Posts

Farman E Elahi Aur Hadees E Nabwi (S.A.W.W)

Farman E Elahi " Aur wo log jinhen wo Allah kay siwa pukarte hain, wo kuch bhi peda nahi karte aur wo khud peda kiye jate hain. Murday hain, zinda nahin hain aur wo nahi jante kab uthaye jayein gay " (Reference Surah Al Nahal 21,20) Hadees E Nabwi (S.A.W.W) Rasool Allah (S.A.W.W) Ne Hazrat Ayesha (R.A) Se Farmaya Kay " Allah kay naik aur khuda taras banday wo hain jo roza rakhte hain, namazain parhte hain aur sadqa o khairat karte hain iss kay bawajood is bat say darte hain keh kahin in ki ibadatain radd na ho jayein, yehi log tezi say neki ki taraf barhne wale hain ".

Masoom Bachay Ki Dua

Image
Bache Ki Dua Mere Achay Allah Mere Pyare Allah Mujh Ko Bhi Apni Rehmat Say Acha Bana Main Chamakta Rahoon Jagmagata Rahon Chand Ban Kar Andheron Par Chaata Rahon Naik Afkar Se Ilm Pata Rahon Naik Kirdar Se Jagmagata Rahoon Mere Ache Allah Mere Pyare Allah Apni Rehmat Se Mujh Ko Bhi Acha Bana Ya Elahi! Jism Mein Jab Tak Humari Jan Rahe Tujh Pe Sadqe Tere Mehboob Pe Qurban Rahe Main Rahon Ya Na Rahon Magar Dua Hai Dil Ki Deen E Muhammad (S.A.W.W.) Rahe Aur Izzat E Quran Rahe.

Mukhtasir Magar Sach

" Mukhtasir Magar Sach " Imaani Juraat : Tehreek Khatam e Nabuwat 1974 mein Wah cantt mein ek jaloos nikala police ne kai shuraka ko giraftar kar liya in mein aik saat saala bacha bhi tha muqami dsp ne is ko murga bana kar pucha, Batao tumhari peeth par kitne joote marun....? bachay ne bari masoomiyat aur emaani jura'at se jawab diya! itne jote maro jitne tum qayamat kay din kha sakte ho, itna sunte he dsp khauf aur nidamat se paseena paseena ho gya bachay se maafi mangi aur isay ghar chor aya.

Munfarid Khasusiyat

" Munfrid Khasusiyat " Hazrat Afra Razi Allah Hu Ta'ala Anha ki aik khasosiyat aisi hai jo kisi aur sahabiya mein nahi payi jati wo yeh kay in kay saat betay, pehle shohar haaris se teen, aouf, ma'auz, mua'az aur dosray shohar bakeer sey chaar betay ghazwa e badar mein shareek hue aisi sahabiya aurat jin kay  chaar betay ghazwa e badar mein shaheed hue hoon wo sirf Hazrat Afra Razi Allah Hu Ta'ala Anha hain.

Shifa Kin Cheezon Mein Hai....?

Shifa Kin Cheezon Mein Hai? Pyare Saathiyo! Allah Ta'ala Ne insan kay liye in cheezon mein shifa rakhi hai. Quran-E-Kareem parhne mein shifa hai. Sadqa karne mein shifa hai. Aab-E-Zamzam mein shifa hai. Sila Rehmi karne mein shifa hai. Shehad kay istemal mein shifa hai. Kalunji kay istemal mein shifa hai. Surah Fatiha mein shifa hai.

Farman e Elaahi Allah Ki Ebadat Karo

Farman e Elaahi  Allah Ki Ebadat Karo Aey Logo Tum apne parwardigar ki ebadat karo jis ne tumhain aur tumse pehle logon ko peda kiya taa kay tum (is kay azab se bacho). isi (Allah) ne tumhare liye zameen ko bichona aur asmaan ko chat banaya aur asmaan say meen barsa kar tumhare khane kay liye tarha tarha kay meway peda kiye. Pss kisi ko Allah ka barbar na banao, jab kay tum jante ho. (Ref. Surah Albaqarah 21-20) Maa Baap Ki Khidmat Sayyedena Abu Huraira R.A Se Riwaeyat hai kay Hazoor e Aqdas S.A.W.W ne irshad farmaya kay " Wo Zaleel ho, Wo Zaleel ho, Wo Zaleel ho " Araz kiya gaya kaun aey Allah kay Rasool S.A.W.W Farmaya " Jis ney apne maa baap ya dono mein say kisi ko burhapay mein paya aur phir (inki khidmat kar kay) Jannat mein daakhil na howa "

Achay Aur Buray Logon Ki Pehchan

Image
Achay Aur Buray Logon Ki Pehchan Ache Logon Ki Pehchan Syedna Abu Huraira Razi Allahu Ta'ala Anho Se Riwayat Hai Kay Rasool Allah (S.A.W.W) Bethe hue kuch logon kay pass say guzray to thori dair thehre aur in se Farmaya: " Kya main aap logon ko yeh na bata dun k tum mein se achey log kaun hain aur kon say log buray hain? Sahaba Karam Rizwan Allahi Alaihim Ajmaeen ne arz kiya: Beshak humain batain kay hum sab mein se acha kaun hai aur bura kaun hai Aap S.A.W.W ne irshad farmaya: " Tum mein se ache wo log hain jin se bhalai ki umeed ki jaye aur inki burai se bay khauf raha jaye aur tum mein se bure wo log hain jin se na bhalai ki umeed ki jaye aur na inki burai se bay khauf raha jaye " (Tirmizi Shareef) Nabi Kareem S.A.W.W Ki 3 Wasiyatain  Syedna Abu Zar Ghaffari Razi Allahu Taala Unho kehte hain k Nabi Akram (S.A.W.W) ne mujhe chand baton ki wasiyat farmai: Mujhe wasiyat farmaya kay wo jo log mujh se maal o izzat mein fauqiyat rakhte hoon ink...