Nanha Mozzan Aik Bacha Jisne Hazrat Bilal R.A Ki Azan Ki Naqal Utari Thi
Nanha Moazzin Kahani Ek Sahabi R.A
Hazrat Bilal R.A First Muezzin of Islam |
Wo Chota Bacha Jisne Hazrat Bilal R.A Ki Azan Ki Naqal Utari Uske Sath Kya Hua?
In bachon ko pakar lao wo dono foran bachon ke pass gaye aur kaha " Tum mein se kon azaan de raha tha? " wo sab dar gaye aur kisi ne jawab na diya to Hazrat Ali R.A aur Hazrat Zubair R.A in bachon ko ghair kar Allah Taala ke Nabi Hazrat Muhammad S.A.W.W ki khidmat mein le aye. Aap S.A.W.W ne in bachon se pucha kay tum mein sey kis ne azaan ke kalamat ada kiye hain? Sab bache dar, khauf aur haya kay maray khamosh thay. Aap S.A.W.W ne sab ko kaha kay bari bari azaan do. Sab sey pehle aik bachy ne azaan dena shuru ki to iski awaaz pyari na thi. Is tarah 2 aur bachon ne azaan di jab inki bari ayi to Aap S.A.W.W ne farmaya: Tum azan do jab Abu Mahzura ne azan kehna shuru ki to inki awaz bari pyari thi ALLAH kay Nabi S.A.W.W ne kaha: Kay tum ne he naqal utari thi Abu Mahzura ne sir ke isharay se kaha Gee! Aap S.A.W.W ne dusre bachon ko hukam diya kay aap chale jao. Abu Mahzura baray pareshaan thy, pata nahi mere sath kya salook karte hain.
Mujh ko qatal na kar dain kyon ki main ne Musalmano ki azaan naqal ki naqal utari hai. Abu Mahzura ne sir pagri baandh rakhi thi aur abhi tak Musalman nahi huay thy. Aap S.A.W.W ne pagri iskay sir sey utari aur inke sir par apna hath pherte hue ye dua farmai: "Aye ALLAH! Is ko barkat farma aur Islam ki hidayat farma" Abu Mahzura R.A ka asal naam Ous Bin Muyair tha. Ye apne chand doston ke sath mil kar Makkah kay aik jungle mein bakriyan charaya karte thy. Makkah fatah ho gaya tha lekin Abu Mahzura R.A ne Islam qabool nahi kiya tha. Is waqt inki umar 15 saal thi. Aap S.A.W.W Makkah fatah karne ke baad Hunain tashreef le gaye. Hunain ke baad Aap S.A.W.W Ghazwa Taif ke liye tashreef le gaye. Jab Aap S.A.W.W Hunain se wapas aa rahe thy to aap ne Hunain ke qareeb Ja'arana ke muqam par parao dala hua tha. Ja'arana Makkah ke qareeb muqam hai. Abu Mahzura pahari ke dusri taraf apne chand doston ke sath bakriyan chara rahe thy.
Idhar Zohar ki Azaan ka waqt ho chuka tha aur Hazrat Bilal R.A ne Azaan dena shuru ki. Syedna Bilal R.A ki Azaan ki awaz bohat khoobsoorat thi. Jab Hazrat Bilal R.A ne Azaan kehna shuru ki to awaaz Abu Mahzura ke kaano sey takrai. Abu Mahzura aur inke dost apas mein aik dusre sey bohat mazaq karte thy. Sab ne Hazrat Bilal R.A ki azan naqal utarna shuru kar di. Syedna Bilal R.A ne kaha: ALLAH O AKBAR ALLAH O AKBAR jis tarah Bilal R.A Azan ke kalmat keh rahe thy to Abu Mahzura ne bhi issi tarah kalmat ada karne shuru kar diye inki awaz bari saaf aur khoobsoorat thi.
Udhar ALLAH TAALA ke Nabi S.A.W.W Abu Mahzura ki awaz sun rahe thy Aap S.A.W.W ko inki aawaaz bari khoobsoorat lagi Aap S.A.W.W ne Hazrat Ali R.A aur Hazrat Zubair R.A ko hukam diya kay jao is bache ko pakar lao. Islam qabool kar lene ke baad Nabi S.A.W.W ne Abu Mahzura ko kaha kay jao tum Ahl e Makkah kay moazzin ho. Tumhen Makah walon ke liye Moazzin muqarar kiya jata hai. Is waqt Makkah kay Governor Attab Bin Aseed R.A they. Inko hukam diya kay Abu Mahzura Makkah mein moazan muqarar hai. Ye sa'adat aur izzat sirf Abu Mahzura tak mehdood nahi thi balkay nasal dar nasal inke khandan ke log is uhday par fayez rahe aur inki aulaad 300 saal tak Makkah mein moazan rahi. Musnad Ahmed (409/3)
Comments
Post a Comment