Achi Batain, Maa Aur Haraf Bolte Hain
Achi Batein Janwar apne Malik ko pehchanta hai lekin insan apne Rab ko nahi pehchanta. Jab qareebi rishtaydar muhtaaj hoon inhain chor kar dosron ko nawazna acha nahi. Apni massail is kay samne paish karo jo isay hal karne par qaadir ho agar gunah karna chahte ho to kar lo lekin Allah se chup kar aur iski kayenat say bahir nikal kar. Charaagh khaw kitna he chota kyun na ho dunya ka pora andhera bhi mil kar isay nahi bhuja sakta isliye koi choti si neki bhi jahan kay bure logon say dar kar mat choro. Maa Maa zindagi hai markaz sabr o qaraar hai Maa ek chaman hai jis mein musalsal bahaar hai Maa lateef hai sakoon hai shafqat hai pyar hai Maa ek azeem naimat parwardigar hai Maa pehli darasgah hai aqal o shaur ki Maa shama frozan hai muhabbat kay noor ki Maa hai nazara qudrat rab e jaleel ka Maa chashma e khaloos hai ulfat ki jheel ka. Haraf Bolte Hain Bure logon kay sath bethne say tanhai behtar hai Kam bolna aqalmandi hai Haqeer sey haq...