Tafseer E Surah Fatiha In Urdu Surah E Fatiha Ki Tafseer In Hindi

Tafseer e Quran Surah Fatiha


Surah e Fatiha Tafseer By Maulana Maududi

Deebacha سورہ فاتحہ کی تفسیر


Islam jo tehzeeb insan ko sikhata hai us kay qawaid mein say qaida ye bhi ye hai kay wo apnay har kam ki ibtada khuda kay naam se kare is qaide ki pabandi agar shakoor aur khaloos sey ki jaye to usay lazman 3 faiday hasil honge 1 ye k insan bohat se bure kamon se bach jae ga kyun kay khuda ka naam lene ki aadat usay har kam karne se pehle ye sochne per majboor kar degi kya waqai main is kaam per khuda ka naam lene mein haq ba janib hoon dosra ye ke jaiz aur sahi aur naik kamon ki qaza karte hue khuda ka naam lene se admi ki zehniyat bilkul theek simat ikhtiyar kar legi aur wo hamesha sahi tareen nukte se apni harkat ka aghaz kare ga. teesra aur sab se bara faida yeh hai kay jab wo khuda ke naam se apna kaam shuru karega khuda ki taaeed aur taufeeq uske shamil e haal hogi uski sahi mein barkat daali jae gi aur shetaan ki fasaad angezion sey usko bachaya jaye ga. Khuda ka tareeqa ye hai kay jab banda uski taraf tawaja karta hai to wo bhi banday ki taraf tawaju farmata hai.


Jesa kay hum debache mein bayan kar chuke hain surah fatiha asal mein to ek dua hai lekin dua ki ibtada uss hasti ki tareef se ki jaa rahi hai jis say hum dua mangna chahte hain. Ye goya iss amar ki taleem hai kay dua jab mango to muhazzab tareeqay se mango ye koi tehzeeb nahin hai k mun khulte he jhatt apna matlab paish kar dia. Tehzeeb ka taqaza yeh kay jis say dua kar rahe ho pehle uski khoobi ka uske ehsanat aur martbay ka aitraaf karo. Tareef hum jiski bhi karte hain 2 wajoh se karte hain. Aik ye kay wo bajaye khud khoobi aur husn e kamal rakhta ho qatay nazar iss say keh hum per is kay in fazail kay kya asar hain. Doosri ye ke wo humara mohsin ho aur hum aitraf e naimat ke jazbe se sarshaar ho kar uski khobian bayan karen Allah Taala ki tareef in dono hesiyyaton se hai. Ye humari qadr shanasi ka taqaza bhi hai aur ehsaan shanasi ka bhi k hum uski tareef mein ratbul lisaan hain.



Aur baat sirf itni he nahi hai ke tareef Allah kay liye hai bal k haqeeqat ye hai kay tareef Allah he kay liye hai. Ye baat keh kar ek bari haqeeqat par se parda uthaya gaya hai. Aur wo haqeeqat aisi hai k jis ki pehli he zarb se makhlooq parasti ki jar kat jati hai. Duniya mein jahan jis cheez aur jis shakal mein bhi koi husn koi khoobi koi kamal hai uska sar chashma Allah hee ki zaat hai. Kisi insan kisi farishty kisi dewta kisi sayaray gharaz kisi makhlooq ka kamal bhi zaati nahin hai balke Allah ka attiya hai bus agar koi iska mustahiq hai ke hum uske garweeda aur paristar ehsan mand aur shukar guzar nayaz mand aur khidmat gaar banay to wo khaliq e kamal hai naa keh sahib e kamal.

Rab ka lafaz arbi zaban mein 3 maonon mein bola jata hai aik maalik aur aaqa 2 marabi parwarish karne wala khabargiri aur neghebani karne wala farma rawan haakim mudabbir aur muntazim Allah Taala in sab maanon mein kaianat ka rab hai.

Insan ka khasa hai jab koi cheez uski nigah mein bohat zyada hoti hai toh wo mubalghay ke seegho mein usko bayan karta hai aur agar aik mubalghay ka lafaz bol kar woh mehsoos karta hai kay uss shy ki farawani ka haq ada nahi hua to wo  phr ussi maani ka ek aur lafaz bolta hai taa kay wo kami pori ho jaye jo uske nazdeek mubalaghah mein reh gai ho. Allah ki tareef mein Rehman ka lafaz istemal karne ke baad phir Raheem ka izafa karne mein bhi yehi nuqta posheeda hai. Rehman Arabi zaban mein baray mubalaghah ka seegha hai lekin Khuda ka Rehmat aur meharbani apni makhlooq par itni zyada hai is qadar wasee hai aisi be had o be hisaab hai ke uske bayan mein bare se bara mubalghay ka lafaz bol kar bhi jee nahin bharta. Isliye uski farawani ka haq ada karne ke liye phir Raheem ka lafaz mazeed istemal kiya gaya hai.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz Padhne Ka Tarika Namaz Kaise Padhe Jati Hai Namaz Parhne Ki Niyat Namaz Mein Padhne Ki Surah Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz Ka Tarika Hadees Ki Roshni Mein Hindi

Witr Ki Namaz Parhne Ka Tarika نمازِ وتر Isha Ki Namaz Me Witr Ki Niyat Bandhne Ka Sahi Tarika Qunoot e Naazilah Padhne Ka Tarika

Namaz E Taraweeh Ke Masail Taraweeh Kitni Padhna Chahiye نمازِ تراویح Taraweeh Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai Namaz E Taraweeh Is Sunnah Or Wajib In Urdu