Libas Ke Adaab Libas لباس کے آداب Matlab Kya Hota Hai Hamen Kapde Kaise Pahne Chahie Libas Ka Adab In Urdu Bachon Ka Islam Magazine

Libaas Kay Adaab ہمیں کون سا لباس پہننا چاہیے؟


libaas ke adab
Dressing Etiquette

Assalam-o-Alaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu!

Sab se pehle aap Sab bachon ko mere readers ko Ramzan Ul Mubarak 2025 Allah Taala hum sab ko Ramzan jesy muqqaddas mahine ka ahtaram karne ki is mein rozay rakhne aur naik amaal sadqa o khairat karne ki taufeeq ata farmaye Aameen Summ Aameen Ya Rabbul Aalaameen.

Pyare bacho aaj kal jesa aap dekhte hain kay kesy Brands ka rojhan barh chuka hai har koi shakhs branded kapre pehna pasand karta hai ye dolat ka zaya hai kapre sada bhi pehne ja sakte hain aur aisay log bhi hain jin k pass khane k liye 1 waqt ki roti tak nahi hamen aisy mustahiq logon kay baray mein bhi sochna chahiye takay wo log bhi apni zindagi achi tarike se guzar saken.

Allah Ta'ala kay Akhri aur Pyare Rasool Hazrat Rasool Muhammad Al Mustafa ﷺ ne hamare liye kesa libaas pasand farmaya hai aur Sahaba Akram Rizwan lillah e ajmaeen kesa libaas pehnte thay thay aaye is post mein jante hain.

Nabi Kareem S.A.W.W ne farmaya: Allah Ta'ala saba libaab walon ko pasand karta hai. Jo is baat ki parwah na kare kay unhone kya pehna matlab ye kay nafasat aur banao singhar mein na dooba ho jesa mila wesa pehan liya. Aik riwayat kay alfaz ye hain jo aadmi bhi shohrat ka libaas pehne ga Allah Taala us say mun mor lega chahe pehle wo Allah ka mehboob he kyon na ho.

Hazrat Umar R.A soot ka libaas pehnte thay. In ki kameez ki qeemat 3-dirham aur 5-dirham hoti thi. Agar aasteen ungalion se agay barh jati to wo kaat dete they aur farmatay thay. Ye tawaza kay zyada qareeb hai Musalmano ko chahiye kay ye bhi aisa he karen. Aap S.A.W.W ne farmaya

" Kapron ko boseedah karo, khurdar libaas pehno Qaisar aur Kasrah kay libaas se bachtay raho yani unke jesa libaas na pehno."

Aik martaba Hazrat Umar R.A k libaas mein 14 pewand lagay they jin mein sey chand chamray kay bhi thay yani chamre ke tukre ka paiwand lagaya tha.

Hazrat Sufyan Sauri R.A farmatay hain: " Aisa libaas pehan jo ulama mein teri shohrat na kare aur jahilon mein tujhe haqeer na banaye.

Hazrat Ibn e Sabarma R.A farmate hain: " Behtareen kapra wo hai jo meri khidmat kare, aur badtareen kapra wo hai jis ki main khidmat karon."

Aap S.A.W.W ne Sayeda Ayesha R.A say farmaya: " Agar tum mujh se milna chahti ho to daulat ki humnasheeni say bachti rehna aur is waqt tak kapra na utarna jab tak is mein pewand na lage.


Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika