Garmiyon Ki Chuttiyan Kese Guzarain Farigh Waqt Ka Behtreen Istemal Karen Bacho Ki Chutian Guzarne Ka Sahi Tarika

Time Pass Kaise Kare Waqt Ka Sahi Istemal Time pass Karne Ke Liye Kya Kare

Pyare Bacho! Haqeeqat to yeh hai kay sabhi pyare hote hain har dil azeez hote hain maa baap kay liye dil ki thandak aur behan bhaiyon ki ankhon kay taray hote hain bachon se to har koi pyar karta hai kay bachay mann kay sachay aur masoom hote hai sachay pyar kay taalib hote hain ye nau nihaal bharpoor tawaja aur tarbiyat kay mustahiq hote hain jaise ek nanhi si konpal lekin yeh bhi khayal rahe pyar o mohabbat baja ho be jaa na ho kay be jaa laad pyar bachon kay liye zehar e qaatil say kisi bhi tarah bhi kam mohlik nahin kisi ney kya khoob kaha hai
"Bachon say kabhi pyaar mein koi kasar na rakh kirdaar par zara in kay sakhti say nazar rakh"
mazeed arz kiya hai
"Hai pyar ke izhaar ka yeh bhi ek tariqa maa baap ki tanbeeh ka dil pay asar na rakh"


Toh hum apni baat ka aghaaz wahin se karte hain pyare bacho May ka mahina shuru hote hee ghar ghar mein har school har class mein mausam e garma ki chutiyon ka tazkirah aam hone lagta hai chutiyo ke din jun jun qareeb aate jate hain bachon ki khushi do chand ho jati hai aur intzar ki ghariyan shadeed se shadeed tar choton barhon ki majlison mein aye din salah mashwarey hote hain chutiyan guzarne kay program tarteeb diye jate hain aaj ki iss majliss mein majlison aur naseehato ki aik pitari liye hum bhi shareek hona chahte hain aaye mil beth kar in naseehat ki baaton ko ghaur se parhiye aur in baaton par amal kar kay apni chutiyon ka maza dobala kijiye.


How To Spend Free Time in Productive Way




Bacho aap ko to pata hai na kay mosam e garma ki aamad kay saath hee itni saari chutiyan kis waja say hoti hain jee han taa kay nazuk badan nanhay munnay bachay tez aur chilchilati dhoop se bachay rahein is liye aap apne aap ko garmi ki shiddat se bachaye dopehar kay waqt ghar se bahir hargiz naa nikle aur deegar mashru baat ka munasib istemal karen yaad rakhen: Parhez elaaj se behtar hai
Tandrusti hazaar naimat hai Drust soch tandrust jism mein hee hoti hai in Chutiyon mein bohat saa qeemti waqt muyassir aata hai iska matlab ye hua kay chutiyan Allah Ta'ala ki bohat bari nemat hain lehaza iss azeem nemat ki qadar karen yun he fazool kamon mein waqt guzarne ki koshish na karein balkay fursat kay in lamhat ko kaar amad banayen is liye kay gaya waqt phir haath nahi aata waqt ka zaya aap ka naa qaabil e talafi nuqsan hai. Pyare Nabi Hazrat Muhammad (Salal laaho Alehey Waa Aaalay Hee Wasalam) Farmate Hain " Do Nemaitain aisi hain jin kay baray mein aksar log khsaray mein jaa rahe hain aik sehat aur dosri Faraghat "

Aap  (Salal laaho Alehey Waa Aaalay Hee Wasalam) ka aik aur farman e aalishan hai kay
" Paacnch cheezon ko paanch cheezon se pehle ghaneemat jano Bemari ko sehat se pehle, Zindagi ko maut se pehle, Fursat ko mushghuliyat se pehle, Farakhi ko tangdasti se pehle aur Jawani ko bhurhapy se pehle "


How to Spend Holidays for Students How to Spend Free Time at Home Usefully

Azeez Bacho! abhi se apna time table tarteeb day lain aaj ka kaam kal par mat chorain misal mashhoor hai kay aaj ki aaj kay sath, kal ki kal kay sath lafz kal aik bohat bara dhoka hai jo insan waqt ko zaya karne par nadamat aur afsoos say bachata rehta hai guzra hua kal aur aane wala kal in dono kisam kay kal ko hum aaj mein dakhil nahi kar sakte waqt jab aik dafa mar gya mar gaya to isko para rehne do ab is kay sath aur kuch nahi ho sakta siwaye iss kay kay iss ki qabar par aanso bahaye jayen insaan ko aaj ki taraf laut aana chahiye magar log is ki taraf laut'tay nahin hain. Daanaon kay register mein kal ka lafaz kahin nahi milta yeh to mehaz bachon ka behkawa hai kay falaa khilona tumhe kal laa kar de dia jaye ga. Yeh aise logon kay istemal mein aane wali cheez hai jo subah shaam tak khayali palao pakate rehte hain aur shaam se subah tak khawab dekhte rehte hain. Afsoos hai in bad naseeb insano par jin aarzoyen sirf is "Kal" kay lafaz ne pori naa hone di lafaz kal naa laiq kaahilon ki jaye panah hai

How to Spend Time Wisely In Holidays

Jo kaam waqt par asani se kiya jaa sakta hai wo hafton aur mahino tak para rehne se wabaal e jaan maaloom hone lagta hai misal mashoor hai kya waqt per aik tanka so taankon se bacha leta hai. Paanch waqt ki namaz bajamat ada karen, bachiyan gharon mein namaz ka ehtamam karen, Quran Pak ki tilawat aur subha o shaam kay masnoon azkar baa qayedgi se karen. Namaz baa tarjuma yaad karen, khoob dil laga kar parhen, homework mukamal kar kay achi tarah yad karen aur phr rozana tehreeri test dain. Betahasha khel kood, fazool gup shup, halla gulla, shrarton aur gali koochon mein ghoomne phirne se guraiz karen. Video games, cartoons, films aur behuda masrofiyat se door rahen, apne faarigh aukaat ko zyada se zyada mufeed kamon mein saraf karen. Metric or college ka talba deeni taleem o tarbiyat kay 21 roza course " Daura E Suffa " program banayen ghareeb naa daar aur be sahara logon ki madad karne ka yehi behtreen mauqa hai larkiyon kay liye sui taankay aur salai karhai ka kaam mozon rahe ga. Kuch bachay chutiyan guzarne azeez o aqarib kay haan jate hain aap wahan jayen to in buzrgon se milen jinhon ne apni aankhon se Pakistan bante dekha in say qayam e pakistan kay waqeyat sunain aur apni diary mein likh lain.

Agar aap ko kisi tareekhi muqaam ya sehat afza muqam ki seyr par jane ka ittefaq ho to isko apne ghar walon aur apne doston sangi saathiyon kay saath share karen is tarah unki seyr o tafreeh ka bhi saman ho jaye ga jo waqt ki qillat ya kisi or waja se chutiyon kay mausam mein kahin na jaa sake.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu