Namaz E Janaza Parhne Ka Tarika Namaz E Janaza Ka Tarika In Urdu Namaz E Janaza Ki Niyat In Arabic
NAMAZ E JANAZA KA TARIQA IN URDU HINDI Namaz e Janaza Ada Karne Ka Sahi Tareeqa How to Perform Namaz E Janaza DEFINITION (تعارف) Namaz e Janazah FARZ E KIFAYA hai, yaani agar basti ke kuch log adaa kar dein to baaqi sab ki taraf se Farz adaa ho jata hai.Musalmaan par apnay doosray musalman bhai ke 6 huqooq hain.Jin mein se aik haq yeh k uske marnay ke baad uska namaz Janaza ada kare, aur uske liye Allah se bakhshish ki dua maange.Namaz E Janaza ka dorania kam se kam 15 minute zaroor hona chahiye taa k aap tasalli se mayyat ke haq mein dua e maghfirat kar sakein. Kyun k iss waqt usko aapki duaon ki sab se ziyada zaroorat hoti hai. NAMAZ E JANAZA KA TARIQA (نمازجنازہ کا طریقہ) Namaz E Janaza mein Ruku aur Sajda nahi hota. Namaz e Janaza mein 4 takberain hoti hai.Agar aap ne joota Sab se pehle mayyat ko apne saamne rakhein agar aurat hai to usko apne right side par rakhein. Aur dil mein namaz e janaza ki niyat kar lein.Ab Takbeer keh kar apnay haath se...