Khatoon Ki Zahanat Momino Ki Zahanat Kay Qissay Islamic Sachay Waqiyat
Khatoon Ki Zahanat Momino Ki Zahanat Kay Qissay Muslim Wisdom Stories خاتون کی ذہانت Hazrat Abdullah Bin Masood R.A bayan karte hain k aik dafa safar k doran main apne qafily se bichar gaya aur jungle mein kahin door nikal gaya. Wahan main ne aik borhi khatoon ko dekha jo aik darakht k tanay k pass bethi thi. Iski pareshan hali se main jan gaya kahin ye bhi meri tarah rasta bhool gayi hai main iske qareeb gaya aur kaha: "Assalam o Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh" Khatoon ne aam tarike se jawab dene ki bajaye Quran Majeed ki ye ayat parhi: "Unko parwardigar meharban ki taraf se salaam farmaya jaye." (Surah Yaseen Ayat No.58) Main ne pucha: "Aap yahan kya kar rahi hain?" Khatoon ne jawab mein Quran e Pak ki ye ayat parhi: "Jisay Allah Taala rehnumai se mehroom kar de, iske liye phir koi rehnuma nahin hai." (Surah Al Araf 186) Main samajh gaya k ye rasta bhool gayi hai isliye main ne pucha: "Aap kahan ja rahi hain?...