Kalonji Kay Nanhay Danay Sehat Kay Khazanay Fennel Flower Health Benefits Kalonji Ke Fawaid In Urdu
Kalonji Benefits in Hindi Kalonji kay Nanhay Danay Sehat Kay Khazanay
Fennel Flower Seeds Benefits in Hindi/Urdu |
Kalonji Kay Gharelu ilaj Kalonji Dana Khane Ke Fayde
Kalonji aik kisam ki ghaas hai iska poda khud ru aur taqreeban 40 centimeter buland hota hai jo k sonf se mushaba hai. Iska rang siyah aur surat pyaz k beejon se milti julti hai. Baaz log isay pyaz k beej he samjhte hain jabkay ye pyaz ka beej nahin iss poday mein phalliyan lagti hain jin mein kalay til k barabar mote danay hote hain jin ko kalonji kehte hain. Kalonji ka mizaaj khushk aur kalonji ki taseer garam hai. Kalonji mein wo tamam anaasar majood hain jo insani sehat k liye zaroori hote hain yani sodium, iron, zinc, fiber, calcium magnesium waghera.
Kalonji Ki Hadees In Urdu/Hindi
Hazrat Abu Huraira R.A se
riwayat hai kay main ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ko ye farmate hue suna " Kalay danay kalonji mein har bimari maa siwaye maut k shiffa hai"
To Aaj hum ko aap kalonji k he bohat saray tibbi fawaid bata rahe hain:
Bachon K Pait K Keeron Ka Ilaj
Kalonji khane se pait k keeray mar jate hain.
Sir Dard Gharelu Nuskhe in Hindi Nazla
Zukam Khansi Ka Ilaj
Kalonji ko tail mein josh de kar sir mein lagane se dard e sir, nazla aur zukam mein faida hota hai.
Kalonji Se Bawaseer Ka Ilaj Piles Treatment with Fennel Flower Seeds
Kalonji jala kar khane se bawaseer ka marz door hota hai.
Gurde Aur Masana Ki Pathri Ka Ilaj Kidney and Bladder Stones Cure
Kalonji ko shehad k sath khane se gurday aur masanay ki pathri nikal jati hai.
Agar fakshi ki wajah se jism mein peeriyan si ban gayi hoon to kalonji khane se khatam ho jayengi.
Danton Ka Dard Ka Ilaj In Urdu Toothache Treatment at Home
Kalonji ko pani mein josh de kar ghararay karne se danton ka dard door ho jata hai.
Balgham Ka Ayurvedic Treatment
Kalonji mein sirka mila kar khane se balgham door hota hai.
Aankh Mein Dard Ka Gharelu Upay
Zaitoon k tail mein kalunji daal kar sunghne se aankhon ka dard jata rehta hai.
Kalonji Oil Ke Fayde Balo Ke Liye Solution for Hair Fall
Kalonji pees kar mehndi mein mila kar sir mein lagane se baal jharna band ho jate hain.
Seene Mein Dard Ho To Kya Karna Chahiye?
Kalonji ka istemal seene ki dard aur khansi mein behad mufeed hai.
Machar Bhagane Ka Desi Tarika Khatmal Marne Ka Tarika
Ghar mein kalonji ki dhoni dene se khatmal aur machar ka khatma bhi ho jata hai.
Aadhe Sar Dard Ka Gharelu
Ilaj Dard E Shaqiqa Ka Ilaj In Urdu
agar dard e shaqeeqa ho to kalonji k 21 danay kapray ki potli mein bandh kar pani mein ubaal lain. Pehle din
seedhe nathne aur dusre din dusre nathany mein aik qatra dalein innshaAllah 3 din mein shiffa hasil hogi.
Comments
Post a Comment