Achi Batain, Maa Aur Haraf Bolte Hain
Achi Batein
Janwar apne Malik ko pehchanta hai lekin insan apne Rab ko nahi pehchanta.
Jab qareebi rishtaydar muhtaaj hoon inhain chor kar dosron ko nawazna acha
nahi.
Apni massail is kay samne paish karo jo isay hal karne par qaadir ho agar
gunah karna chahte ho to kar lo lekin Allah se chup kar aur iski kayenat say
bahir nikal kar.
Charaagh khaw kitna he chota kyun na ho dunya ka pora andhera bhi mil kar
isay nahi bhuja sakta isliye koi choti si neki bhi jahan kay bure logon say dar
kar mat choro.
Maa
Maa zindagi hai markaz sabr o qaraar hai
Maa ek chaman hai jis mein musalsal bahaar hai
Maa lateef hai sakoon hai shafqat hai pyar hai
Maa ek azeem naimat parwardigar hai
Maa pehli darasgah hai aqal o shaur ki
Maa shama frozan hai muhabbat kay noor ki
Maa hai nazara qudrat rab e jaleel ka
Maa chashma e khaloos hai ulfat ki jheel ka.
Haraf Bolte Hain
Bure logon kay sath bethne say tanhai behtar hai
Kam bolna aqalmandi hai
Haqeer sey haqeer pesha bheek mangne say behtar hai
Ghuroor say aadmi ka deen zaya ho jata hai
Bakheel hamesha zaleel hota hai
Musibat ki shikayat mat karo is say Allah naraz aur dushman khush hota hai
Bay Hissi aadhi maut hai
Jhoot tamaam gunahon ki maa hai
Mehnat na karna muhtaji ka baais hai.
Comments
Post a Comment