Mehnat Ka Phal Story In Urdu Islamic Story For Childrens Mehnat Ka Phal Meetha Hota Hai In Hindi
Islamic Story in Hindi Language Mehnat Ka Phal Story in Hindi
Hamaray gaon jhugion mein muqeem jinhen urf e aam mein log faqeer kehte hain halan kay sharai nuqta e nazar say hum sab log apne parwardigar kay faqeer hain.
Inke bachay aksar oqat gaon ke gharon mein kuch lene aur mangnay aate jatay rehte hain. Kuch arsa qabal ki bat hai inhi mein se aik behan ne kaha kay mere bachon ko chutiyon ka kaam karwa do kyun ki mere pass tuition fees nahin hai tumhe Allah Jaza e Khair dega. To kuch waqt mein usnay bachion ko parha diya is doran main ne ye bat note ki kay bachiyan waqai zaheen hain main sochti rehti kay ye Allah Taala ki shan hai kay chahe to jhugion mein rehnay waly logon kay bachon ko zehni silahiyaton se nawaz day aur chahiye to modern aur mehngy gharon aur gariyon kay malik bachy bhi na parh sakain aur waldain ke liye pareshani ka bais rahen. Agar ye silahiyaten kisi kay qabza ya ikhtiyar mein hotin to shayad ghareebon ko koi cheez na milti magar ye sab Daata (Allah SWT) ki atta karda nematian hain. Isi tarha aik din wo bachian dana ya aata lene ayen to inke sath aik aur bachi bhi thi walida mohtarma ne pucha kay ye aaj kon hai sath? to unhon ne bataya ke hamari kahala zaad behan hai in dino wo hamare gaon ke sarkari school mein parhti thi aur behtreen zehni silahiyat ki mallika bhi iske baad wo qareebi gaon mein muntaqil ho gai.
Sabaq Amoz Kahani Sachi Kahaniyan For Kids |
Mehnat Mein Azmat Hain Story for Kids Learning in Hindi/Urdu
Waqt guzar gaya aur saal 2016 ke salana matric ke nataij ke doran aik bat mein phir muje apni taraf matwaja kiya kay qaumi akhbarat mein aik larki ki wazir e aala punjab ke hamrah khabrain aur tasveerain chapi aur sath khabar yeh thi ke chakwal ki jhgion mein muqeem taliba ke liye wazeer e aala ki taraf say cheque aur ghar ki farahmi ka ailaan aur ainda tamam taleemi akhrajat bhi hukumat ki taraf se bardasht karne ka wada waghera. Neez degar siyasi logon ki bhi imdad kyunki ye wahi bachi thi jis ka tazkira upar kiya gaya hai. Asal baat ye thi kay iss taliba nay matric ke imtihanat mein 1004 number le kar numyan position hasil ki thi aur ye sab yaqeenan buland azam aur mehnat ka nateeja tha jise saraha jana bohat zarori tha. Hukumat ki taraf se shandar ailanat bhi qabil e tehseen hain ta k talent zaya na ho. Agarcha iss say bhi zyada number leny waly bachay majood hain. Sathio sab se aham baat ye hai kay mehnat ka phal insan ko zaroor milta hai chahy wo ameer ho ya ghareeb tab he to Haali ne kaha tha:-
Bin mehnat kuch haath na aaye, haath aaye nadari
Mehnat aisay jaado, jis say rait banay phulwari
Iss ladki ne bhi dil laga kar khoob mehnat karke apna aap manwaya to iska matlab yehi hai kay mehnat ka phal meetha aur dair paa hota hai. Mujhe iski khala bata rahin thin kay ye baat bhi hai kay agar ab hukumat sir parast na banti to taleem ko bhi khair baad kehna parta aur siliahiyaten khaak ho jatin chahe kitne laakh sahi magar ye laakh khatam ho jate hain asal sarmaya apna kirdar hota hai. Maa baap jab apni aulaad kay bhari taleemi akhrajat bardasht na kar saken aur phir khass kar safed posh khandan jinhon ne apni sufedposhi ka bhi bharam rakhna hota hai mushkilat ka shikar ho kar mayoos hokar baith jate hain. Agar iske azam o himmat sey awaz hukumati aiwano tak pohnchi hai to ye kaam jari rehna chahiye aur degar zaheen magar ghareeb bachay jo imdad aur tawaja kay mustahiq hain in par tawaja detay rehn hakoomat ka farz bhi hai aur qarz bhi.
Hasool e taleem par jitna zor Deen E Islam dusra koi mazhab nahin deta. Bacho aap sab bhi jee laga kar parhen taleem hasil karen Deen aur Duniya ka ilm hasil karke mulk o qaum kay khadim bane jazba e khidmat aur khauf e ilahi ye dono silahiyaten Islam say mukamal shanasai say he wajood mein aati hain. Aik Musalman ka maqsad sirf degree aur phir salary ka hasool nahin hota balkay wo apnay kirdar say iss duniya kay andar apni akhrat kay liye kheti tayar karta hai. Yehi murad insan ka maqsad e hayat hai. Allah Taala hum sab ko Deen o Duniya ki kamyabion say nawaze Aameen.
Comments
Post a Comment