Namaz E Taraweeh Ki Fazilat In Urdu Namaz E Taraweeh Parhne Ka Tarika In Urdu Taraweeh Ki Namaz Ki Kitni Rakat Parhni Chahiye? Quran o Hadees Say Jawab Namaz e Taraweeh Kay Masail نمازِ تراویح کے پیچیدہ مسائل کا حل Assalam o Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh! Namaz e Taraweeh Ka Hukam: Namaz e Taraweeh nafl namaz hai farz aur wajib nahi hai. Syeda Ayesha Siddiqa R.A farmati hain kay Rasool Allah S.A.W.W ne ramzan ki aik raat masjid mein namaz e taraweeh parhi aur logon ne bhi aap kay peechay namaz parhi, phir dusri raat bhi aap ne namaz parhi, to muqtadi bohat zyada ho gaye phir teesri ya chothi raat log jama ho gaye lekin aap namaz ke liye bahir na aye subah ko irshad farmaya: "Main ne dekha jo tum ne kiya aur main mehaz is dar se bahir nahi aya kay kahin ye namaz tum par farz na kar di jaye" (Sahih Muslim) Baaz logon ne ye mashoor kar rakha hai kay jis ne taraweeh na parhi uska roza nahin hoga aur jis ne taraweeh parh li us par roza rakhna za...
Comments
Post a Comment