Allah Sey Mulaqat Apne Malik Sey Mulaqat
Meeting with Allah Allah Se Mulakat
Meet Allah in Heaven
Payare Bacho! Agar aap kisi sey mulaqat ke liye jayen to kesy jayenge? Achy achy kapray pehnay gay, tayar honge achi tarah apni safai karenge kay main acha lagon? hain na yehi bat?
Ye to duniya ki batein hain hamein akhirat mein kesy tayar hona hai jab Allah Taala sey mulaqat hogi isky liye to sab tayariyan karni hain ache ache amal karne hain Allah Taala ko razi karne ke liye ache libaas mein duniya mein rahenge to akhirat mein Allah Taala khush honge ache libas sey murad hai jesa Rasool Allah (S.A.W.W) hamare liye pasand farmaya hai phir jab hamari wapsi ka waqt ayega to ham bata sakenge ke hum ne kesi zindagi guzari thi. Kyun ki ye duniya ki zindagi kuch arsa ke liye imtehan gah hai hum yahan reh kar apni akhirat behtar kar saken. Iske baad humein apne rab kay huzoor hazir ho kar apni zindagi bhar ki kar guzari pesh karni hai.
Apne malik sey mulaqat karni hai Rasool Allah (S.A.W.W) ney farmaya:
Jo shakhs Allah Taala sey mulaqat ko mehboob rakhta hai. Allah Taala iski mulaqat ko mehboob rakhte hain jo Allah Taala sey mulaqat ko na pasand karta hai to Allah Taala bhi is sey mulaqat ko na pasand karte hain. (Muttafiq Aleh)
Comments
Post a Comment