Posts

Showing posts from July, 2017

Qissa Ek Bahadur Behan Ka Jo Apne Bhai Ko Dushman Ki Qaid Se Churane Ke Liye Maidan e Jang Mein Utar Gai

Image
Ek Bahadur Behan "A Brave Sister" A Brave Sister Ek Buhadur Behan " Qissa Ek Bahadur Behan Ka Jo Apne Bhai Ko Dushman Ki Qaid Se Churane Ke Liye Maidan e Jang Mein Utar Gai " Ye waqiya us bahadur aur nadar behan ka hai jisne bahaduri aur jurrat k sath johar dikhaye aur apne mujahid bhai ko dushman ki hirasat se churane k liye jang me kood gai. inka naam Khola bint Azoor R.A tha. aap mujahideen k khandan se taluq rakhti thin. Aap k walid Hazrat Azoor R.A Rasool Allah S.A.W.W k sath kai ghazwat mein shamil rahe aur jihaad karte huay shaheed huwe. Hazrat Khola R.A aur inke bhai Hazrat Zaraar R.A shaam aur misr ki aksar jango me shareek rahe. Dono behan bhai aik doosray se mohabbat karte thy aur milkar jihaad karte thay. wo dono apni bahaduri daleri sir farooshi k lye mashoor thy. Aik martaba rumion aur Musalmano k darmiyan jang ho rahi thi. Musalmano k sipa salar khalid bin waleed R.A thy. Rumi fauj ki tadad bohat ziyada thi aur wo har kisam k jangi ...

Hazrat Umar Farooq Rules & Policies اولیات فاروق اعظم رضی اللہ عنہ | Haz...

Image

Khana E Kaba Ki Tareekh Masjid Al Haram Ki Tameer Khana Kaba Ka Ghusal Khana Kaba Ke Darwaze Ke Naam

Image
Masjid Al-Haram History First Mosque of Islam Khana Kaba Masjid Al Haram Ki Tareekh Post Summary :- Is post mein aap ko Masjid Al Haram ki tafseel ke sath maloomat milegi jis mein Jannat sey aya hua khana kaba mein nasab kiya gaya pathar Hajr e Aswad ki tafseel, hajr e aswad story, khana kaba ki tameer o toseeh, khana kaba mein 1 namaz ka sawab, khana e kaba ka darwaza, khana kaba ka andar ka manzar aur iske ilawa khana kaba ki tameer mein Saudi Hukumat ne kya kirdar ada kiya aur iske ilawa Haramain Shareefain se mutaliq aur bhi dilchaspi malomat milegi. Taaruf aur Ahmiyat Masjid haraam roye zameen par banai jane wali pehli masjid hai. Iss masjid ke wast mein Baitullah yani Khana Kaaba majood hai aur jo kay Musalmano ka qibla hai. Iss masjid mein Namaz ada karne ka Sawab 1 lakh Namazon ke brabar hai. Sahih Muslim ki riwayat hai Rasool Allah S.A.W.W se pucha gaya kay zameen par banai jane wali pehli masjid konsi hai. Aap S.A.W.W ne farmaya Ma...

Nanha Mozzan Aik Bacha Jisne Hazrat Bilal R.A Ki Azan Ki Naqal Utari Thi

Image
Nanha Moazzin Kahani Ek Sahabi R.A Hazrat Bilal R.A First Muezzin of Islam Wo Chota Bacha Jisne Hazrat Bilal R.A Ki Azan Ki Naqal Utari Uske Sath Kya Hua? In bachon ko pakar lao wo dono foran bachon ke pass gaye aur kaha " Tum mein se kon azaan de raha tha? " wo sab dar gaye aur kisi ne jawab na diya to Hazrat Ali R.A aur Hazrat Zubair R.A in bachon ko ghair kar Allah Taala ke Nabi Hazrat Muhammad S.A.W.W ki khidmat mein le aye. Aap S.A.W.W ne in bachon se pucha kay tum mein sey kis ne azaan ke kalamat ada kiye hain? Sab bache dar, khauf aur haya kay maray khamosh thay. Aap S.A.W.W ne sab ko kaha kay bari bari azaan do. Sab sey pehle aik bachy ne azaan dena shuru ki to iski awaaz pyari na thi. Is tarah 2 aur bachon ne azaan di jab inki bari ayi to Aap S.A.W.W ne farmaya: Tum azan do jab Abu Mahzura  ne azan kehna shuru ki to inki awaz bari pyari thi ALLAH kay Nabi S.A.W.W ne kaha: Kay tum ne he naqal utari thi Abu Mahzura  ne sir ke isharay se kaha Gee! Aap...