabilillah kay liye sau (100) gohray diye jab Hashaam ki olaad mein say aik ko pull par bheek mangte dekha aap ki wafat 20 Rajab Ul Murajab aik so aik (101) Hijri mein hui.
Comments
Post a Comment