6 September 1965 Ki Kahani بھارتی شکست 6 ستمبر 1965ء کی جنگ September Ko Kya Hua Tha In Urdu
6 September War 6 September 1965 Ki Jung
Story of Defence Day 6 September 1965 Victory of Pakistan against India |
Pakistanio Ko Jab Bhi 6 September Yaad Aata Hai
Difa E Qaum Ka Tareekhi Manzar Yaad Aata Hai
Shikast Faash Ka Dil Dooz Manzar Yaad Aata Hai
Wo Ek Chote Se Mulk Aur Jazba E Imaan K Hathon
Bari Taqat Ka Ho Jana Massakkhar Yaad Aata Hai
Defence Day of Pakistan یوم دفاع کی داستان |
6 September 1965 History in Urdu
6 September 1965 Youm-e-Difa History War Between Pakistan and India |
History of India Pakistan War 1965 In Hindi
Ye baat to ayaan hai k nazriya e islam ki bunyad par banne wala mulk Pakistan hamesha se he dushman e islam ki aankhon mein kanta bana raha khas taur par Bharat jo Pakistan ka dushman hai aur 1947 se le kar aaj tak kisi na kisi surat mein Pakistan ko nuqsan pahunchne ka koi bhi mauqa hath se jane nahi diya magar Allah k fazlo karam se hum ye baat baray fakhar se kehte hain k Afwaj e Pakistan aur Pakistan k dusre difai idaron ne hamesha se he apne dushman Bhartiyon k tamam napaak azaim ko khak mein mila diya aur isay hamesha mun ki khani pari.
Do Neem In Ki
Thokar Se Sehra O Dariya
Simat Kar
Pahar Inki Hebat Se Raayi
Haan hamare azli dushman India ko 1965 ki jang to yaad hogi. Pakistan par hamle k khokhly bayanat dene wale Hindustan ko shayad yaad nahi k 1965 ki jang mein kya hua? Pakistan par hamla karke dawa to kar liya k subah ka nashta Lahore Gymkhana mein karenge Gym khana mein beth kar sharab piyen ge aur badmashi ki mehfil sajayen ge lekin hua kya??? Dushman ki taqat ka andaza kijiye pehle dushman hum se 5 guna bara tha aur achanak itna bara hamla karta hai k jis k andar 1 hamle mein 500 Tanks
istemal kiye lekin Pak Fauj k bahadur Major Aziz Bhatti Shaheed Rahmatullah Alaih ki aik Battalion ne darpok Indian Army ko sarhad par he roke rakha aur dushman ko BRB nehar bhi na paar karne di. Major Raja Aziz Bhatti 5 shab o roz tak dushman se larty hue shahadat k Aala mansab par fayez hue aap ko jab Commander in Chief araam karne ka kaha to aap ne jawab diya "Mujhe wapas na bulao main wapas nahi aaunga, balke khoon ka har qatra madar e watan k liye giraon ga" baqol Dr. Allama Muhammad Iqbal (Rahmatullah Alaih)

Shahadat Hai Matloob o Maqsood Momin
Na Maal e Ghaneemat Na Kishwar Kashai
Pakistani daler shehri ahl e Lahore jo k 6 September ko bhi mamol k mutabiq subah uthy thy magar inko khabar mili k inke dushman ne raat ki tareeki mein choron ki tarah Pakistan par hamla kar diya hai. Hindu baniye ki is napak jasarat par in Pakistani shehriyon ka khoon khol utha aur wo is dushman ka muqabla karne k liye jooq dar jooq border ki taraf bhaag khare hue.
Army Officers ne dekha to pucha k tum log kahan aur kis liye ja rahe ho to jazbat se maghloob ho kar aye aur biphra hua hajoom bayak zuban bola k aaj hum apne dushman ko ye bata dena chahte hain k isne hamla karke bohat bari ghalti kar li hai awaam k ye buland jazbat aur josh o walwala dekha kar Pakistani Fauj bhi bohat mutasir hui aur in awaa k jazbon ko salaam kiye bagair na reh saki aik fauji afsar ne aagay barhte hue ghairat mandon k hajoom ko mukhatib kiya aur goya hua:

"Aye Pakistan k ghayur Shehrio! Jab tak aap k ye bete Pakistani Army k janbaz zinda hain tab tak Inn'sha'Allah Pakistan ka difa karenge aur dushman ki har napaak harkat ko nakam karke badla chukayenge. Aap araam se apne gharon mein loat jayen aur apne mamulat e zindagi mein masroof ho jayen." Pakistan Air Force (PAF) k janbaz M.M Alam ne 1 minute mein dushman k 5 laraka tayyare tabah kiye aur apni Pak Sarhadon ki hifazat ki.
Pakistani Fizaiya 5 guna bari bharti Fizaia par haavi nazar aayi na qabil e yaqeen karnama sir anjaam dene par M.M Alam ko Sitara e Jurat se bhi nawaza gaya.
Sheron aur Ghaziyon ko Khiraj e Aqeedat pesh karne k liye har saal 6 September ko Youm-e-Difa (Defence Day) k taur par manaya jata hai. Isliye k aik andheri raat mein dushman Bharat ne buzdili ka muzahira karte hue Arz e Pak par apne napaak iradon se hamla kiya tha lekin La ilaha illallah ki bunyad par hasil kiya gaya. Isko to rehti dunya tak koi nahin mita sakta inn'sha'ALLAH
Hum Ne To
Mit Jana Hai Aye Arz E Watan Lekin
Tum Ko
Salamat Rehna Hai Qayamat Ki Subah Hone Tak
Ye baat humara dushman samjhne se qasir tha mushkil ki is ghari mein musallah afwaj ne qaum ki tawquat se barh kar himmat o qurbani aur bemisal jurrat aur bahaduri k amli namunay pesh kiye is mauqa par awaam aur afwaj e Pakistan jazba e jihad se sir shar ho kar Bharti Jarhiyat k samne Seesa Pilai hui deewar ban gaye agar aapko humari ye post pasand aayi hai to hamari hosla afzai k liye neeche diye gaye link par click karke Pakistan ka jhanda ya kuch bhi online shopping karen lekin yaad rahe shopping aap ne hamare link se he karni hai chahe kuch bhi buy karen is tarah hum aap k sirf hamare link se kharidari karne par kuch commission kama sakenge aur aap ke liye mazeed aisi dilchasp posting kar sakenge. Shukriya
Comments
Post a Comment