Ramzan Ke Adaab Mah e Ramzan Kaise Guzare Ramzan Ka Mahina Guzarne Ke Tarike Quran O Sunnat Ke Mutabiq

How to Spend Ramadan in Urdu Things to Do In Ramadan in Urdu


Muslim Holy Month of Ramadan

Adaab Sayaam o Qayyam How to Spend the Month of Ramadan



Roze Ke Masail in Hindi



Ramzan Ul Mubarak wo maheena hai jis ke aate he aik Musalman ke mamolat mein mukamal tabdeeli aa jati hai. Aik josh o jazba ubharta hai aur ziyada sey ziyada nekiyan samait lene ki khwahish dil mein uthne lagti hai. Ghaflat ki chadar mein liptay bhi zara bahir jhankte hain. Hamdardi aur ghum gusar ka ye mahina aik bar phir humari zindgion mein aa chuka hai. Ye khush naseebi hai kay humein apni zindagi mein aik bar phir ye ghariyan naseeb ho rahi hain. Sadat o Kamyabi ke lamhat muyassir aa gaye hain.

Rozay Ke Maqasid in Urdu


Hum dekhte hain kay humare ird gird kai log jo pichly Ramzan mein humare sath thy ab majood nahi yehi daras hai in waqiyat mein hum guzarti zindagi ke har lamhy ko apne liye faida mand aur akhirat mein qabil e nijat banaye. Agarcha aap mein sey kai saathi abhi chote aur roza rakhne ke qabil nahi honge lekin phir bhi ye iss mahine ki barkat hai kay bache bhi subah subah he waliden sath uth jate hain. Phir yehi khwahish agli zindagi mein rozay rakhne ki tarbiyat karti hai. Roza mehz bhooka pyasa rehne ka naam nahi kay aap waldain sey zid karke roza rakh lain aur phir khudnakhawasta bimar ho kar pareshani peda karen balkay asal baat maqsad e sayyam ko samjhne ki hai. Humare khaaliq o maalik ne irshad farmaya:

Aye Iman walo! Tum par rozay faraz kar diye gaye jaise kay tum sey pehle logon par faraz kiye gaye they takay tum muttaqi ban jao (Surah Al-Baqra : 183)

Aap ne dekha ke rabb rehman rozay ka maqsad taqwa bata rahe hain ke insan iss mein maheeny mein khud ko aisa bana ley ke baqi sara saaal bhi isi tarah ibadat mein guzare.

Naik amal aur Namaz aur Tilawat ko sirf ramzan mein karna kisi tarah bhi taqwa ki alamat nahi hai balkay inka maqsad insan ki sari zindagi ki tarbiyat ke liye karna hai. Ye to maheena hai ehtesab ka, ghaur o fikar aur taqwa ko apnane ka ye sadqa o khairat wala maheena hai. Yehi wo maheena hai jis mein asmani kitab aur sahifay insaniyat ki hidayat ke liye nazil hue Quran e Azeem ka nazool hua aur Shaiyateen ke qaid hone ka maheena hai. Nabi Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasallam iss mahine mein kasrat sey ibadat karte aur Quran e Kareem ki Tilawat ka daur karte thy.


Pyare Nabi Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasallam ne farmaya: " Jis ne iman aur ehtesab ki niyat sey ramzan ke rozay rakhe to Allah Taala uske pehle gunahon ko bakhsh dega. " (Sahih Bukhari)

Yani sirf bhooka pyasa nahi rehna balkay rozay ke maqsad ko paa kar naik amal karna hai to pyare Nabi Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasallam ne gunahon ke dhulne ki basharat di hai.

Roza aik aisi ibadat hai jis mein dikhaway ka dar nahi hota jab tak aap khud iss ka izhar na karen tabhi Nabi Sallalhu Alehi Wa Alehi Wassllam ne farmaya " Allah Taala farmate hain: Roza mere liye hai aur iska ajar bhi main he dunga. " (Sunan Nisai : 2181)

Insan jab Allah Taala ki raza ki khatir har cheez milne ke bawajood khana peena chor deta hai to goya wo Allah Taala ki ibadat ka haq ada kar raha hota hai jis isny dekha bhi nahi to Allah SWT ne bhi ajar kitna rakha kay Jannat mein aik makhsoos darwaza he roza daron ke naam kar diya jis mein sirf wahi guzar sakenge jo sahih maanon mein roza dar honge.

Rozay Ka Ajar



Pyare Nabi Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasallam ka farman hai " Rozaydar Jannat mein aik khaas darwaze mein sey dakhil honge jiska naam " Rayyan " hai aur inke dakhile ke baad darwaza band kar diya jayega aur koi bhi dakhil nahi ho sakega. " (Sahih Bukhari)

Ye aizaz hai rabb e kareem ke pass roza daron ka jo ajar mein inhen Jannat ke baagh o bahar atta farmaye ga (InshaAllah)

Rozay ke adaab mein ye bhi shamil hai kay kamzori aur bhook pyaas ka dusron ko bata kar ajar mein kami aur rozay ki be qadari na ki jaye balkay in halki phulki takleefon ko khushi sey bardasht kiya jaye.

Doran e roza kisi ki gheebat, chughli, jhoot, dhoka sey mukamal parehez kijiye aur apne Musalman behan bhaiyon ko duaon mein yaad rakhen ke roza dar ki dua rad nahi ki jati Pyare Nabi Sallallahu Alehi Wa Alehi Wassllam ne farmaya:

" Roza dar iftari ke waqt jo dua mangta hai wo rad nahi ki jati " (Tirmizi)

Taaq raaton ke qayyam mein bhi khasoosi duaon ka ehtemam karna hai. Lailat ul Qadar ki raat hazar maheeno ki ibadat sey behtar hai Allah humein iss ajar kay ajar ko pane ki taufeeq dey! (Aameen)

Dua ke bhi kuch khaas adab hain maslan duaon ki qabooliyat ke liye insan haraam sey bache aur mukamal khush o khuzu sey dua mange kyon ki Pyare Nabi Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasallam ne farmaya hai : " Haraam kamai sey parwarish paane wala badan Jahanum ke laiq hai. " (Sahih Bukhari)

Neez farmaya : " Allah Haraam kamai walay ki Dua qabool nahi karta na he Sadqa. " (Sahih Muslim)


Doran e roza larai jhagre, gali galoch aur wahiyat batein zuban sey nikalne sey perhaiz kiya jaye. Pyare Nabi Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasallam ne farmaya: " Roza dhaal hai aur jab koi iss sey larai kare to keh dey ke main to roza dar hoon. " (Muttafiq Alaih)

In sab baton par amal sey he roza ka maqsad hasil kiya ja sakta hai wagarna hum bhookay pyasay to reh sakte hain magar ajar sey mehroom.....! Isi tarah sehri o iftari mein fazool kharchi sey ijtinab karna chahiye. Jaiz zaroriyat puri karke baaqi kisi zarorat mand rozay dar ko di ja sakti hai jiska bara ajar hai.

Sehri mein takheer aur iftari mein jaldi Sunnat e Rasool Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasallam hai isi tarah sehri mein zaroor kuch khaya piya jaye ke Pyare Nabi Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasallam ne farmaya: " Sehri khaya karo ke sehri khane mein barkat hai. " (Sahih Bukhari)

Sehri Ke Bagair Roza Rakhna Kaisa Hai?



Baaz log sehri khaye bagair roza rakh lete hain ye munasib tarika nahi hai. Suraj ghoroob hone ke baad roza iftar karne mein jaldi karni chahiye. Pyare Nabi Sallallahu Alehi Wa Alehi Wasallam ne farmaya: " Musalman achi halat mein rahenge jab tak iftar karne mein jaldi karenge. " (Sahih Bukhari)

Iftari ke waqt apne liye, waldain, behan bhaion, dost ahbab, bimaron, musibat zada aur zameen par basne walay mazloom Musalmano ko apni duaon mein zaroor yaad rakhen.

Quwwat ke mutabiq Sadqa o Khairat aur Nadaar logon ko iftar karwane ka ehtamam karna chahiye ye aisa amal hai kay Roza dar jitna ajar he iftari karwane wale ko milta hai aur wo bhi rozadar ke ajar mein sey koi kami kiye baghair iftari ka waqt kitna khushi wala aur rooh parwar hota hai so khushi khushi masnoon dua parhen.

In sab baaton sey jo humen jo sabaq milta hai wo ye hai kay!

Humari zindagi mein Ramzan aya hai to ziyada sey ziyada nekiyan samaitni chahiye.

Taqwa ke hasool ki koshish karni chahiye aur raya kari sey bachna chahiye.

Ramzan ul Mubarak mein Namaz Qayam ul Lail aur Tilawat e Quran e Paak ko saal bhar mamool banana aur iss par amal karna.

Gheebat, Jhoot, Dhoka Dahi, Larai Jhagra, Gali Galoch sey bachna aur fahash media kay boycott karna hai.

Koi larai kare to khamoshi ikhtiyar karni hai aur isi aadat ko hamesha jari rakhna hai.

" Baab Ur Rayyan " sey guzarne walay rozadaron ki sifaat ko apne andar paida karne ki koshish karni hai.

Mazloom Musalmano ki falah o asaniyon ke liye rabb e raheem sey ro ro kar duaein mangni hain.

Ghalba e Islam, Jihad ki kamyabi aur Musalmano ke waqar ki bulandi ka sawal karna hai.

Jahan tak ho sake Sadqa o Khairat ke zariye zarorat mand aur mazloomon ki madad karni hai. (Insha Allah)

In bad naseebon mein shamil nahi hona jin ki zindagi mein Ramzan ka mahina aye aur wo faida na uthayen. Allah SWT humare amlon mein khaloos ki dolat daal dey, humare mamooli amal ko apni raza ke liye qubool farma ley humari nijat o shifat ka zariya aur zakheera akhirat bana dey....! (Aammen Summ Aameen) Iss khoobsurat pegham ko apne doston apne behan bhaion kay aur apne rishtedaro key sath lazmi share karen sochen agar kisi aik insan ne bhi apki wajah sey neki ki aur amal kar liya to ye aap ke liye sadqa e jariya ban jayega (InshaAllah)

JazakAllah Khairan.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu