Baaten Karne Wala Parinda Bird Who Talks Like Humans
Dilchasp Information In Urdu Baatein Karne Wala Parinda
Parrot Information in Urdu/Hindi (Photo Credit National Geographic) |
Allah Taala ney parindon ki beshumar iqsam peda ki hai duniya bhar mein inki 350 iqsam pai jati hian. Tota bohat khoobsurat parinda hai. Log totay ko bewafa parinda samjhte hain lekin phir bhi log isay baray shauq sey palte hain. Puranay qissay kahaniyon mein bhi iska zikr milta hai in kahaniyon sey pata chalta hai kay tota in parindo mein sey hai jise zamana qadeem sey insan palta aa raha hai.
Totay ghonsalon mein nahi rehte balky darakhton ki khuddon mein rehte hain. Totay ki zuban choti magar moti hoti hai isliye wo insan ki tarah batein kar sakta hai. Totay phal aur beej khate hain amrood, aam, aloo, akhrot, bair, roti, ghee, makai aur soraj mukhi kay beej inki pasandeda khurak hain.
Comments
Post a Comment