MAA Aik Adhuri Tehreer MAA Di Shaan MAA Ki Tareef MAA Ka Muqam

Lafz MAA ke jis ko ada karte hue honth bhi khoobsurati say apas mein mil jaate hain jis qadar mohabbat sey ada karo gay utni hee chashni har dafa mehsoos karo gaye jitne bhi pyar say isay socho ge itni halawat tumhari muntazir hogi aaj qalam utha kar mujhe mehsus howa keh baaz alfaaz ki tashreeh karna khasa mushkil hua karta hai. Mere alfaz goya shaam ke surmai chadar mein ulajhte he chalay ja rahay hain dil sargoshiyan kar raha hai toh dimag ko sochna mushkil nazar aa raha hai qalam inkar kar raha hai ke itni mohabbat bayan karne se qasir hun to waraq bhi itni chashni samotay hue halkaan hue jaa raha hai "MAA" ek mohabbat bhara ehsaas! kisi kay liye maa saiban hai to kisi kay liye dharti.

Koi kehta hai MAA ek shajar hai toh kisi ko MAA or phool mein faraq nazar nahi aata kabhi sunta hun MAA gulistan hai kisi ki gardan hai kay MAA aab-e-rawaan hai shayaron ke liye MAA ulfaton ki pakeezah ghazal hai kisi ki zuban par hai ki MAA ek saya hai to kisi ko MAA ke liye faqat lafz mohabbat bhaya hai.



Ek dhanak, chand ki chandni, rat ki thandak, sitaron ki chamak, parindon ki chehchahahat, Subha sehar ki narmahat, Kaliyon ki chatak, shaam ki surmai chadar ki manind pur sakoon gul ki tarah jo har aik ko khushbu deta hai per silay ki parwah nahin.

Gharaz aaj tak is hasti ke liye bohat kuch likha gaya, bay baha likha gya, baghair kisi had ko muqarar kiye likha gaya bahut soo ney bohat kuch likha lekin yakin kijiye mere paas aaj iss pyari hasti ke tazkray liye alfaaz gar hain bhi to itnay haqeer keh apne waqat kho bethay hain. Khayalat hain bhi toh itne adhoray kay samajh sey bahir. Soch hai bhi to itni be rabt key parhne wala junjhla jae. sochta hun aaj kuch warq, chand linain, thoray alfaz aur chand jumlay or yeh choti si tehreer bus adhori hee chor dun aur aisi pyari hastee ko lafz DIL mein rehne dun. Dosto Agar aap ko meri post achi lagi hai to please Roza Tul Atfal ko apne Google+ Circle mein zaror add karen Google+ Page ko follow karne ke liye neche majood Follow Button par click karen shukriya.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu