MAA Aik Adhuri Tehreer MAA Di Shaan MAA Ki Tareef MAA Ka Muqam
Lafz MAA ke jis ko ada karte hue honth bhi khoobsurati say apas mein mil jaate hain jis qadar mohabbat sey ada karo gay utni hee chashni har dafa mehsoos karo gaye jitne bhi pyar say isay socho ge itni halawat tumhari muntazir hogi aaj qalam utha kar mujhe mehsus howa keh baaz alfaaz ki tashreeh karna khasa mushkil hua karta hai. Mere alfaz goya shaam ke surmai chadar mein ulajhte he chalay ja rahay hain dil sargoshiyan kar raha hai toh dimag ko sochna mushkil nazar aa raha hai qalam inkar kar raha hai ke itni mohabbat bayan karne se qasir hun to waraq bhi itni chashni samotay hue halkaan hue jaa raha hai "MAA" ek mohabbat bhara ehsaas! kisi kay liye maa saiban hai to kisi kay liye dharti. Koi kehta hai MAA ek shajar hai toh kisi ko MAA or phool mein faraq nazar nahi aata kabhi sunta hun MAA gulistan hai kisi ki gardan hai kay MAA aab-e-rawaan hai shayaron ke liye MAA ulfaton ki pakeezah ghazal hai kisi ki zuban par hai ki MAA ek saya hai to kisi ko MAA ke liye faqat la...