Shaban Ke Mahine Ki Fazilat Shaban Ki Barkat Shaban Month Importance in Urdu
Shaban Ka Mahina 2017 Shaban Ke Mahine Ki Fazilat in Urdu
Islamic Month of Shaban Importance in Hindi |
Shaban K Mahine Mein Roza Rakhna Shaban Ke Fazail in Urdu
SHABAN KA MAHEENA
Shaban Kay Maheenay Mein Rozay Rakhna
Pyare Bacho! Hum sab ki maa syedda Ayesha R.A bayan farmati hain kay Rasool e Akram Sallallahu Alehe Wa Alehi Wasalam Rozay rakhtay to hum ye kehtin ke ab wo rozay nahi choren gey aur jab aap Sallahu Alehe Wa Alehi Wasalam rozay na rakhte to hum ye kehtin ke ab Rasool e Akram Sallallahu Aleh Wa Alehi Wasalam roza nahi rakhenge. Main ne nabi akram Sallallahu Aleh Wa Alehi Wasalam ko Ramzan ke ilawa kisi aur maheena mein mukamal rozay rakhte hue nahi dekha, aur Main ne inhen Shaban ke ilawa kisi aur maheena mein ziyada rozay rakhte hue nahi dekha. Sahih Bukhari Hadees Number (1833) Sahih Muslim Hadees Number (1956)
Muslim Shareef ki aik riwayat mein hai kay:
Nabi Akram Sallallahu Alehe Wa Alehi Wasalam shaban ke maheena mein taqreeban sara maheena rozay rakha karte thy (Sahih Muslim Hadees Number 1957)
Sayyida Ayesha R.A bayan farmate hain kay mujhe ilm nahi kay Aap Sallalahu Aleh Wa Alehi Wasalam ne Ramzan ke ilawa mukamal rozay rakhe hoon. Sahih Muslim Hadith No. (1954)
Aur aik riwayat mein hai kay:
Jab sey Nabi Akram Salalahu Aleh Wa Alehi Wasalam madina tashreef laye is waqt sey main ne inhen ramzan ke ilawa kisi aur maheena kay mukamal rozay rakhte hue nahi dekha.
Sahih Muslim Hadith No. (1955)
Ibn e Abbas R.A sey marvi hai kay:
Nabi Akram Sallallahu Alehe Wa Alehi Wasalam ne ramzan ke ilawa kisi bhi mukamal maheena kay rozay nahi rakhe Sahih Bukhari Hadith No. (1971) Sahih Muslim (1157)
Hafiz ibn e Hijr Rehmhullah Taala kehte hain:
Nabi Akram Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasalam ke nafli rozay baqi sab maheeon sey zyada hote thy balkay Nabi Akram Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasalam Shaban ke maheeny mein aksar ayaam ke rozay rakha karte thy.
Syedna Usama Bin Zaid Raziullah Unha bayan karte hain kay main Rasool e Akram Sallallahu Aleh Wa Alehi Wasallam sey kaha aye Allah kay Rasool Sallalahu Alehe Wa Alehi Wasalam main dekhta hoon kay aap baqi mahino mein itne roze nahi rakhte jitne Shaban mein rakhte hain? to Rasool e Akram Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasalam farmane lage:
Ye aisa maheena hai jis mein log ghaflat ka shikar rehte hain ye maheena Rajab aur Ramzan ke darmiyan hai aur ye aisa maheena hai jiss mein Amaal Allah Rabul Alameen ke haan uthaye jate hain aur main ye pasand karta hoon mere amaal rozay ki halat mein uthaye jayen issay Nisai ne riwayat kiya hai dekhen Sahih Al Targheeb wa Tarheeb Page No. 425
Aur Abu Dawood ki riwayat mein hai kay:
Sayyida Ayesha R.A bayan karti hain kay Rasool e Akram Sallallahu Alehe Wa Alehi Wasallam Shaban mein sab sey ziyada rozay rakhna pasand farmate thy aur phir issay Ramzan ke sath mila lete thy. Allama Albani Rahimahullah Taala ne isay Sahih qarar diya hai dekhen Sahih Sunan Abu Dawood (461/2) iss mufeed islamic maloomat ko apne doston aur apne behan bhaiyon ke sath share karen JazakAllah Khaira.
Comments
Post a Comment