Qissa Ek Bahadur Behan Ka Jo Apne Bhai Ko Dushman Ki Qaid Se Churane Ke Liye Maidan e Jang Mein Utar Gai

Ek Bahadur Behan "A Brave Sister"


A Brave Sister Ek Buhadur Behan


" Qissa Ek Bahadur Behan Ka Jo Apne Bhai Ko Dushman Ki Qaid Se Churane Ke Liye Maidan e Jang Mein Utar Gai "


Ye waqiya us bahadur aur nadar behan ka hai jisne bahaduri aur jurrat k sath johar dikhaye aur apne mujahid bhai ko dushman ki hirasat se churane k liye jang me kood gai. inka naam Khola bint Azoor R.A tha. aap mujahideen k khandan se taluq rakhti thin. Aap k walid Hazrat Azoor R.A Rasool Allah S.A.W.W k sath kai ghazwat mein shamil rahe aur jihaad karte huay shaheed huwe. Hazrat Khola R.A aur inke bhai Hazrat Zaraar R.A shaam aur misr ki aksar jango me shareek rahe. Dono behan bhai aik doosray se mohabbat karte thy aur milkar jihaad karte thay. wo dono apni bahaduri daleri sir farooshi k lye mashoor thy.



Aik martaba rumion aur Musalmano k darmiyan jang ho rahi thi. Musalmano k sipa salar khalid bin waleed R.A thy. Rumi fauj ki tadad bohat ziyada thi aur wo har kisam k jangi saaz o saman se lais thi. mujahideen ki tadad bohat kam thi aur inke pass hathyar b kam thy iske bawajood musalman jazba e shahadat se sir shar thy. Hazrat Khola R.A aur Hazrat Zaraar R.A bhi is jang mein shamil thy. Hazrat Zaraar R.A bohat nidar aur sher dil mujahid thy wo jis taraf jate dushman ki safon ki safain ult dete. In dono ke hathon mein talwarain thi jinhen wo yaksan maharat se chala rahe thy. Is tarah larte larte wo dushman ki fauj k darmiyan pohanch gaye aur in ka raabta apni fauj se cut gaya. Rumi sipa salar aik unchi jagah se inhen larte hue dekh raha tha. Isne socha ke mauqa acha yahan inka koi madadgar nahi. Agar inko giraftar karke apne badshah ke pass bhejh dun to wo bohat khush hoga aur mujhe inaam o karam se nawazy ga. Rumi sipa salar ne apni sipahiyon ko hukam diya kay jis tarah bhi ho sake Zaraar R.A ko gher kar giraftar kar lo.


Ye sunte he rumi faujion ne inki taraf yalghar kar di aur inhen zameen par gira diya inki talwarain hathon se choot kar door ja giren. Ab Hazrat Zaraar R.A puri tarah rumi fauj k nirghay mein aa kar be bas ho chuke thy. Sipahiyon ne inko rasiyon se jakar liya aur sipa salar ne inhe apne fauji dastay ke sath badshah ki taraf rawana kiya. Hazrat Khalid Bin Waleed R.A ne dastay ko hidayat de kar rawana kar diya. Hazrat Khalid Bin Waleed R.A ko Hazrat Zaraar ki giraftar ka pata chala to unhone foran mujahideen ka aik dasta tayar kiya aur hukam diya ke jitni jaldi mumkin ho sake Hazrat Zaraar R.A  ko rumion ki qaid se chura lain. Hazrat Khalid Bin Waleed R.A ne apne dastay ko hidayat de kar rawana kar diya. Achanak aik niqab posh mujahid peechy se namudar hua aur sir pat gorha dorata hua rumi sipahiyon par toot para.

Musalman heraan thy ke ye kaun daler mujahid hai jo tan tanha dushman par itni shiddat se hamla awar hua hai aur isne apna chehra kyun chupaya hua hai. Ye mujahid tezi se in rumi sipahiyon ke sir par pohanch gaya aur jo naqab posh mujahid ke bhai Hazrat Zaraar R.A ko giraftar karke le ja rahe thy. Is se pehle ke rumi sanmbhal paate naqaab posh mujahideen in par jhapat para aur dekhte he dekhte kai rumion sipahiyon ko dhair kar diya. Rumi sipahi is achanak iftada se badhawas ho gaye. Wo samjhe ke in par asman se koi bala nazil ho gai. In mein afra tafri mach gai lekin wo bhagte waqt Hazrat Zaraar R.A ko bhi sath le gaye. Hazrat Khalid Bin Waleed R.A ne is mujahid ko apne pass bulwaya aur pucha " Aye Naqab Posh mujahid! hum tumhari be khaufi aur sir farooshi se bohat khush huay. Tumne apni jan jokhon mein daal kar aisa kaam kiya hai jo baray se bara jurri aur bahadur sipahi bhi nahi kar sakta tha. Ye to batao tumhara naam kya hai aur tumne apna chehra naqaab mein chupa kyon rakha hai.


Apne sipa salar ki baat sun kar mujhaid thori dair tak khamosh raha. Phir isne kaha: " Aye Ameer! main Khola Bint Azoor hoon aur main Zaraar R.A ki behan hoon. Mere bhai ko jab rumion ne giraftar kiya to mujh se raha na gaya aur main beqarar ho kar inhen churane chal pari " lekin afsoos mujhe kamyabi na hui.
Hazrat Khalid Bin Waleed R.A ko jab ye pata chala ye karnama aik khatoon ne anjaam diya hai inka sir fakhar se buland ho gaya unhone kaha jis qaum ki betiyan Khola R.A jesi bahadur aur nidar hoon isay duniya ki bari se bari taqat bhi shikasat nahi de sakti. Inn'sha'Allah



Hum aap ke bhai ko dushman ki qaid se chura kar he dum lain ge. Is martaba Hazrat Khalid Bin Waleed R.A ne fauj ka aik bara dasta rumion ke taaqub mein bheja. Hazrat Khola R.A bhi fauji dastay ki sath thin. Rumi sipahi Musalmano ka muqabla na kar sake aur qadion ko chor kar farar ho gaye. Is tarah Hazrat Khola R.A ne bil akhir bhai ko dushman ki qaid se azaad kara liya. Dekha bacho! buhadur log he kamyab ho sakte hain sari baat himmat aur koshish ki hoti hai.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu