Balochistan Natural Resources Balochistan Ki Tareekh Balochistan History and Culture Balochistan Ki History Reko Diq Balochistan Gold Reserves Balochistan History In Hindi

Balochistan Natural Resources Reko Diq Copper Mine Chagai Balochistan Pakistan Balochistan History In Hindi


Gwadar Port Gwādar Balochistan Pakistan



Balochistan Gold and Copper Reserves Balochistan


Allah ne Pakistan ko do bari nematein ataa kar rakhi hain aik to watan e Aziz Pakistan atomic salahiyat rakhta hai, air doosra iss mulk ke andar aise log rahte hain Jo ke difa e Islam aur ghalba e Islam ke liye har mumkin koshish kar rahe hain.Yeh do cheezein kaafiron ko kisi soorat pasand nahi kyun ke kafir kabhi bhi Islam ka ghalib hona bardasht nahi kar sakte.


Jaise Allah Rabbul Izzat farmate hain ke


"Yeh kaafir to chahte hain ke iss chiraagh (Allah ke deen) ko apni phoonkon se bhuja dein"

Magar Allah ka yeh wada hai ke woh iss deen ko ghalib kar ke rahega. Jaisa ke Nabi (S.A.W.) ne bhi irshad farmaya:

"السلام يعلوولا يعلى عليه"(بخارى)

"Islam ghalib hone ke liye aaya hai maghloob hone ke liye nahi"

Aik taraf to kaafir mil kar Islam ke qillay Pakistan ko mitane par tulay huwe hain aur doosri taraf poori duniya ke mazloom musalman hain Jin ki nazarein Pakistan par hain, ke agar duniya mein hamari madad ko aane wale koi hain to Pakistan ke ghairat mand log hain. Dono taraf kaam jaari o saari hai. Kaafir apne mansoobay ko sir anjaam dene ke liye bharpoor koshish kar rahe hain aur Mujahedeen Allah ki nusrat ke saath apne kaam mein masroof hain.
Duniya ke saare kafir milkar aaye roz watan e aziz par hamlay kar rahe hain aur doosra musalmano ki aapis mein khana Jangi karwa rahe hain. Ab to bari gehri saazish tayaar ki gayi hai ke Pakistan ke do tukre kar do yaani iss ke sabse bade,wasaail se malamaal soobay Balochistan ko iss se alehda kar do. In saazishon ka maqsad wassail par qabza karna aur mulk ko kamzor tar karna hai. Ta k iske logon mein aalim e kufar ke khilaaf uthne ke ki taqat na rakh sake.

Aaj hum aapko Balochistan ke baare mein batate hain. Soba Balochistan ki sarhadein do mulkon Iran aur Afghanistan ke saath milti hain aur iss mein har tarah ke madani wassail hain. Pakistan mein taqreeban 50 madinat ke zakhair hain jin mein se 40 Balochistan mein mojood hain.Balochistan ki aehum maadniaat aur jughain mandrja zail hain.Qudrati gas, koyla,taanba, Gwadar port aur shamsi airbase.

QUDRATI GAS: (Natural Gas)




Balochistan mein 1952 mein Sui ke muqam par Pakistan ka sabse bara Qudrati gas ka zakheera daryaft hua aur 1955 mein baqaida taor par gas nikalne ka kaam shuru kiya gya. Sui ke muqam se 604 million cubic feet gas rozana nikali jati hai. Pakistan ki gas ka 26% hissa Sui ke muqam se hasil hota hai aur pooray mulk ko gas supply karta hai.

SHAMSI AIRBASE:




Quetta se 200 kilometres janoob mein Pakistan ka sabse bara shamsi airbase waqia hai jise Abu dhabi ke hukmaran Sheikh Zayed al Nahyan ne 1992 mein banwaya tha. Yeh wahi airbase hai jo 2001 ke baad se American ke kabze mein tha magar ab Pakistanion ke dabao par American se khaali karwa liya gya hai.

GWADAR PORT:



Duniya ki sabse badi gehre paani waali bandargah Gwadar port hai. Gwadar aik qadeem shehar, baheera e arab ke sahil par waqia hai.jise Muhammad bin Qasim ne fatah kiya tha. Gwadar port ko 2002 mein tameer kiya gya.

TANBA AUR SONA: (Gold and Copper)




Balochistan ke zilla chaghi mein recodec k muqam par tanbay ke wasi zakhayer majood hain. Agar zameen se 1 kg sona nikala jaye to iss ke muqable mein 1.5 kilo tanba nikalta hai. issey se pata chala ke Pakistan mein tanbay ke zakhayer bhi maujood hain.

KOYLA: (Coal)


Balochistan mein koylay ke wasee zakhair mojood hain.Twanai ke iss buhraan mein agar iss koylay ko istemal mein laya jaye to hamari Tawanai ki zaroorat mukammal taur par poori ho sakti hai.Balochistan 90%se zaaid koyla doosray soobon ko muhaiyya karta hai.

LOHA: (Iron Reserves)



Chaaghi aik madani dolat se malamal ilaka hai. Ek andaaze ke mutabiq 30 million ton loha iske ilaqe mein mojood hai.iss ke elawa zila Mustang mein bhi 200 million ton ke zakhayer ka andaza lagaya gaya hai.


CHOONAY KA PATTHAR: (Limestone)




Choonay ka patthar Balochistan mein kasrat se paya jata hai.choonay ke patthar ki kayi 100kilometer lambi moti teh Quetta aur Kalat ke elaaqon mein mojood hai.

Sulfur aur Sange Mar Mar ke zakhair zila Chaaghi mein bade paimane par mojood hain.iske alawa Sung e Sulemani alaa mayaar marble Bolan,Khuzdar, aur Lusbella mein mojood hain.Grow mite, Barytes aur beesion Qudrati maadniyaat Balochistan ki sir zameen mein Chhupi hui hain.

Balochistan ke log bare mehmaan nawazi aur bohat mohabbat karne wale hain.Balochistan ko Pakistan "fruit basket" kaha jata hai jahan aalo bukhara,anaar, khobani, sabe,zaitoon, garmaa, sardaa, Cherry, pista aur badam aam paye jaate hain. Pista ki kasht qilla Saifullah mein bari wasee paimane par hoti hai.

Dosto agar aap ko meri post achi lagi hai to please Roza Tul Atfal ko apne Google+ Circle mein zaror add karen Google+ Page ko follow karne ke liye Follow par Click karen shukriya.



Pyare bacho!aapko ye saari baatein btane ka maqsad Balochistan ki ahmiyat ko wazeh karna hai kyun ki in dinon kufar Balochistan ko Pakistan se alehidaa karne ki saazishein kar raha hai. Magar hum yeh saazishein kamyab nahi hone denge. (INSHAA ALLAH)

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu