Khana E Kaba Ki Tareekh Masjid Al Haram Ki Tameer Khana Kaba Ka Ghusal Khana Kaba Ke Darwaze Ke Naam

Masjid Al-Haram History First Mosque of Islam


Khana Kaba Masjid Al Haram Ki Tareekh


Post Summary :- Is post mein aap ko Masjid Al Haram ki tafseel ke sath maloomat milegi jis mein Jannat sey aya hua khana kaba mein nasab kiya gaya pathar Hajr e Aswad ki tafseel, hajr e aswad story, khana kaba ki tameer o toseeh, khana kaba mein 1 namaz ka sawab, khana e kaba ka darwaza, khana kaba ka andar ka manzar aur iske ilawa khana kaba ki tameer mein Saudi Hukumat ne kya kirdar ada kiya aur iske ilawa Haramain Shareefain se mutaliq aur bhi dilchaspi malomat milegi.

Taaruf aur Ahmiyat



Masjid haraam roye zameen par banai jane wali pehli masjid hai. Iss masjid ke wast mein Baitullah yani Khana Kaaba majood hai aur jo kay Musalmano ka qibla hai. Iss masjid mein Namaz ada karne ka Sawab 1 lakh Namazon ke brabar hai. Sahih Muslim ki riwayat hai Rasool Allah S.A.W.W se pucha gaya kay zameen par banai jane wali pehli masjid konsi hai. Aap S.A.W.W ne farmaya Masjid Al Haraam pucha gya iskay baad konsi masjid banai gai? Aap S.A.W.W ne farmaya Masjid Aqsa aur in dono ki tameer ki darmiyani muddat 40 baras thi.

Mukhtasir Tareekh


Kaba Tul Allah ko Allah Taala sab se pehle Hazrat Ibrahim A.S ne apne bete Hazrat Ismail A.S kay sath mil kar tameer kiya. Inkay baad iski dobara tameer Amalqa ne ki phir Jarham ne phir Qasi bin Kalab ne aur phir Quresh ki tameer mashoor rahi hai. Jab Quresh ne Khana Kaba ki tameer shuru ki aur Hajr e Aswad tak pahunche to in mein ikhtilaf paida ho gaya. Har qabeela chahta tha kay wo ye Sa'adat hasil kare qareeb tha kay Talwarain chal partin aur khoon behne lagta Hazrat Muhammad S.A.W.W ko salas tasleem kar liya gaya Aap S.A.W.W ne apni chadar phelai is par Hajr e Aswad ko rakha is chadar ko Quresh ke tamam qabail ne mil kar uthaya aur Nabi S.A.W.W ne apne Dast e Mubarak se Hajr e Aswad ko iss muqam par rakha.

Tameer aur Toseeh



Khana Kaba kay gird sab se pehle 4 diwari 639 Esvi mein Hazrat Umar R.A ne banwai jab kay 777 Esvi mein Mehdi ke daur mein is waqt kis sab se bari Tausee ki gai jis ke gird Usmani Turkon ne sufaid gumbadon walay Baramdy banwaye thy jo aaj bhi maujood hain.

Darwazay


Aaj kal Masjid Al Haraam ke qul 112 chote baray darwazay hain. Pehla bara aur Markazi Darwaza Saudi Arab ke farma rawa Shah Abdul Azeez ke naam par " Baab Abdul Azeez " kehlata hai. Ye masjid janoobi simt mein hai. Dusra bara darwaza " Baab ul Fatah " shumal mashriq mein marwah kay qareeb waqiya hai yahan se 12 January 630 Esvi ko fatah Makkah ke din Islami Lashkar Nabi S.A.W.W ki zyer e qayadat Masjid Haraam mein dakhil hua tha. Teesra bara darwaza " Baab ul Umrah " shumal maghrib mein jab kay chutha bara darwaza " Baab Fahad " maghrib ki simt mein waqiya hai. Iskay ilawa baqi tamam darwazon ke naam bhi mukhtalif halat o waqiat mein yaad rakhe gaye hain.

Androni Manzar


Inside of Kaaba Masjid Al Haram 

Masjid ke andruni aur beruni muqamat ko mila kar qul raqba 40 lakh 8 hazar 20 murabba meter hai. Hajj ke doran yahan 40 lakh 20 hazar afrad namaz parh sakte hain. Nayi amarat ki har manzil mein 492 satoon hain. Har satoon ki golai 70 centimeter hai. Tamam satoonon ko sang e mar mar se arasta kiya gaya hai.

Minnaar

Is masjid ke 9 minar hain jin ki bulandi 89 meter hai ye minar khoobsurti ki misaal aap hain.

Sahuliyat aur Araish


Masjid mein barqi zeenay nasab hain jin ki tadad 111 hai. Namazion ko chat par pohanchane ke liye nayi amarat ke shumal aur janoob mein 2 barqi zeeno ka izafa kiya gaya hai. Ye zeena 15 hazar afrad ka bojh bardasht kar sakte hain. Masjid mein 9 hazar se zaid hamam aur wazu khane hain. Hajion ki sahuliyat ke liye Mina aur Arafat ke darmiyan wasee o areez sarakain banai gayi hain. Paidal chalne walon ke liye banai gai surangon ne Haram aur Mina ki musafat ko ghata kar sirf 4 meel kar diya hai.

Bait Ul Allah


Baitullah Masjid Haraam ke wast mein waqiya hai. Baitullah 15 meter buland chakoor Hujrah ki shakal ka hai. Baitullah ki tameer mein 1 pathar hajr e aswad istemal hua hai. Ye Jannat se Hazrat Jibrail A.S le kar aye thy. Jab Baitullah ki deewarein kafi unchi ho gain to Hazrat Ibrahim A.S aik pathar par kharay ho kar Baitullah ki tameer karte rahe. Ye wahi pathar hai jisay Muqam e Ibrahim kaha jata hai. Baitullah har saal Aab e Zam Zam se ghusal diya jata hai aur Ghilaf e Kabaa Siyah rang ka aur Resham ke kapray se bana hota hai. Ghilaf e Kaba ki tameer mein bhari miqdar mein sona chandi istemal hota hai aur iss par Baitullah ki Hurmat o Azmat se mutaliq Qurani Ayaat likhi hoti hain. Saudi Hakoomat ne Ghilaf e Kaaba ki tameer ke liye aik khasoosi kaar khana laga rakha hai. Saudi hakoomat ko Allah Taala ajr e azeem ata farmaye jinhon ne Harmain Shareefain ki tazaein o araish aur Mehmanaan e Haram ki sahulat ke liye har mumkin koshish ki aur ye musalsal jari hai.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu