Duniya Ki Khatarnaak Jheelain World's Scariest Lakes Duniya Ki Khofnak Jheelain Khatarnak Jheel
Duniya Ki Khatarnaak Jheelain Pani insan ki bunyadi zaroorat hai qudrat ne pani ke zakhair nadi, naalon, dariyaon, jheelon aur samundar ki shakal mein mehfooz kar diye hain. Agar hum sirf jheelon ki baat karen to puri duniya mein 3 million se zayed jheelain payi jati hain jo ke apni khoobsurti ki wajah sey qabil e deed hain lekin is dafa hum un jheelon ka zikar kar rahe hain jo ki duniya mein ajeeb o ghareeb aur khatarnak bhi hain. 1.Golden Jellyfish Wali Jheel Golden Jellyfish Lake, Palau Country in Oceania Ye jheel Palau mein waqia hai. raqbe ke lehaz se ye aik bari jheel hai lekin is jheel ki munfarid aur khaas baat ye hai kay is ke andar golden jelly fish bari miqdar mein rehti hain. Is jheel mein ghauta khori karne wale insay khoob lutf andoz hote hain aur inhen munfarid tajurba hasil hota hai. In jellyfish ki jisamat aik sikay se le kar aik feet ke baal k barabar hai. 2. Qarmazi Rang Kay Pani Ki Jheel Laguna Colorada Lake, Bolivia Ye jheel Bolivi...